Telephone Essay Urdu Telephone Ki Ijad Essay Telephone Invention Information Mazmoon

  Lal Gulab      
Telephone Essay In Urdu Telephone Essay In Hindi Nibandh Telephone Invention - ٹیلی فون پر مضمون

Mufeed Ijad: Youn tou is zamanay ki scienci ijadaat had o shumaar se bahir hain, bijli aur is ki ijadaat ko dekhain tou in ka ihata karna hi asan nahin hai. Fil waqt hum dunya ki aham tareen ijadaat mein se aik telephone ka zikar karte hain.

Telephone Ki Ijad: Telephone ko aik Scot science daan Graham Bell ne ijad kiya. Ye pichli sadi ki woh iojadhai jis ne paigham rasani ke maidan mein herat angez inqilaab barpa kar diya. Ye bhi telegram ki tarah ka taron par mabni aik silsila hai jis ka mukhtalif shehron balkeh mumalik ke sath aik exchange ke zariye rabta hota hai aur exchange se phir telephone rakhne wale logon se barah e rast rabta hota hai. Ye kya system hai aur is ki bunyad kya hai. ye aik daqeeq aur sanjeeda scienci masla hai jis ki teh mein janay ki hamain zaroorat nahin hai hamain tou is ki karkardgi ko zair e behs lana chahiye.


Karkardgi:
Har telephone rakhne wale shakhs ke ghar mein aik ala rakh diya jata hai jisay telephone operatus kaha jata hai is ke uper dial hota hai jis mein woh aik dairah ki surat mein 0 se lay kar 9 tak hindsay sorakhon ke neechay likhe hue hote hain. Agar kisi se baat karni ho us ka number milanay ke liye aik ungli se sorakhon wale dial ke un numberon ko bari bari dayen taraf ko ghumaya jata hai. Ye aala aik taar ke zariye exchange se mila hota hai isi tarah har telephone number ka rabta exchange ke sath hota hai. Jub aik number ghumaya jata hai tou matlooba number per ghanti bajti hai tou us telephone wala shakhs receiver  uthata hai tou us ka rabta telephone karne wale se ho jata hai aur woh apas mein batain karne lag jatay hain. Waqt guzarnay ke sath ab jadeed telehphone sets bhi market mein aa chukay hain jis se ab button dabanay se hi kisi se rabta kiya ja sakta hai.

Karoobari Logon Ke Liye Naimat: Telephone ki zaroorat aaj taqreeban dunya ke har shakhs ko hai lekin agar woh karobari insan ho tou telephone us ke liye intihai zaroori aur aham hai. Telephone ka sub se zayada faida karoobari log uthatay hain jo mukhtalif shehron se rabta kar ke maal ki khareed o farookht kar sakte hain. Is tarah akhbaraat walon ke liye bhi telephone rakhna zaroori hai kyun keh tamam mulk ya soobay se unhon ne khabrain wasool karni hoti hain aur apne akhbar mein chapni hoti hain.

Intezamia Ko Zaroorat: Intezamia ya hukumat ke officers ko bhi telephone rakhna zara zaroori aur mufeed hai kyun keh aman o aman se mutaliq khabron ka un tak mukhtalif ilaqon se pohanchna zaroori hota hai.

Zara e Amdoraft: Rail gari, hawai jahaz aur bus waghera ki rawangni aur amad ke silsila mein railway station, airports, aur buson waghera ke adon per telephone ke zariye un ki amad aur rawangi ka pata chalanay ke liye rozana seenkron telephone mosool hotay hain aur log wahan se maloomat hasil karte hain.

Hospitals Se Rabta: Hasptalon waghera se rabton ke liye bhi telephone bari zaroori aur karamad chez hai. Doctors ko emergency mein bulanay ya mashwara karne, kamra dastyab hone aur operation waghera ke intezamaat aur fees aur doctors ki mojoodgi ke bare mein ghar baithay bithaye mufeed maloomat telephone par hasil ho jatihain.

Daftaron Ki Zaroorat: Daftaron (offices) aur sarkari idaron mein telephone ki ahmiyat se koi shakhs inkar nahin kar sakta. Apne mehkma ke maqami aur degar shehron ke officers aur degar mehkmon se rabta ke liye telephone bohat mufeed chez hai. Maloomat hasil karne mein telephone se bohat kaam liya jata hai.

Mukhtasir ye keh telephone aik bari mufeed ijad hai jis ki kabhi na kabhi aam logon ko bhi zaroorat parr jati hai. Is ki fees bhi zayada nahin hai aur aam admi ki pohanch mein hai. Kaha jata hai keh chand salon ke andar telephone kartay waqt telephone karne wale ki tasweer bhi telephone sunnay wale ko nazar aya kare gi.

Ye Telephone Par Mazmoon Imtihan Mein In Topics Par Bhi Likh Sakte Hain

invention of telephone in urdu, essay on advantages and disadvantages of telephone in urdu, telephone ke faide aur nuqsanaat.
logoblog

Thanks for reading Telephone Essay Urdu Telephone Ki Ijad Essay Telephone Invention Information Mazmoon

No comments:

Post a Comment