Italy Visa Pakistan Italy Visa Urdu Information Italy Visa Application

  Lal Gulab      

Unan se lay kar italy tak aur libya se lay kar europe ke jazeeron aur sahilon tak samandar par sirf maal bardaar behri jahaz hi safar kartay hue nazar nahin atay balkeh kuch aisi kashtiyan bhi nazar ati hain, jin ki khabrain aksar aap ne tv, akhbaron ya internet par parhi hon gi, misal ke tor par ye khabar. Tarkeen e watan ki kashti ko Italy ke qareeb hadsa, Italy janay wale tamam log samandar mein doob gaye.
Italy woh mulk hai jis ke jazeeron tak kayi dahaiyon se insani smuggling jari hai. Logon ne maut ko galay laga liya italy pohanchtay pohanchtay. Lekin aap ye sun kar heran hon gey ke usi Italy mein logon ko muft passport aur lakhon rupay bhi diye ja rahe hain keh woh Italy ayain aur apni zindagi isi mulk mein guzarain. Magar italy aisa kyun kar raha hai kyun woh dusre mulkon ke shehriyon ko italy ka passport aur hazaron euro de kar Italy bula raha hai. Yehi pata laganay ke liye aaj hum Italy ke 2 ilaqon mein jayain gey. Aik ilaqa tou Italy ka passport dene ki peshkash kar raha hai lekin raqam dusre ilaqe ke muqablay mein kam de raha hai. Jabkeh jo dusra ilaqa hai woh 90 lack rupay rupay yani aap yun samajh lain ke 1 crore rupay dene ki peshkash kar raha hai.

1 - Tuscany - تسکانی
Tuscany mein aise kayi pahari qasbay bhi hain jahan par log rehna pasand nahin karta. Aur jo pehle se yahan reh rahe hain woh bhi behtar zindagi ki khatir in paharon se nikal rahe hain. Kuch Italy mein hi kahin abad ho rahe hain kuch Italy se hi ja rahe hain. Tuscany ke in qasbon ko weerani se bachanay ke liye in gharon ko abad rakhnay ke liye Italy ki hukumat logon ke liye Mountain Fund 2024 ke naam se aik programme lay kar ayi hai. Jis ke liye 2 point 8 million euro (2.8) rakhe gaye hain. Jo Tuscanay mein anay walon mein bantay jayain gey. Jo Italy ke in paharon mein zindagi bhar ke liye rehnay aye ga usay kam se kam 10,000 euro jabkeh zayada se zayada 30,000 euro diye jayain ge. Yani aaj ke din ke hisab se pakistani taqreeban 90 lakh rupay. Is programe mein bohat si sharait bhi lago ki gayi hain aur italy visa application jama karwanay ki akhri tareekh is maheenay ki 27 tareekh rakhi gayi hai. Is programme mein jahan italy ka har shehri hisa lay sakta hai wahin europe ke kisi bhi mulk mein rehnay walon ko bhi ijazat di gayi hai keh woh Mountain Fund 2024 se faida utha saktay hain.

Woh log jin ka taluq europe se nahin jese Pakistan aur India se hai tou woh bhi is programme ke liye ahal hain lekin sirf isi surat mein ke agar un ke paas pehle se hi italy ka 10 saal ka residence permit hai.

2 - Sardinia
Italy ka dusra ilaqa jo logon ko italy bula raha hai woh hai Mediterranean Sea ka jazeera Sardinia.
Sardinia mein young logon ki abadi ko barhanay ke liye Italy ye programme samnay laya hai keh jo Sardinia mein rehnay aye ga usay 15000 euro yani Pakistani 45 lakh rupay milain gey. Is sceme ki shart ye hai ke ye paise sirf usi ko milain gey jo sari zindagi yahan rehnay ke liye tayar ho ga. Usay Sardinia mein us ilaqe mein rehna ho ga jahan ki abadi 3000 logon se kam hai.
Aik shart ye bhi hai ke Sardinia mein anay ke 18 maheenon ke andar andar permanent residency ke liye register karwana ho ga. Jo 15000 euro diye jayain gey us raqam se Sardinia mein ghar khareednay ya usay renovate karnay ke ilawa aur koi kaam nahin kiya ja sakay ga. Hukumat 15000 euro ikathay nahin de gi. Aur aik shart ye bhi hai keh koi burha shakhs is programme ke liye ahal nahin hai.

logoblog

Thanks for reading Italy Visa Pakistan Italy Visa Urdu Information Italy Visa Application

No comments:

Post a Comment