How to Use Vall-e In Pakistan India Artificial Intelligence Urdu Hindi

  Lal Gulab      

Vall-e Artificial Intelligence Mazmoon: Masnoi zahanat dunya mein aur kya kuch badalnay ja rahi hai ye jannay ke liye aglay chand saal baray aham hain. Kyun keh dunya ab badlay gi. Aur bohat teezi se. G haan aap ne Chat GPT aur Google Bard ke bare mein suna ho ga. Ab Microsoft soft ne masnoi zahanat par mabni aik software banaya hai jo sirf teen second tak kisi ki bhi aawaz sun kar us ki hu bahu naqal kar sakta hai. Yeh text to speech software hai jo keh aawaz ke utaar charhao aur jazbati lehjey ki bhi naqal karta hai.

What is Vall-e or GPT-3 - Miscrosoft Vall-e Kya Hai?

Insani awaz churanay wale ya naqal karnay wale is AI Text to speech software ka naam Vall-e hai isay GPT-3 bhi kehtay hain. Aap Vall-e mein kuch likhain gey chahe woh urdu language mein ho ya hindi mein ya phir english mein tou ye aap ke likhay hue words ko us awaz mein record kar de ga jis awaz mein aap chahain gey chahay woh aap ki awaz ho ya phir kisi ki bhi. Is ke liye aap ko 3 seconds ka woh audio sample software mein daalna ho ga jis awaz mein aap record karna chahtay hain. Yani ye software dunya ke kisi bhi insan ki awaz mein record kar sakta hai. Kam se kam 3 seconds jabkeh is se zayada duration ki audio file bhi behtar result ke liye darkaar hogi.

Kya Vall-e Voice Recording Software Khatarnak Ho Sakta Hai? Faide Aur Nuqsanat 

Is ka answer yes mein hai kyun keh ye har insan ki awaz nikal sakta hai aur result haqeeqat se qareeb tar hotay hain is liye agar koi kisi ki awaz mein kuch bhi record karna chahay tou woh asani se record kar ke usay musibat mein daal sakta hai. Lihaza jahan is ke bohat se faide hon gey wahin ye bohat se logon ki zindagiyan bhi khatray mein daal sakta hai. Ab isay kab, kaise aur kis tareeqay se dunya ke istemal mein laya jaye ga ye dekhna bohat aham ho ga.

Vall-e Ke Faide

Is ke benefits ki baat ki jaye tou ye un logon ke liye faide mand hai jo internet par videos bananay ke liye apni awaz mein scripts record kartay hain. Agar koi fankar film ki dubbing darmiyan mein chorr kar kahin aur masroof ho jata hai tou us ki dubbing is software se ki ja sakti hai. Voiceover karna is se is terhan ke chhootey umoor wall e ae aayi achi terhan nibha sakta hai.

How to Use Vall-e

Kisi bhi shakhsiyat se woh alfaaz ada karwana jo us ne kabhi kahe hi nahin fake recording aur jali audio ke zumray mein aata hai. Isi wajah se ye software itni asani se har kisi ke istemal mein nahin ho ga. Lekin kabhi na kabhi microsoft isay istemal karnay ke liye release karay gi lekin kin sharait par ab ye dekhna ho ga. Kyun keh arbon dollar ki investment microsoft ne yunhi nahin ki. Is ke istemal ka mehfooz tareeqa samnay atay hi ye download ya online use karnay ke liye available ho ga.

logoblog

Thanks for reading How to Use Vall-e In Pakistan India Artificial Intelligence Urdu Hindi

No comments:

Post a Comment