Pompeii History In Urdu Documentary Pompeii City Facts In Hindi - Pompeii Meaning: Pompeii aik qadeem roman shehar tha jo keh aik atish fishan ke phatnay ki wajah se zameen mein dafan ho gaya tha. 2000 saal baad asar e qadeema ke mahireen is shehar ko manzar aam par lay aye hain. Is qadeem shehar ke logon ko hadsay ke waqt kisi qisam ke bachao ka moqa nahin mil saka tha aur dekhte hi dekhte tamam shehar atish fishan ki rakh ke nechay dafan ho gaya tha. Jub 2000 saal baad mahireen ne is shehar ko khoodna shuru kiya tou unhain ye dekh kar bohat herani hoi keh yahan bohat si cheezain mehfooz thien.
Pompeii History In Urdu |
Is shehar ki haqeeqat un kahaniyon se zayada qabil e zikar hai jo hum filmon ya phir kitabon mein parhtay hain. Apne shandar dinon mein ye qadeem shehar aik karobari markaz tha aur yahan par aik taraqi karti hoi bandargah bhi mojood thi. Is shehar ki barbadi ki wajah ye thi keh ye shehar atish fishan ke saye mein tameer kiya gaya tha. Ye atish fishan aik zordar dhamakay se phata tha aur asman par us ke pathar aur pighli hoi rakh urnay lagi thi. Jub ye rakh aur pathar zameen par aa giray thay tou wahan mojood 20000 bashindon mein se kayi afrad halak ho gaye thay. Kuch logon ne samandar ki taraf janay ki koshish ki magar unhain bhi koi jaye panah hasil na ho saki. Zayada tar log laway ki aag se jal kar halak hue thay. Atish fishan ki lehron ka darjah hararat taqreeban 400 degree celcius tha aur sath hi zehrili gas ka bhi ikhraj ho raha tha jo keh 60 meel fee ghanta ki raftar se safar kar rahi thien.
Bunyadi tor par atish fishan ke phatnay ka amal 18 ghantay tak jari raha tha aur baqi sargarmiyan 3 din tak jari rahien aur 20000 se zayada log is ke malbay talay tab kar halak hue thay. Sadiyon pehle ye gumshuda shehar achanak hadsati tor par us waqt daryaft hua jub 18th century mein aik kisan ne kunwan khoodnay ke liye khudai ka amal shuru kiya. Jub us ki mazeed khudai hoi tou wazeh ho gaya keh is shehar ko atish fishan ne aik lamhe mein apne qabzay mein lay liya tha. Us bari tabahi ke bawajood yahan se milnay wali emaratein, mujasmay aur namoonay jin ke rang judagana thay herat angez tor par bilkul sahi halat mein thay.
Is shehar mein 2 theater, aik wasi kheel ka maidan, marketain, garam aur sard ghusal khanay, saaf pani ki musalsal farahmi, wasi bagh, shandar sarkari imaratien, ghar aur kuch swimming poll bhi mojood thay. Yahan ke shehriyon ki masroof tareen zindagi is janib bhi ishara karti hai keh yahan par kam se kam 89 fast food caffee bhi mojood thay.
Pompeii asar e qadeema ke mahireen ke liye nihayat ahmiyat ki hamil hai kyun keh ye europe mein apni noeeyat ki anookhi jagah hai. Pompeii shehar ka 2 tehai hisah daryaft kar liya gaya hai aur khudai abhi bhi jari hai. Pompeii shehar par bani video aap ne dekh li ho gi par urdu aur hindi mein kuch pompeii par movies bhi ban chuki hain unhain bhi jald yahan upload karne ki koshish ki jaye gi.
No comments:
Post a Comment