Darya e Nile Ke Kinare Dunya Ka Woh Ilaqa Jahan Har Ghar Mein Magarmach Rehte Hain - Darya e nile bar e azam africa mein behne wala dunya ka sub se bara darya. Darya e nile mein woh anaconda saanp tou nahin hain jo brazil ke darya e amazon mein paye jatay hain. Lekin is darya ke pani mein woh magarmach zaroor paye jatay hain jinhon ne is darya kinare kayi logon ki jaan ley rakhi hai. Magarmach hazaron saalon se is darya ka hisa hain yehi nahin is darya ke kinare dunya ke zehreelay tareen kobra saanp bhi dekhe gaye hain. Jis tarah samandaron ko aik alag dunya kaha jata hai isi tarah darya e nile bhi khud mein aik alag hi dunya hai.
River Nile History In Urdu / River Nile Village Information:
Darya e nile ki tareekh ki baat ki jaye tou Darya e nile woh darya hai jis ke naam Hazrat Umar RA ne letter likha thaye hazaron saalon se africa mein behta chala araha hai aur misr ke liye zindagi ka baes bana raha hai.
Darya e nile 11 mumalik se behta hua samandar mein ja girta hai lekin samandar mein mil janay se pehle ye misr ke kayi ilaqon se bhi guzarta hai. Aur unhi ilaqon ki sair karne log dunya bhar se misr atay hain. Unhi ilaqon mein se aik gharb soheil nami village bhi hai.
Ye misr ka woh anokha gaon hai jisay dekh kar log heran reh jatay hain. Ye dunya ka woh wahid aisa gaon hai jahan har ghar mein magarmach rehtay hain.
Agar aap zindagi mein kabhi yahan ayain tou aap ko yahan ke gharon ke
darwazon par hanoot shuda magarmach dikhayi dain ge. Yehi nahin agar aap
ko in gharon mein janey ka ittafaq ho tou yahan par zindah magarmach bhi
rehtay hain.
Yahan ki khawateen aur bachay bhi crocodiles se nahi dartay aur aik hi sath aik hi ghar mein rehtay hain. Asal
mein yeh gaon Nubia tahazeeb ka markaz hai. Nubia ke bashindon ke
gharon ke darwazon par ya dewaron par aur gharon ke andar magarmachon ka
hona aik saqafati rivayat hai.
Yahan aik heran kar dene wali baat ye hai keh zinda magarmach ko ghar ke andar rakhna ya hanoot shuda magarmach ko ghar ki deewaron par latkana hi kafi nahin hai balkeh yahan ke logon ka manna hai keh magarmach jitna purana ho ga ghar walon ke liye usay utna hi baes e fakhar samjha jaye ga.
Darya ke nile ke kinare basnay wale logon ka kehnay ka hai magarmach unhain nazar e bad se bachatay hain aur paise bhi kama kar dete hain. Woh is tarah ke log misr samait dunya bhar se Nubia ke logon ke is gaon mein atay hain tou woh magarmachon ke sath tasweerain banwatay hain aur in ke bare mein maloomat hasil karte hain tou badlay mein yahan ke log un se paise letay hain. Yun yahan ke magarmach muqami logon ke liye rozgar ka zariya ban jatay hain.
Yahan ke gharon ko mukhtalif rangon se sajaya gaya hai lekin yahan ki galiyon aur imaraton par aap ko jo rang sub se zayada dikhai de ga woh neela aur safaid hai.
Saiyahon ke theharnay ke liye yahan kayi hotel bhi banaye gaye hain jabkeh kuch hotel tou aise bhi hain jinhon ne saiyahon ko darya e neel ki sair karwanay ke liye apni kashtiyan bhi khareed rakhi hain.
Muqami logon ke liye sirf kashtiyan aur magarmach hi nahin balkeh ye ont bhi rozgar ka zariya hain. Kyun keh bahir se anay wale log in par sawar ho kar is gaon ke makanaat aur un ki deewaron par latkay magarmachon ka nazara karte hain.
Darya e neel ke kinare basnay wale yahan ke log magarmachon ke sath sath nach ganay ke bhi be had shoqeen hain. Ye mukhtalif moqon par mil baithtay hain aur apne hi andaz se apni zindagi jeetay hain.
No comments:
Post a Comment