USA RUSSIA BORDER Urdu - Aik samandar jisay dunya Bering Sea ke naam se janti hai us par 2 jazeeray aise hain jin ke bare mein dunya mein kam hi log jante hain. Aik jazeera Russia mein hai aur dusra jazeera America mein hai jo keh Russia aur America ke darmiyan border ki hesiyat rakhte hain. Russia mein waqe jazeeray ka naam Big Diomede hai aur ye Rus ke ilaqe Siberia ka hisa hai jabkeh America mein waqe jazeeray ka naam Little Diomede hai aur ye America ki riyasat Alaska ka hisa hai. Alaska amreeca ki wohi riyasat hai jo kabhi Russia ka hisa hua karti thi. Kyun keh Russia ne apni tareekh ki aik bari ghalti kar ke is intihai khubsurat ilaqe ko $7.2 million dollar ke badlay amreeca ke hawalay kar diya tha. Aur yun ye donon mumalik aik dusre ke hamsaya mulk ban gaye.
In donon jazeeron ki aik dilchasp baat ye bhi hai keh in donon ke darmiyan se international date line bhi guzar rahi hai isi wajah se in donon jazeeron ke waqt mein 21 ghanton ka farq hai yani amreeci jazeeray par agar 31 december 2020 hai aur raat ke 3 bajay ka waqt hai tou Russia ke jazeeray par yakam january 2021 ki tareekh ho gi aur raat ke 12 bajay ka waqt ho ga. Yani amreeca ke jazeeray par rehnay wale rus ke jazeeray par nazar daal kar mustaqbil mein rehnay wale logon ko dekh saktay hain aur agar koi rus ke jazeeray se amreeci jazeeray par pohanch jaye tou woh aik baar phir se 2020 mein pohanch jaye ga aur usi din ko guzar paye ga jo us ki zindagi se guzar gaya tha. Aur isi tarah amreeci jazeeray se agar koi rus ke jazeeray par pohanch jaye tou woh aik din pehle hi 2021 mein dakhil ho jaye ga. Is liye in donon jazeeron ko aaj aur kal ke jazeeray kaha jaye tou ghalat nahin ho ga.
Amreeci jazeeray little diomede par is waqt 115 log rehtay hain jo dunya se kat kar bohat door tanhai mein apni zindagi jee rahe hain. Yahan rehnay walon ke liye na koi sarak hai na koi restaurant hai aur na koi hotel hai aur na hi sair o tafreh ke liye yahan koi park hai. Yehi nahin yahan na tou phone service hai aur na hi internet hai. Yahan ke bashindon ke liye bahir ki dunya se rabta karne ka bas aik hi tarika hai aur woh hai settalite phone. Is ke ilawa yahan ka mausam zindagi ko mazeed mushkil bana deta hai january mein yahan ka ausat darja hararat -23 degree centigrade hota hai jabkeh december se june ke aghaz tak yahan samandar bhi barf se dhaka hua dikhai deta hai.
Little Diomede ke rehaishiyon ke liye yahan agar koi chez hai tou hai hai 1 post office, aik clinic, aik school aur khareedari ke liye aik store. Yahan mojood store ka naam Diomede Native Store hai. Aur America ke door daraz is jazeeray par rehnay wale bachon ke liye jo school banaya gaya hai us ka naam Diomede school hai. Diomede School mein parhnay wale bachon ki tadad 24 hai jabkeh school mein teachers ki tadad 6 hai.
No comments:
Post a Comment