- Nosok, Russia
Yahan parnay wali shadeed sardi ki wajah se kheeti bari na mumkin hai is liye yahan basnay walon ka karobar qutbi hiran, ghoron ki farokht aur ice fishing hai.
Rus ke kisi bare shehar se yahan gari par pohanchna na mumkin hai kyun keh yahan tak pohanchne ke liye koi sarak nahin hai yahan anay ke 2 hi tareeqay hain aik tareeqa helicopter ke zariye aur dusra tariqa darya e Yenisei ke rastay kashti ke zariye aur woh bhi tab jub darya barf se jama hua na ho.
Raattama, Finland
Finland
mein darya e Ounasjoki ke maghribi kinare par aik pur aman aur
khubsurat gaon abad hai. Ye hai woh gaon is ka naam Raattama hai. Yahan
dunya ki 7.8 arab ki abadi mein se sirf 115 log rehtay hain. Jo apni
zindagi ke kayi haftay andheeron mein guzaar chukay hain. Yani Raattama
bhi dunya ke un ilaqon mein shamil hai jahan kayi hafton tak suraj nahin
nikalta. Yahan is saal akhri baar suraj 7 december ko niklay ga aur
phir 27 din ke liye kainaat ke nazaron se ghaib ho jaye ga. Yun yahan ke
bashinde naye saal ka aghaz andhere mein karain ge. Aglay saal yahan
suraj 4 january ko dopehar 12 baj kar 6 minute par niklay ga aur sirf 23
minute aur 11 second ke baad aik baar phir se dhal jaye ga. Lekin us ke
baad asman par suraj dikhai dene ka dorania bharhta jaye ga. Raatama
mein aisa har saal hota hai agar aap Finland aa kar is shehar ki taweel
raton ka nazara karna chahte hain tou aap Finland ke capital Helsinki se
12 ghantay ka safar kar ke yahan pohanch sakte hain.
Dunya Ka Baqi Ilaqay Bhi Dekhain Jahan Suraj Nahin Nikalta
No comments:
Post a Comment