Hiroshima Nuclear Bomb Urdu Hindi Aik Bache Aur Us Ke Lunchbox Ki Sachi Kahani Part 2

  Lal Gulab      
Hiroshima Nuclear Bomb Urdu Hindi - Shigeru's Lunchbox Ye jo lunch box aap ko dikhai de raha hai is ki ye halat bhi amreeca ke atom bomb ne hi ki thi. Jub amreeci bombar tayare ne hiroshima par atom bomb giraya tou us waqt ye lunch box atomi hamlay ki jagah se kafi door para hua tha magar is ke bawajood is mein aag lag gayi aur is mein mojood lunch jal kar koela ban gaya. Ye lunch box asal mein hiroshima ke aik 13 saalah bad kismat larkay ka tha. Ye hai woh larka is ka naam Shigeru Orimen tha.

Orimen 1932 ko japan mein paida hua tha lekin zindagi ke sirf 13 saal hi dekh paya tha. Orimen Hiroshima ke jis school mein parhta tha us school ka naam Second Hiroshima Junior High School tha. 6 August 1945 ki subah jub Orimen apne ghar se rawana hone laga tou Orimen ki maa jin ka naam Shigeko tha unhon ne apne betay ki pasand ki aik japani dish banai jo keh chawalon se banai jati hai aur usay is lunch box mein daal kar Orimen ke hawalay kar diya. Orimen ne khushi se apni maa se ye lunch box liya aur zindagi mein akhri baar unhain mil kar hamesha hamesha ke liye ghar se rawana ho gaya.
Jang ke doran amreeca kyun keh japan ki mukamal naka bandi kar chuka tha aur japan bahir ke mumalik se koi chez bhi mangwa nahin pa raha tha is liye hiroshima ke bazaron mein chawal, sabziyan aur khanay peenay ki dusri cheezain na honay ke barabar thien. Agar koi chez kahin se mil bhi rahi thi tou us ki qeemat bohat zayada thi. Isi wajah se Hiroshima ke bohat se logon ne apne gharon mein hi 1943 se sabziyan ugana shuru kar dien thien. Lekin chawal khareednay ke liye unhain hiroshima ke bazaron mein hi jana parta tha.
Orimen kyun keh apni maa se kayi hafton se ye farmash kar raha tha keh woh chawlon se bani apni pasandida dish khana chahta hai is liye us ki maa ne apne betay ki khwahish puri karne ke liye kahin se mehnge damon chawal hasil kiye lekin woh chawal Orimen ke muqadar mein nahin thay kyun keh theek subah 8:15 minute par amreeci b-29 bombaar tayare ne hiroshima par atom bomb gira kar usay rakh aur malbay ka dheer bana diya.
Atomi hamlay ke baad hiroshima ke asman par dhunwain ke badalon ke siwa kuch dikhai nahin de raha tha. Jin logon ko atom bomb ne jala diya tha woh hiroshima ke daryaon ka rukh kar rahe thay lekin Orimen ki maa apne aap ko bachanay ke liye kisi darya ki taraf nahin gayi balkeh woh jali hoi halat mein hi apne betay Orimen ko talash karne ke liye nikal parien. Rastay mein unhain jo bhi milta us ka chehre is qadr jala dikhai deta tha keh koi usay pehchan bhi nahin sakta tha. Subah se raat tak woh Orimen ko talash karti rahien magar 6 august 1945 ka bhayanak din tou guzar gaya lekin Orimen unhain kahin bhi dikhai na diya.
Lekin unhon ne us ki talash jari rakhi aur 3 din baad 9 august 1945 ko unhain Orimen ki intihai buri halat mein jali hoi lash dikhai di jis ke sath ye jala hua lunch box bhi jura hua tha
Aman aur jang bandi ke naam par itna zulm itni tabahi kisi bhi tarah se insaniat nahin kehlati. Janwar bhi jungle mein aisi tabahi nahin machatay jesi tabahi amreeci sadar trueman ke hukam par hiroshima mein macha gayi thi.
logoblog

Thanks for reading Hiroshima Nuclear Bomb Urdu Hindi Aik Bache Aur Us Ke Lunchbox Ki Sachi Kahani Part 2

No comments:

Post a Comment