Hiroshima History In Urdu Hindi Atom Bomb Ka Samna Karne Wale Shinichi Tetsutani Ki Kahani - Aaj se taqreeban 2 saal pehle maine Japan par atomi hamlon se mutaliq aik series shuru ki thi jis ki 8 episodes aa chuki hain aur ye 9th episode hai.
Pehli episode mein aap ne ye jana tha keh amreeci jangi jahaz ne kis tarah japan ke shehar hiroshima par atom bomb giraya tha. Us video mein aap ne ye bhi jana tha keh atom bomb girnay ke baad hiroshima shehar ki kya halat hoi thi aur wahan ke takleef deh manazir kese thay.
Dusri episode mein aap ne ye jana tha keh kis tarah badlon ki wajah se Nagasaki shehar ki bad kismati ayi thi aur us par atom bomb gira kar us shehar ko aag ka darya bana diya gaya tha. Aur aaj ki is episode mein main aap ko atomi hamlay ke baad hiroshima shehar se jama ki janay wali kuch cheezain dikhanay wala hon. Woh cheezain 6 august 1945 ke din hiroshima mein mojood un begunah mard o khawateen aur masoom bachon ki yaad dilati hain jinhon ne qayamat se pehle atom bomb se utarti hoi qayamat dekhi thi. Hiroshima ke woh tamam begunah log aur masoom bache tou is dunya se chalay gaye lekin atomi hamlay ke baad hiroshima se milnay wali un ki cheezain aaj bhi bohat se logon ki ankhon mein ansu bhar deti hain.Hiroshima se milnay wali woh cheezain kin logon ki hain aur kon kon si hain tou chaliye main aap ko woh cheezain dikhata hon aur batata hon keh un logon ki dastanain kitni dardnak hain.
- Shin's Tricycle
Hiroshima Ke Shinichi Tetsutani Ki Cycle |
Ye jo cycle aap ko dikhai de rahi hai is ki ye halat amreeca ke little boy nami atom bomb se nikli hoi aag ne ki thi. Ye cycle us jagah se kafi door thi jahan par atom bomb gira tha magar is ke bawajood is cycle ki ye halat hoi thi. Hiroshima par atom bomb giranay ke taqreeban 75 saal guzar janay ke baad aaj bhi ye cycle atom bomb ki tabah kariyon aur dusri jang e azeem ki holnakiyon ki aik talkh yad dhani ke tor par hiroshima shehar mein hi mojood hai. Agar koi is cycle ko hiroshima ja kar apni ankhon se dekhna chahe tou usay hiroshima ke is museum mein jana ho ga kyun keh ye cycle isi museum mein rakhi gayi hai. Is museum ka naam Hiroshima Peace Memorial Museum hai. Museum mein is cycle ko dekh kar bohat se logon ki ankhain ansuon se bheeg jati hain. Yehi nahin japani bache bhi is museum mein aa kar jub is cycle ko dekhte hain tou woh bhi afsurda ho jatay hain. Is ki wajah ye hai keh ye cycle Hiroshima ke aik bad kismat bache ki thi jo keh sirf teen saal 11 maheenay aur 3 haftay ka tha.
Ye hai woh bacha is ka naam Shinichi Tetsutani tha. Amreeca ke atom bomb ne is ki salgirah se sirf 10 din pehle is se is ka sara bachpan sari zindagi cheen li thi. Hiroshima Peace Memorial Museum mein is cycle ke sath hi Shinichi ki aik bari tasweer bhi rakhi gayi hai. Ye hai woh tasweer is tasweer mein dikhai dene wali ye bachi Shinichi ki bari behan thi. Ye bhi amreeca ke atomi hamlay mein shinichi ke sath hi is dunya se rukhsat ho gayi thi. Is tasweer ko dekh kar adaza hota hai keh jangain siasat danon aur gernailon ka tou kuch nahin bigaar saktien asal nuqsan aam awam ka aur in jese begunah aur masoom bachon ka hota hai jo apni puri zindagi bhi jee nahin patay. Is bache ki kahani bari dard naak hai is bache ki kahani par kuch din mein aik alag se video isi website par aye gi us mein aap is bache ki is ke maa baap ke sath ki gayi us guftugu ke bare mein jaan sakain ge jo atom bomb girnay se kuch din pehle ki gayi thi. Is ke ilawa ye bhi jaan sakain ge keh ye cycle is bache ko kis ne di thi aur atom bomb girnay se pehle aur baad mein wahan kya ho raha tha.
Next>>> Hiroshima Ki Agli Kahani Parhain Part 2
No comments:
Post a Comment