Hiroshima Atom Bomb Urdu Hindi 6 August 1945 Story WW2 Information Urdu

  Lal Gulab      
Hiroshima Atom Bomb Urdu Hindi 6 August 1945 Story - Aap ne zindagi mein kabhi kanchay ya bantay nami aik kheel tou kheela hi ho ga. 6 august 1945 ke din hiroshima mein bhi ye kheel aik bacha kheel raha tha. Japan ke us bache ka naam Toshihiko Matsuda tha us ka bachpan aur sari zindagi amreeci atom bomb khatam kar dali. Is kheel ko Pakistan mein kanchay ya bantay kehtay hain lekin angrezi mein is kheel ko marbles game kaha jata hai.

Ye thay woh marbles jin se Toshihiko apne doston ke sath kheela karta tha. Baaz auqat Toshihiso ye kheel apni maa ke sath bhi kheela karta tha. Un ka naam Yukimi tha. Jub dusri jang e azeem ke baad amreeca ne japan par hamlay shuru kiye tou Yukimi apne shohar aur bachon ko lay kar Hiroshima chali ayien. In ke khayal mein hiroshima woh shehar tha jahan woh jang ke doran apne bachon ke sath mehfooz reh kar zindagi guzar sakti thien.Lekin apne shehar ko chhor kar Hiroshima chalay ana in ki zindagi ki sub se bari ghalti sabit hua kyun keh amreeci atomi hamlay mein Yukimi apna ghar mukamal tabah hone ke baad bhi zinda tou bach gayien thien lekin Toshihiko kafi buri tarah se jalnay ke baad shadeed tez bukhar mein mubtala ho chuka tha. Is duny se janay se pehle Toshihiko ne apni maa se kaha tha
Mujhe kuch nahin ho ga main nahin maron ga.
Lekin Toshihiko atomi hamlay ke 15 din baad 21 august 1945 ko is dunya se chal basa. Us ke dunya se chalay janay ke baad us ki maa ne japaniyon ko apne betay ki zindagi ke akhri alfaz ke bare mein bataya. Toshihiko ki zindagi ke akhri alfaz ye thay.
Main chemistry ki taleem hasil karon ga main apne dushmaon se apna badla loun ga.
Atomi hamlay ke kuch hafton baad jub Yukimi ne apne tootay hue ghar ka malba hataya tou unhain malbay ke nechay se ye marbles dikhai diye. Inhain dekh kar Yukimi apne ansu na rok payien aur us ne inhain apne betay ki akhri yaad ke tor par apne paas mehfooz kar liya.
 
Jub woh burhi ho gayien tou unhon ne 1983 mein in marbles ko Hiroshima Peace Memorial Museum ke hawalay kar diya. Takeh un ke dunya se janay ke baad in marbles ke zariye log un ke betay ko bhi yaad rakhain. Aur ye bhi yaad rakhain keh atom bomb ki ankhain nahin hotien us ka kaam sirf tabahi hai chahe koi chota ho ya bara ho aur chahe koi begunah aur jang ke khilaf hi kyun na ho. Yukimi ne in marbles ke sath sath Toshihiko ki aik shirt aur trouser bhi Hiroshima Peace Memorial Museum mein rakhwaya tha. Aaj Yukimi is dunya mein mojood nahin hain lekin in jese bohat se japaniyon ki dardnak kahaniyan bikhri pari hain.
 
Hiroshima Ki Tamam Kahaniyan Parhain Yahan >>> All Stories Of Hiroshima
 
logoblog

Thanks for reading Hiroshima Atom Bomb Urdu Hindi 6 August 1945 Story WW2 Information Urdu

No comments:

Post a Comment