Real Love Story In Urdu Hindi Mohabbat Ki Sachi Kahani Video Mein

  Lal Gulab      
Kahani Us Shakhs Ki Jis Ne 11 Mumalik Ke Borders Paar Kar Ke Aik Larki Ke Liye Europe Janay Ki Koshish Ki Aur Woh Bhi Cycle Par - Tou chaliye ye jannay ki koshish karte hain keh woh shakhs kon tha us ka taluq kis mulk se tha aur woh larki kon thi kis mulk mein rehti thi jis ke liye us ne 11 mumalik ka borders cycle par paar karne ki koshish ki thi.

1949

Ye 1949 ki baat hai bharat ki riyasat Odisha mein Athmallik nami chote se qasbe mein aik aisa larka paida hua jo bara ho kar aik larki ke liye cycle par europe ka safar karne wala tha. Us larke ka naam PK Mahanandia rakha gaya. PK aik intihai ghareeb gharanay mein paida hua tha. PK ne apna bachpan Mahanadi river aur us ke qareeb jungle mein guzara. Ye hai Odisha ka woh darya jis ke kinare PK apne bachpan ke din ghurbat mein guzara karta tha. Isi darya ke kinare kheeltay hue us ka sara bachpan guzar gaya aur woh bara ho gaya lekin ghurbat ne tab bhi us ka peecha na chora. Woh bhi dunya ke ameer logon ki tarah hi zindagi jeena chahta tha woh bhi chahta tha keh us ka aik acha ghar ho us ke paas bhi aik achi gari ho aur sari zindagi usay paise ki koi kami na ho.

Jub woh 18, 19 saal ka tha tab us ki mulaqat aik aisi aurat se hoi jo kismat ka haal bataya karti thi. PK ne usay apni zindagi ke bare mein batanay ke liye kaha tou us aurat ne usay bataya:
Tumhari shadi aik aisi larki se ho gi jo tumhare liye bohat door se aye gi, Woh 21 april se 21 may ke doran paida hoi ho gi. Usay piano bajanay ka bhi bohat shoq ho ga aur woh bohat zayada ameer bhi ho gi aur jahan woh rehti ho gi unhi ilaqon mein us ka aik apna jungle bhi ho ga us ke atay hi tumhari zindagi behtar ho jaye gi aur us ke baad tum us tak pohanchne ke liye us ke qadmon ka pecha bhi karo ge aur woh safar hazaron km ka ho ga.
Us ki baat sun kar PK Mahanandia bohat khush hua woh usi larki ka intzaar karne laga jo baqool us aurat ke us ki zindagi badalne wali thi aur hazaron km door se usay milne anay wali thi. Kayi maheenay guzar gaye yahan tak ke kayi saal guzar gaye magar PK ki zindagi mein aisi koi larki na ayi jo bohat door kisi mulk se ayi ho aur jis ka apna aik jungle bhi ho. Usay yaqeen hota ja raha tha keh shayed aisi koi larki hai hi nahin jo us ke liye bohat door se aye gi magar phir bhi kabhi kabhar usay aisa lagta tha keh ho sakta hai keh aik na aik din koi larki hazaron km ka safar tay kar ke us ki zindagi mein chali aye. Ghurbat mein zindagi ke din guzarna us ke liye aur bhi mushkil hota chala gaya. Woh apni zindagi behtar karne apni ghurbat ka khatma karne aur koi naukari hasil karne bharat ke shehar Delhi chala aya. Delhi anay ki us ki aik aur wajah bhi thi aur woh wajah ye thi keh agar hazaron km ka safar kar ke koi larki usay milnay aye gi tou woh darya e mahanadi ya athmallik jese chote se qasbay mein nahin balkeh delhi mein aye gi.

Delhi pohanch kar bhi na us ki zindagi behtar hoi aur na hi usay woh larki dikhai di jis ke liye woh delhi aya tha balkeh us ki zindagi tou aur bhi mushkil ho gayi thi kyun keh delhi mein  kisi bus aday par sota kabhi kisi park mein aur kabhi delhi ke kisi footpath par sota.
1974

Ye 1974 ke dinon ki baat hai London mein taleem hasil karne wali larki jis ka naam Charlotte tha woh chuttiyon mein apne maa baap ko milnay apne watan Sweden rawana hoi. Us ka ghar sweden ke shehar Borås mein tha ye hai woh shehar. Charlotte jub is shehar mein mojood apne ghar mein pohanchi tou us ne apne maa baap ko bataya keh wohaglay saal dunya ki sair karne ka irada rakhti hai aur is ke liye woh aik van ke zariye europe se india tak ka safar karna chahti hai. Us ke ameer baap ne usay dunya dekhnay ki ijazat de di aur Charlotte bhi chuttiyan khatam hone ke baad wapas London rawana ho gayi.

1975

PK Mahanandia jub delhi mein koi kaam na dhoondh paya tou us ne apni rozi roti ke liye delhi ki sarkon par hi paintings banana shuru kar dien lekin tab usay maloom nahin tha keh us ki paintings hi us ki zindagi badal dain gi. Woh footpath par baitha wahan se guzarnay walon ke portrait banata aur apni zindagi ke din chalata. Woh 10 rupay mein aik portrait banaya karta tha.

17 December 1975
Woh 17 december 1975 ka din tha PK Mahanandia 1 saal ke doran hazaron logon ke portrait bana chuka tha lekin us din koi aik shakhs bhi apna portrait banwanay us ke paas nahin aya tha. Woh is umeed mein baitha tha keh kahin se sham dhalnay se pehle 2 - 4 log us ke paas ajayain takeh woh din mein kuch paise tou kama lay. Us ne apne paas aik baray gatay par likh rakha tha
A portrait in 10 minutes for 10 rupees
Usi gatay ko dekhtay hue aik sunehri balon wali larki logon ki bheed mein se nikalti hoi us ke paas ayi aur us se kehnay lagi keh woh bohat door se ayi hai aur wapas apne mulk janay se pehle apna aik portrait banwana chahti hai.

Usay dekhtay hi PK Mahanandia ko aisa laga keh jis larki ki usay talash thi shayed woh larki aa gayi hai. P.K ne hazaron logon ke portrait banaye thay tab us ke hath nahin kampay thay lekin Sweden se ayi larki Charlotte ka portrait banatay hue us ke hathkaanp rahe thay. PK jo dunya ko ye kehta tha keh woh 10 minute mein 10 rupay ka 1 portrait bana sakta hai ab us ki halat aisi ho chuki thi keh woh 20 minute se zayada guzar janay par bhi Charlotte ka portrait sahi tarah na bana paya tha. Us ne jub Charlotte ko us ka portrait dikhaya tou woh us ke talent se mutasir na ho payi usay jub P.K ka banaya hua portrait bilkul bhi pasand na aya tou us ne koi bahana bana kar kaha keh woh kal subah sahi tarah se us ka portrait bana kar usay de ga. Lihaza PK ne Charlotte ko aglay din phir se anay ka kaha aur Charlotte ne bhi dobara anay ki hami bhar li.

Charlotte ke wahan se rawana hote hi PK sari raat yehi sochta raha keh kahin Charlotte wohi larki tou nahin jisay woh pichlay kayi saalon se talash kar raha hai. Us ne faisla kiya keh subah jub Charlotte dobara aye gi tou woh us se kuch sawal puchay ga.

Agli subah Charlotte dobara apna portrait banwanay ayi us ka portrait banatay hue PK ne us se kuch sawal puchay sub se pehla sawal us ne ye pucha:

Kya aap dunya ke kisi aise mulk se ayi hain jo yahan se bohat door hai?

Charlotte ne haan mein jawab diya aur usay bataya keh Germany aur Denmark ke paas aik mulk hai Sweden aur woh usi mulk se ayi hai. Is ke baad P. K. Mahanandia ne aik aur sawal pucha:

Kya aap 21 april se 21 may ke doran paida hoi hain?

Sweden se sair karne ayi larki Charlotte ne is sawal ka jawab bhi haan mein hi diya. Us ki baat sun par P.K heran reh gaya usay yaqeen nahin araha tha keh us najoomi aurat ki baat kese sach ho sakti hai. Lekin ab bhi PK ko mazeed kayi sawalon ke jawab talash karne thay. PK ne portrait banatay hue Charlotte se aik aur sawal pucha:

Kya aap mauseeqi se bhi lagao rakhti hain kya aap ko piano bajanay ka bhi shoq hai?

Charlotte ne is sawal ka jawab bhi haan mein hi diya. Us ke sawalon se ab Charlotte bhi heran honay lagi thi woh soch rahi thi keh PK ko mere bare mein itna sub kuch kese maloom hai. PK ko us ke sub sawalon ke jawab mil chukay thay ab bus aik akhri sawal ka jawab talash karna baqi tha. Is se pehle keh PK us se akhri sawal puchta us ke dil ki dharkanain mazeed tez hoti ja rahi thien kyun keh ab jo sawal woh puchnay wala tha us sawal ke jawab se us ki salon ki talash khatam ho sakti thi. PK ne apna akhri sawal pucha

Aap jis mulk mein rehti hain yaqeenan wahan bohat sare jungle hon ge lekin kya sweden mein koi aisa jungle bhi hai jo sirf aap ka apna hai?

Us ka ye sawal sun kar Charlotte soch mein par gayi keh PK mere bare mein itna kuch kese janta hai. Charlotte kayi dair tak yehi sochti rahi aur us ne PK ke sawal ka koi jawab a diya. Mahool mein khamoshi chai hoi thi. Charlotte ki khamoshi PK ke liye azab ban gayi thi us ke liye aik lamha bhi sadiyon ke barabar ho gaya tha. PK har surat apne is akhri sawal ka jawab janna chahta tha isi liye us ne phir se Charlotte se yehi sawal pucha.

Aap ne bataya nahin kya is dunya mein koi aisa jungle hai jo sirf aap ka hai.
Charlotte ko kuch samajh nahin arahi thi keh akhir PK kon hai aur sirf 20 - 25 minute ki mulaqat mein woh us ke bare mein itna kuch kese janta hai. Charlotte ne jawab diya

Haan mere paas sach mein aik jungle hai magar ye baat aap ko kaise maloom.

Us ka jawab sun kar PK jahan khara tha wahin baith gaya. Usay yaqeen nahin araha tha keh jis larki ko woh jis larki ko barson se talash kar raha tha ab woh us ke samne khari hai.
PK ko zameen par baitha aur sochon mein gum dekh kar Charlotte ne us se pucha:

Ye sub kya ho raha hai meri samajh mein kuch nahin araha aap mere bare mein itna kuch kese jante hain?

PK ne us ki baat ka koi jawab na diya aur zameen se uth kar phir se Charlotte ka portrait bana kar usay dikhaya magar pichli sham ki tarah Charlotte ko us ka banaya hua portrait phir pasand na aya us waqt PK ne us se kaha

Maine hazaron logon ke portrait banaye hain magar aaj tak mere sath aisa kabhi nahin hua jesa ab ho raha hai main pichlay 2 dinon se puri koshish ke bawajood bhi aap ka portrait sahi tarah nahin bana saka main portrait banana bhool gaya hon shayed is ki wajah ye hai keh kayi saal pehle aik aurat ne mujhe aap ke bare mein bataya tha.

Us ki baat sun kar Charlotte heran o preshan ho gayi aur yahin se un donon ki mohabbat ka aghaz hua. Kuch din india mein rehnay ke baad Charlotte wapas apne mulk Sweden chali gayi.

Charlotte tou sweden ja chuki thi lekin PK ab bharat mein us ke bina nahin rehna chahta tha aur us ke sath zindagi jeenay sweden jana chahta tha magar us ke paas hawai jahaz ki ticket khareednay ke bhi paise nahin thay us waqt PK ne faisla kiya keh woh apne paas mojood har chez baich de ga siwaye painting ke saman ke aur woh aik cycle par Charlotte ko milnay us ke sath zindagi jeenay Sweden jaye ga. Lihaza PK ne aisa hi kiya us ne apne paas mojood saman baich diya jis se us ne 80 rupay ki aik second hand cycle khareedi aur sweden janay ki tayariyan shuru kar dien.

22 January 1977
Woh 22 January 1977 ka din tha PK jaib mein 80 dollar lay kar aik cycle par sawar hua aur sweden ke shehar Boras ki taraf rawana ho gaya.
Ab PK ko 6400 km ka safar tay karna tha tab hi woh Sweden mein Charlotte ke shehar mein pohanch sakta tha. Woh roz taqreeban 70 km ka safar cycle par tay karta kabhi thak jata tou kisi truck wale ko rok kar usay apni kahani sunata tou woh truck driver bhi khushi se usay lift de deta. Rastay mein woh logon ke portrait banata aur us se hasil hone wale paison se khanay ki cheezain khareed leta aur phir cycle par safar shuru kar deta. Kayi maheenon woh ankhon mein Charlotte ke khwab liye cycle chalata aur jub raat hoti tou sitaron ke sath mil kar woh tanhai mein Charlotte ko yaad karta isi tarah 4 maheenay cycle chalanay ke baad woh kayi mumalik se hota hua Sweden pohancha.

28 May 1977
4 maheenay aur 4 din ke safar ke baad 28 may 1977 ko PK Charlotte ki mohabbat mein pehle sweden ke shehar Boras pohancha aur us ke baad woh Charlotte ke ghar ke bahir aik darakht ke paas pohancha aur us ke baad us ne apni yaadgar cycle ko hamesha ke liye usi darakht ke nechay khara kar diya.

Charlotte ghar se bahir ayi tou woh PK ko dekh kar heran reh gayi donon ki khushi ki koi intiha nahin thi. Us waqt PK ke liye puri dunya mein sub se aham chez sirf Charlotte hi thi. Charlotte usay apne ghar mein lay gayi aur usay apne maa baap se milwaya aur unhain bataya keh PK india se 6400 km ka safar tay kar ke yahan aya hai woh bhi cycle par. Charlotte ke maa baap ne PK ko dekh kar usay saaf saaf bata diya keh un ki beti ki shadi kisi surat PK se nahin ho sakti. Us waqt Charlotte ne PK ko yaqeen dilaya keh woh apne maa baap ko mana lay gi aur us ne aisa hi kuch kuch hi dinon baad donon ne Sweden mein shadi kar li.

Kayi maheenon baad Charlotte PK ko apne usi jungle mein lay kar gayi jo us ki malkiyat tha. Pk jo kabhi delhi ki sarkon par soya karta tha ab Sweden ke aik mehnge ghar mein charlotte ke sath zindagi jee raha tha.

Aaj is waqie ko 43 saal beet chukay hain aaj in donon ki aik beti aur aik beta bhi hai aur aaj bhi Charlotte aur PK donon aik dusre ke sath zindagi jee rahe hain aur bohat khush hain.

logoblog

Thanks for reading Real Love Story In Urdu Hindi Mohabbat Ki Sachi Kahani Video Mein

No comments:

Post a Comment