Infaq Fi Sabilillah Urdu Essay Infaq Fi Sabilillah Meaning Speech
Jub insan ke dil mein dunya ki mohabbat ghar kar laiti hai tou woh dunya mein aone anay ka maqsad bhool jata hai aur is baat se bay khabar ho jata hai keh Kis ne us ko ye naimatain maal daulat aulad aur har tarah ka dunyawi sakoon ya asaishain ata kien. Aik Musalman hone ki hesiyat se jo faraiz aur zumaidariyan hum per hain un ki baja awari mein kotahi na karain un mein se hi aik Infaq Fi Sabilillah hai.
Infaq Fi Sabilillah In Islam: Infaq insan ke tamam aqaid o amal ke liye ghaza aur pani ki tarah hai is se naikiyan jar pakarti hain aqaid mustehkam aur paidaar hote hain isi chez ko Quran mein hikmat se tabeer kiya gaya hai is hikmat ke khazanay ki chabi hi infaq hai. Infaq Fi Sabilillah ka matlab ALLAH ke rastay mein kharch karna hai. Sahib hesiyat logon ke maal mein nadaron ka bhi Allah ne haq rakha hai. Goya is maal ko de kar un logon ke liye imtihan bana diya keh woh Allah ka bakhsha hua maal Allah ki rah mein detay hue kya rawaiya ikhtyar karte hain mustaqbil ke andeeshon ke paish nazar is maal ko jama kiya jata hai jab keh mustaqbil ki khabar insan ko nahin. Lalach ka shikar insan daulat ko jama karne ki fikar mein laga rehta hai asal mustaqbil tou akhrat hai us ko bhool jata hai. Hona tou ye chahiye keh is maal ko wahan kaam anay ke liye istemal kiya jaye jo zindagi akharwi aur na khatam hone wali hai.
Allah ne agar maal diya tou zaid az zaroorat maal ko zaroorat mandon ki zaroorat aur deen ki behtari mein istemal kiya jaye. Is ka behtareen istemaal deen ke ilm mein lagana hai aur ilm se makhlooq Khuda ko faida pohanchaya jaye kyoun keh ilm aisa sadqa jariya hai jis ke ajar o sawab ka andaza lagana na mumkin hai is ilm se mustafeed hone wale aur kitnay log is ilm ke husool ke baad kitnay logon tak pheelane ka baes hon gey.
Jahan har khandan mein sahib sarwat log hote hain wahan nadaar aur maflook al haal log bhi usi khandan se zaroor hote hain. Islam mein ghareeb rishta daron ka haq zayada hai aur is ke karne mein dohra sawab bhi hai aur isi tarah un ki mali muawnat karne mein khandan ki ranjishon aur ikhtilafat ko nazar andaz karna chahiye aur zati pasand na pasand aur un ke salook ko samne rakh kar un ki zarooriyat ko pura karne se munh nahin morna chahiye kyoun keh rishta daron ka haq bahir ke maskeen se zayada hai un ki imdad is tarah ki jaye keh woh apne liye rozgaar ka zariya bana lain. Jub kisi ghar mein hamari koshish se chulha garam ho ga tou hamara ye amal sadqa jariya ban jaye ga.
No comments:
Post a Comment