Earth Atmosphere Documentary In Urdu Hindi Earth Atmosphere Information

  Lal Gulab      
Earth Atmosphere Urdu Documentary: Science danon ka kehna hai keh saiyara zameen ki fiza dheeray dheeray kam ho rahi hai. Agar zameen ki fiza achanak khatam ho jaye tou is ke intihai bhayanak nataij hon ge kyun keh is zameen se har tarah ki zindagi ka khatma ho jaye ga chaliye isi baat ko mazeed tafseel se jaan letay hain.

Hawai Jahaz - Plane
Coronavirus se pehle dunya bhar ki fizaon mein aik hi waqt mein kam se kam 8000 aur zayada se zayada 20,000 jahaz parwaz kar rahe hotay thay. Lekin ab surat e haal kafi mukhtalif hai ab itnay hawai jahaz fizai mein har waqt mojood nahin hotay lekin is ke bawajood ab bhi  kayi jahaz roz fiza mein buland hotay hain. Lekin agar zameen ki fizai khatam ho gayi tou phir coronavirus tou kuch bhi nahin zameen par qayamat ka manzar ho ga aur nazara kuch aisa ho ga:

Aik musafiron se bhara hua jahaz runway par tezi se dorta ja raha hai musafir us jahaz mein seat belt bandhay baithay hain, jahaz runway par apni puri raftar pakar kar bhi fiza mein buland na ho paya aur zayada raftar hone ki wajah se airport par hi takra kar tabah ho gaya.

Dusri taraf woh jahaz jo zameen ki fiza khatam hone se pehle hi hawaon mein buland ho gaye thay woh achanak zameen ki taraf tezi se girnay lagain ge. Asman par urtay tamam jahaz pilaton ke control se bahir ho kar zameen se takra jayain ge jis se zameen par tabahi mach jaye gi.

Asman - Sky
Ye asman jo din ke waqt hamain neela aur raat ke waqt kala dikhai deta hai zameen ki fiza khatam hone ke baad is ka rang bhi tabdeel ho jaye ga aur manzar kuch aisa ho ga:

Aik shakhs subah ki sair karne ghar se nikla tou usi waqt achanak har taraf andhera cha gaya asman ka neela rang kalay rang mein badal gaya. Din ko bhi zameen par raat utar ayi woh saray sitaray jo sirf raat ko dikhai detay thay woh bhi asman par dikhai dene lage.

Is waqt hamain din ke waqt asman ka rang jo neela dikhai deta hai ye hamain fiza ki wajah se hi neela dikhai deta hai.

Awaz - Voice/Sound
Zameen ki fiza khatam hone se is puray saiyare par har taraf khamoshi cha jaye gi kisi insan ko kisi ki koi awaz bhi sunai nahin de gi. Is ki wajah ye hai keh awaz ki lehron ko safar karne ke liye zariye ki zaroorat hoti hai isi wajah se zameen ki fiza khatam ho jane se zameen par har taraf khamoshi tari ho jaye gi. Na samandar ki lehron ka shor ho ga, na parindon ke chehchahanay ki awazain hon gi, na dunya ki azeem absharon ke pursukoon naghmay sunai dain ge aur na hi gariyon ka shor sunai de ga dunya ki bheed mein bhi achanak khamoshi cha jaye gi.

Parinde - Birds
Agar achanak zameen ki fiza khatam ho jaye tou hawai jahazon ki tarah asman par urnay wale parinde bhi zameen par aa girain ge. Zameen par girnay ke baad agar woh parinde phir se dobara hawaon mein urnay ki koshish karain ge bhi tou nahin ur payain ge.

Janwar - Animals
Woh har chez jisay oxygen ki zaroorat parti hai zameen ki fiza khatam ho janay se un tamam ka zinda bachna na mumkin ho jaye ga. Zameen ki fiza khatam honay ke baad aglay chand minuton mein hi is zameen se har tarah ke janwaron ka khatma ho jaye ga. Na africa ke jungalon mein koi sher dikhai de ga aur na hi australia ke kangaroo phir kabhi mil payain ge.

Gharoob e Aftaab - Sunset
Kehte hain zameen par 24 ghanton mein sub se khubsurat manzar dhalti shamon ka hota hai. Dhalti sham ka manzar chahe dunya ke kisi chote se gaon ka ho ya New York aur London ke asman par sham dhal rahi ho intihai haseen hota hai. Aur agar din bhar barish hone ke baad asman ke nazaron mein sham utray phir tou sham ki khubsurati bayan karne ke liye alfaz bhi nahin miltay. Lekin agar achanak zameen ki fiza khatam ho jaye tou phir koi insan kabhi asman par utri hoi sham nahin dekh paye ga. Andhere zameen ka muqadar ban jayain ge. Woh log jo samandar ke sahil par sirf doobtay hue suraj ko dekhne ke liye jama hotay thay aur sham ke rangon mein kho kar apne ghamon ko bhool jatay thay woh bhi kabhi samandar par utri sham nahin dekh payain ge.

Jungle - Forest
Is zameen par kayi bare jungle mojood hain junglaat is zameen ki zindagi hain jungle se oxygen hasil hoti hai jo zameen par janwaron bilkhasoos hewanaat ke saans lenay ka zariya hai. Lekin phir bhi dunya bhar mein janglaat ke katao ka amal jari hai insan khud hi us sairaye ka gala daba raha hai jahan par woh zindagi jeeta hai lekin agar zameen ki fiza khatam ho gayi tou insan is zameen se junglaat ka khatma na bhi kar paya par kahin koi jungle baqi nahin bache ga. Taram chotay baray darakhton ka khatma ho jaye ga dunya ka har darakht murjhaya hua dikhai de ga. Zameen ke rang ye khubsurat phool bhi khilna band ho jayain ge aur zameen apna husn kho baithi gi. Woh pahar jo haray bharay podon, jangli jhariyon aur unchay unchay darakhton se sabz dikhai detay thay un ka rang bhi tabdeel ho jaye ga.

Samandar - Sea
Ye samandar jis ne khud mein kayi azeem khazanay chupa rakhe hain ye samandar jis ka seena cheer kar macheeray apne liye rozi talash kartay hain, ye samandar jis mein utar kar ghoota khoor is purisrar dunya ki sair karte hain zameen ki fiza khatam ho janay se zameen par se samandaron ka bhi khatma ho jaye ga kyun keh samandar ka pani barf mein tabdeel ho jaye ga phir na koi kashti aur na hi koi behri jahaz samandar par chalta dikhai de ga. Har tarah ki samandari makhlooq ka bhi khatma ho jaye ga.

Darya - Rivers
Zameen ki fiza khatam ho janay se samandaron ki tarah daryon ka pani bhi barf ban jaye ga phir zameen par na kisi behtay darya ka shor sunai de ga aur na hi kisi darya mein koi machli zinda bache gi, Dunya ke bare bare darya jin mein darya e amazon bhi shamil hai us ka bhi khatma ho jaye ga us mein mojood dunya ke sub se bare anaconda saanp darya jam janay se pehle se oxygen na milnay ki wajah se mar jayain ge aur usi darya mein jamay hue dikhai dain ge.

Insan - Human
Zameen ki fiza khatam hone ke baad foran pheephray phool jane aur oxygen na milnay ki wajah se sirf 3 minute ke andar andar is zameen se tamam insanon ka khatma ho jaye ga. Bus baqi bachain gi tou insan ki banai hoi ye unchi unchi imaratain aur ye mehne banglay magar tab in imaraton aur banglon mein koi dikhai na de ga. Kharab pati logon ko un ki daulat bhi bacha na paye gi un ki woh tamam daulat bhi phir kisi ke istemal mein na rahe gi.

Raat Ka Manzar Kaisa  Ho Ga - Night View
Zameen par aik hi waqt mein is waqt kahin raat hai aur kahin din hai lekin agar zameen se fiza khatam ho jaye tou har jagah raat jesa h manzar ho ga, raat ko sitare aur zayada roshan dikhai dain ge lekin un sitaron ko dekhne wala koi insan zameen par mojood nahin ho ga yehi nahin chand hi ghanton mein puri dunya ki bijli bhi band ho jaye gi kyun keh jahan hydro lectric stations kaam karna chhor dain ge wahin hawai quwat se jo bijli hasil hoti thi woh zameen ki fiza khatam hone ke baad hasil nahin ho paye gi yun puri ki puri zameen hamesha hamesha ke liye andheron mein doob jaye gi.

Zameen Ki Fiza Khatam Hone Ke Baad Zinda Rehnay Ka Koi Tarika Ho Ga
Is sawal ka jawab na mein hai kyun keh zameen ki fiza khatam hone par insan agar zameen par space suit ka istemal kar ke kuch daire zinda reh bhi lain tou zameen par penaay ke liye kahin koi pani na milay.

Phal Aur Sabziyan - Fruits And Vegetables
Zameen ki fiza khatam ho janay ke baad zameen banjar ho jaye gi zarkhez zameenon par bhi kahin na koi fasal ug paye gi aur na hi zameen par kisi qisam ka phal aur sabzi dikhai de gi, khushk mewa jaat bhi is zameen se ghayeb ho jayain ge jo log kisi tarah oxygen ka intzam kar ke zinda bach bhi gaye hon ge tou woh bhook se mar jayain ge.

Mausam e Bahar - Spring Season
Zindagi ka dusra naam bahar hai jub zameen par zindagi hi baqi na rahe gi tou phir is zameen se baharain bhi laut jayain gi kyun keh agar zameen ki fiza khatam ho gayi tou phir is zameen par bahar ka mausam bhi nahin ho ga. Na dhoop mein chalnay wali halki halki hawayain hon gi na kahin bahar ke peelay phool dikhai dain ge.

Darja Hararat - Temperature
Zameen ki fiza khatam ho janay ke baad zameen ka darja hararat shuru mein bharnay ga aur us ke baad anachak intihai tezi se girnay lage ga aur darja hararat kam se kam bhi -18 degree centigrade tak gir jaye ga. Itni shadeed sardi ho gi keh dunya keh woh ilaqe jahan is waqt manfi 50 degree centigrade se bhi zayada sardi parti hain jese keh oyemayakon aur rus ka shehar norilsk wahan bhi darja hararat mazeed kam ho jaye ga aur -100 degree centigrade tak pohanch jaye ga. Itni shadeed sardi mein zindagi kahin dikhai nahin de gi bas har taraf barf hi barf ho gi. Rus ke shehar norilsk ke bare mein tou maine 10 minute ki aik video banai thi aur aap ko bataya bhi tha keh wahan 3 maheenay tak shadeed sardi mein din hi nahin hota raat hi rehti hai. Zameen ki fiza khatam ho janay ke baad saal ke baqi 9 maheenon mein bhi us shehar mein raat hi rahe gi. Norilsk dunya ka woh shehar hai jahan aik aisi Masjid bhi hai jo dunya ke akhri kinaron par bani hoi hai us Masjid se agey intihai shumal mein dunya ki aur koi masjid nahin ati.

Zameen Ki Fiza Khatam Ho Janay Ke Baad Zameen Kesi Ho Gi
Ab tak maine aap ko jitna kuch bataya hai agar in sub baton ko chand jumlon mein bayan kiya jaye tou zameen ki fiza khatam ho jane ke baad zameen khala mein mojood kisi dusre saiyare ki tarah ban jaye gi jahan sirf pathar hi hon ge jahan na koi awaz ho gi na janwar, na parinde, na peenay ke liye pani na samandari makhlooq, aur na hi koi insan ho ga. Zameen is kainaat mein mojood woh sunsaan saiyara ban jaye gi jahan raaj ho ga sirf or sirf khamoshiyon ka.

Zameen Ki Fiza Khatam Ho Janay Ke Kayi Saal BaadZameen se har tarah ki hayatyati aur nabatai zindagi ke khatmay ke kayi saalon baad zameen ki fiza bhir se banna shuru ho gi lekin us waqt is dunya mein koi insan phir mojood na ho ga lekin ye usi surat mein ho sakta hai jub pehle is zameen se achanak fiza khatam ho jaye.
logoblog

Thanks for reading Earth Atmosphere Documentary In Urdu Hindi Earth Atmosphere Information

No comments:

Post a Comment