Baba Vanga Ki Ghalat Peshgoiyan Baba Vanga About Pakistan & India

  Lal Gulab      
2019 Mein Aye Ga Asia Men Shadeed Samandari Tufan - Sub se pehle Baba Vanga ki us peshgoi ke bare mein baat kar letay hain jo Pakistan ke khatmay ke bare mein thi. Ye peshgoi baba vanga ne ki ya shararat ke tor par isay 2019 ke aghaz par samne laya gaya is ki haqeeqat chahe kuch bhi ho lekin aik haqeeqat tou ye hai keh ye peshgoi ghalat sabit ho chuki hai. Is peshgoi ki tafseel mein jayain tou peshgoi ke mutabiq 2019 mein Asia mein 2004 ki tarah ka Tsunami ya us se bhi kahin khatarnak samandari tufan aye ga jis se Asia ke kayi mulkon mein shadeed tabahi mach jaye gi aur woh safah hasti se mit jayain ge un mumalik mein Pakistan, Bangladesh, Indonesia, India, Japan, Sri Lanka, Malaysia aur Thailand jese mumalik shamil thay.
Lekin 2019 guzarnay ko hai aur main Pakistan mein baith kar hi aap se baat kar raha hon aur bohat se log is waqt un mumalik mein baith kar ye video dekh rahe hain jin mumalik ka peshgoi ke mutabiq 2019 mein shadeed samandari tufan se khatma ho jana tha. Yun ye peshgoi hoti hai ghalat sabit.

2010 Se 2014 Ke Darmiyan Ho Gi Teesri Jang e Azeem
Aap ne pehli aur dusri jang e azmeem ke bare mein tou parha aur suna ho ga un donon jangon mein kul mila kar taqreeban 90 million yani 900 lakh yani 9 crore log halak hue thay. Dusri jang e azmeen ka khatma 1945 mein japan par atomi hamlon se hua tha. Aur us ke baad se insan ne 2010 tak banaye taqreeban 14000 se zayada atom bomb aur Baba vanga ki aik peshgoi ke mutabiq teesri jang e azeem 2010 se 2014 ke darmiyan lari jani thi aur us mein un tamam khaufnak hathyaron aur atom bamon ka istemal hona tha jo 2010 tak insan bana chuka tha. Lekin aaj hum 2020 mein dakhil ho rahe hain aur aaj na bana vanga kahin dikhai deti hai aur na hi us ki teesri jang e azeem. Jis tarah insan ne zameen par fasad macha rakha hai ye ain mumkin hai keh anay walay saalon mein teesri jang e azeem shuru bhi ho jaye lekin 2010 mein teesri jang e azeem ki baba vanga ki peshgoi ghalat sabit ho chuki hai.

Amreeca Ka 44th Sadar Amreeca Ka Akhri Sadar Ho Ga
Baba vanga ki peshgoi keh lain ya mazaq keh lain keh baba vanga ke mutabiq amreeca ka 44th sadar jo banay ga us ke baad tareekh mein amreeca ka koi aur sadar nahin aye ga yani intihai kharab muashi halaat ki wajah se amreeci riyasatain apas mein lar parain gi yun amreeca ka khatma ho jaye ga. Lekin kya aap ye baat jantay hain keh amreeca ka 44th sadar kon tha tou is ka jawab hai barack obama. Yani baba vanga ke mutabiq obama ko amreeca ka akhri sadar hona chahiye tha lekin aap jantay hain keh obama ke baad donald trump amreeca ka 45th sadar bana aur ab 2020 mein amreeca ke 46th sadar ke liye election ho ho rahe hain. Yun baba vanga ki aik aur peshgoi bhi ghalat sabit hoti hai.
Rus Ke Sadar Par Katilana Hamlay Ki Peshgoi
Baba vanga ki peshgoiyon par yaqeen rakhnay wale bare yaqeen se ye daway kiya karte thay keh rusi sadar putil par qatilana hamla ho ga aur un hi ki security team ka ahalkar unhain halak karne ki koshish kare ga. Lekin jin dinon ye peshgoi ghalat sabit hoi unhi dinon mein rus ke sadar ki sarkari rehaish gah ke bahir khara tha aur viladimir putin usi imaat yani kremlin mein apni zindagi jee rahe thay. Rusi sadar ko un ke security ahalkar ki taraf se halak karne ki ye peshgoi tou ghalat sabit ho gayi lekin putin ne kayi baar is raaz se parda uthaya hai keh unhain marnay ki kayi baar koshishain ki gayi hain. Yehi wajah hai keh rusi sadar ne apni hifazat ke liye snippers ki aik team tayar kar rakhi hai. Jis ka mashwara sadar putin ko cuba ke us rehnuma ne diya tha jin par 50 baar katilana hamlay hue thay.

Baba vanga ki peshgoiyon par yaqeen rakhne wale ye mannay ke liye tayar nahin keh baba vanga ki koi aik bhi peshgoi ghalat sabit ho sakti hai. Woh baba vanga ki puri na hone wali peshgoiyon ke bare mein kehte hain keh woh peshgoiyan bhi puri hon gi woh abhi tak is liye puri nahin hoien keh baba vanga ki peshgoiyan jis calender ke mutabiq thien aaj ka calender us se 7 saal agey hai. Lekin agar aisi baat hai tou phir baba vanga ke mutabiq 2010 mein shuru hone wali teesri jang e azeem ka aghaz 2017 mein ho jana chahiye tha lekin aisa nahin hua aur baba vanga ki peshgoiyon par yaqeen rakhne walon ke paas is baat ka koi jawab nahin.

Baba vanga ki aur bhi bohat si aisi peshgoiyan hain jo ghalat sabit ho chuki hain un mein se aik peshgoi jis ke mutabiq 2019 mein rus ke kayi ilaqe safah hasti se mit jayain ge us peshgoi par is video ka ikhtitam karain ge lekin us se pehle main aap ko dikha doun woh ghar jahan baba vanga rehti thi.

Is waqt aap jo ghar dekh rahe hain ye Bulgaria ke chote se shehar Petrich mein waqe baba vanga ka ghar tha. Baba vanga 1996 mein is dunya se rukhsat hoi. Baba vanga ke is dunya se janay ke baad is ghar ko usi halat mein mehfooz kiya gaya jis halat mein baba vanga isay chorr kar gayi thi. Aur ye rahe baba vanga ke ghar ke androoni manazir aur in manazir ke baad rus ke ilaqon ki safha hasti se mit jane ki peshgoi ke bare mein.

2019 Mein Rus Se Juri Baba Vanga Ki Aik Aur Peshgoi
Baba vanga ki aik aur peshgoi jo keh kuch dinon mein ghalat sabit hone wali hai woh ye hai keh. Baba vanga ne aik aisi peshgoi kar rakhi hai jis ke mutabiq 2019 mein aik bohat bara shahab e saqib rus se takra jaye ga jis ki wajah se rus ke bohat se ilaqe safah hasti se mit jayain ge aur rus mein shadeed tabahi mach jaye ga. Kuch dinon mein 2020 ka pehla suraj jub samandar se nikalta hua dikhai de ga tou usi waqt baba vanga ki ye peshgoi bhi radi ki tokri mein pari ho gi.
logoblog

Thanks for reading Baba Vanga Ki Ghalat Peshgoiyan Baba Vanga About Pakistan & India

No comments:

Post a Comment