Gold Information In Urdu Sona Yahan Para Hai 5 Lakh Sonay Ki Eentein

  Lal Gulab      
Dunya Ka Sub Se Zayada Sona Yahan Para Hua Hai 
Kisi Mein Himmat Hai Tou Yahan Se Lay Kar Dikhaye
Sonay Ki Eentain

Gold Information In Urdu: Canada aur america ke intihai shumali ilaqe hon ya siberia ka sard jahanam, africa ke bayabaan hon ya Arab ke sehra, indonesia aur brazil ke ghanay janglaat hon ya azeem samandaron ki gehraiyan, insan un door daraz maqamat par akhir kya talash karta phirta hai? g haan qeemti pathar, heeray, nayab dhatain aur sona. Woh log jo sonay ki talash mein rehtay hain agar unhain kahin se sonay ka chota sa tukra bhi mil jaye tou usay dekh kar un ki ankhain chamak uthti hain. Agar unhain dunya ka sub se bara sonay ka khazana dikhaya jaye tou phir un ka kya haal ho ga.

Aur aaj main aisi hi aik jagah ke bare mein batanay wala hon jahan dunya mein sub se zayada sona jama kar ke rakha gaya hai. Tou chaliye jantay hain keh woh jagah kahan hai aur wahan sonay ki kitnay eentain is waqt bhi mojood hai.

Is waqt dunya mein sonay ka sub se bara zakheera America ke shehar New York mein waqe Federal Reserve Bank ke markazi daftar mein mojood hai. Dunya mein kahin bhi aik jagah par itna zayada sona mojood nahin jitna keh new york ke is ilaqe mein mojood hai. Woh alag baat hai keh sara sona america ka nahin hai balkeh amreeci o ghair mulki hukumaton, mukhtalif bain al aqwami idaron aur dunya bhar ke markazi bankon ka hai. Kisi bhi niji idaray ya fard ko is jagah par apna sona rakhne ki ijazat hai hi nahin.

New York ke dil manhattan mein waqe is imarat ki tameer 1920 mein hoi thi aur aaj taqreeban 100 saal guzar janay ke baad yahan par sarhay 6000 ton sona mojood hai.

Bare bare log aise guzray hain jo ye daway kiya karte thay keh woh is bank se sona nikal sakte hain woh khud tou yahan se sona nahin nikaal sakay lekin khud is dunya se nikal gaye. Sonay ke is azeem zakheeray ki hifazat karne ke liye aise aise iqdamat kiye gaye hain keh puri 1 sadi guzar jane ke baad bhi aaj tak kisi ki jurat nahin hoi keh woh yahan pare sonay par hath daal sakay aur ye sona lay uray.

Yahan zayada tar sona dusri jang e azeem ke baad laya gaya tha jub bohat se mumalik ne apne sonay ke zakhair ko kisi mehfooz jagah par rakhna chaha tha. 1973 woh saal tha jub yahan 12000 ton sona mojood tha. 12000 se zayada sona yahan kabhi nahin rakha gaya kyun keh 1973 ke baad yahan sonay ke zakheeray mein kami ana shuru hoi thi lekin adha reh janay ke bawajood ye dunya ka sub se bara sonay ka zakheera hai.

Is sonay ke zakheeray tak pohanchne ke liye aik hi rasta hai jis ki unchai 9 foot hai lekin yahan par 24 ghantay kari nigrani ki jati hai aur yahan par motion sensor cameray bhi lagaye gaye hain.

Is waqt yahan par 5 lakh 8000 sonay ki eentain mojood hain jin ka wazan 6350 ton hai. Ye khazana new york shehar se 80 foot nechay rakha gaya hai aur satah samandar se 50 foot nechay hai. Sonay ki eentain lift ke zariye is teh khanay tak layi jati hain.

Itni tight security ke hotay hue kya aap us jagah pohanchna chahte hain jayan ye sona para hua hai? Wese is sonay tak pohanchna ab koi mushkil nahin raha kyun keh har saal dunya bhar se lakhon lof is sonay ke khazanay ko dekhne ke liye new york atay hain. Ye doray federal reserve bank of new york aur federal reserve system ki janob se mehmanon ko agahi dene ke liye tarteeb diye jatay hain. Agar aap bhi is sonay ke khazanay ko dekhna chahte hain tou nechay diye link par ja kar registration karwa sakte hain.

newyorkfed.org/aboutthefed/visiting.html
logoblog

Thanks for reading Gold Information In Urdu Sona Yahan Para Hai 5 Lakh Sonay Ki Eentein

No comments:

Post a Comment