- Samandar se juri aik aur dilchasp haqeeqat ye hai keh insani tareekh ke zayada tar namoonay samandaron ki teh mein mojood hain aur un ki tadad dunya ke tamam museum mein rakhe janay wale namoonon ki majmoi tadad se bhi zayada hai.
- Aap machli tou shooq se khatay hon ge lekin kya kabhi aap ne ye socha hai keh puri dunya mein sub se zayada machli ati kahan se hai? Agar aap nahin jantay tou is sawal ka jawab ye hai keh is waqt dunya mein 60% machli behrul kahil se ati hai. Samandar ke bare mein baat ho rahi ho aur behrul kahil ke bare mein baat na ho tou baat adhuri rehti hai chalain main aap ko behrul kahil ke bare mein bhi kuch dilchasp haqaiq batata hon.
- Behrul kahil dunya ka sub se bara samandar hai dunya isay english mein pacific ocean ne naam se janti hai ye kitna bara samandar hai is ka andaza is baat se laga saktay hain keh agar amreeca jitnay bare 15 mulk is samandar mein daal diye jayain tou un ka pata nahin chalay ga keh kahan gaye. Is ko hum kuch is tareeqe se bhi samajh sakte hain keh agar behrul kahil mein zameen ke tamam bar e azam daal diye jayain tou phir bhi bohat si jagah samandar ke liye dastyab ho gi. Baat yahin khatam nahin hoti ye dunya ka kitna bara samandar hai is ko hum yun bhi samajh saktay hain keh agar is samandar ki khaleej tonkin yani gulf of tonkin ke muqam par zameen mein aik sarang khoodi jaye jo zameen ke dusri taraf bahir niklay tou us sarang ka dusra sira bhi behrul kahil mein hi niklay ga.
- Intihai gehray samandar par kya kabhi aap ne hockey ya dusre kheel kheelnay ka sochna hai? Ye baat kehne mein aur sunnay mein ajeeb zaroor lagti hai par dunya mein kuch log aise bhi hain jo samandar ke uper hockey ke sath sath kayi dusre kheel kheeltay hain. Main baat kar raha hon aik sard samandar ki yani Canada ke subay Newfoundland ke sahilon se takranay wala Atlantic Ocean yani behr e oqyanoos baaz auqat shadeed sardi se jam jata hai jis ki wajah se canada ke shehri us samandar par hockey aur dusre kheel kheeltay hain.
- Barfeelay ya jamay hue samandar ki baat ho rahi hai tou chalain dunya ke garam tareen samandar ke bare mein bhi main aap ko batata hon. Khaleej fharas jis ke sahil Saudi Arabia, Kuwait, Iraq, Qatar, Iran aur Dubai se miltay hain. Ye samandar dunya ka sub se garam tareen samandar hai is ki wajah ye hai keh is samandar ka darja hararat 35.6 degree centigrade tak pohanch jata hai. Dunya ke is garam tareen samundar ko Persian Gulf aur Arabian Gulf ke naamon se bhi jana jata hai.
Ek Tou Hi Tanha Chal Raha Hai Zamanay Mein
Warna Tou Sahil Bhi Samandar Ke Sath Rehta Hai
Warna Tou Sahil Bhi Samandar Ke Sath Rehta Hai
Shairon ke aise kayi sher aap ne sunay hon ge lekin ab main aap ko samandar ke bare mein jo baat batanay wala hon us ke baad ye sher bhi ghalat sabhit ho jaye ga.
Insan ka khayal hai keh samandar ke siray ka pata ho ya na ho lekin us ka kinara zaroor hota hai. Kayi samandar tou charon taraf se zameen se ghiray hote hain jese keh bahira room aur bahira aswad. Kabhi aisa bhi hota hai keh kab aik samandar bar e azam se mil jata hai pata nahin chalta lekin aise mein jazair ke silsilon se us ki had ka pata lagaya jata hai. Aur ho sakta hai keh aise hi jazeeron ke sahilon par kabhi baith kar aap bhi samandar ke khubsurat nazaron se lutf andooz hue hon lekin agar main aap se ye kahon keh dunya mein har samandar ka sahil nahin hota tou phir kya kahain ge. G haan dunya mein aik aisa samandar bhi hai jis ka koi sahil nahin hai. Yani us samandar ka koi bhi kinara zameen se nahin milta. Us samandar ka naam Sargasso Sea hai. Ye samandar beh e oqyanoos ke maghrib mein waqe hai aur qutab shumali se aik janib ko murti hoi lehrain hi ye batati hain keh ye samandar ki had ka taeen karti hain.
Page1, Page 3
No comments:
Post a Comment