Sri Lanka History In Urdu Information Sri Lanka Facts In Hindi

  Lal Gulab      
Sri Lanka History In Urdu - Ye article behr e hind ke heeray yani sri lanka ke bare mein hai is article mein aap parh sakain ge sri lanka mein mojood woh pahar jis ke bare mein khayal kiya jata hai keh zameen par pehla insan usi pahar par utra tha yani ye khayal kiya jata hai ke ye wohi pahar hai jis par Hazrat Adam A.S ko jannat se zameen par utara gaya tha. Is ke ilawa aap is documentary mein jaan sakain ge sri lanka ki tarikh, sri lanka ke bare mein dilchasp haqaiq, sri lanka mein sair ke liye khubsurat muqamat kon se hain, sri lanka mein chai ke kheeton ke bare mein maloomat, sri lanka ke log kaise hote hain, sri lanka ke mashoor khanay kon se hain aur sri lanka ke log kesi zindagi jeetay hain.


Sri Lanka Ki Sair - Woh january ki aik nayi sham thi jub main pehli baar sri lanka pohancha tha. Mere aas paas paam aur nariyal ke ghanay darakht thay jin ke bheech mein se asman par latakti hoi sham mujhe apna chehra dikha rahi thi. Sri lanka ki sham ka manzar mere liye bilkul naya tha ye bilkul wesi sham nahin thi jo mujhe aksar mere shehar lahore mein mila karti thi. Na janay ye shamain itni udas hone ke sath sath itni haseen kyun hoti hain. Mere samne door door tak behr e hind ka na khatam hone wala dilkash nazara tha aur asman par saji door door tak sunehri sham thi jis ne sri lanka mein mera istaqbal kiya aur khud alwida ho gayi aur main apne hotel wapas chala gaya yun sri lanka mein meri pehli raat bhi dhal gayi.
Subah hoi tou suraj ki kirnon mein asman ke badaltay rang intihai khush kun nazar arahe thay. Sri lanka mein mera safar sirf chand ghanton ka tha is liye maine faisla kiya ke waqt zaya kiye bina mujhe colombo shehar ki sair ko nikal jana chahiye. Sri Lanka mein transport kafi gandi aur mehngi hai. Shehar bhar mein rickshay dandnatay phirtay hain unhi mein se aik richsha maine hasil kiya aur colombo ke khubsurat muqamat dekhne ke liye rawana ho gaya. Rickhaw wala apni rozi roti ke liye apni puri imandari se mujhe Srilanka aur colombo ke bare mein batata raha us ka naam roshan perera tha jo kafi dhemay lehjay mein baat kar raha tha. Sri lanka mein riskshay ko tuk tuk ke naam se jana jata hai jisay india se import kiya jata hai aur ye khasa mehnga hai.
Sri Lanka History In Hindi Information Sri Lanka Ki Tareekh: Us ne mujhe bataya ke Sri Lanka wese tou aik chota sa mulk hai par ye south asia ka wahid mulk hai jo jazeeray par mushtamil hai. Sri Lanka solhwein sadi mein purtgaliyon ke qabzay mein chala gaya tha. 1656 mein is par holland ne qabza kar liya is ke baad 1796 mein ye mulk bartania ke qabzay mein chala gaya youn ye arhai sau saal tak europi taqaton ka ghulam raha. 1948 mein angez sri lanka se chala gaya lekin europi tehzeeb ke asrat aaj tak yahan maujood hain. Sri Lankan tarikh se mutaliq main us ki maloomat se kafi mutasir hua.
Sri Lanka Ki Rajdhani Colombo City: Colombo ki sair ke doran maine note kiya ke colombo shehar saaf suthra hai, aap ko galiyon, bazaron, parkon aur sahil ke kinare kaghaz aur lifafey nazar nahin atay, log sayahi mael sanwale hain, qad bhi zayada nahin magar tehzeeb aur shaistgi un ke qad ko barha aur sanwale pan ko ghata deti hai.
Sri Lanka Facts In Urdu: 
  • Sri Lanka ke bare mein dilchasp maloomat ki baat ki jaye tou yahan wese tou cricket ka kheel bara mashoor hai par yahan ka qaumi kheel volleybaal hai. 
  • Yahan cricket ko behad pasand kiya jata hai sri lanka ke liye 1996 khelon ke aitbar se aik yadgar saal hai jub sri lanka ki cricket team ne australia ko cricket world cup ke final mein lahore mein shikast di thi.
  •  Yahan is waqt sirf 11 universities hain is tarah ye kaha ja sakta hai keh behr e hind ka ye chota sa mulk taleemi maidan mein dusre mulkon se kafi peechay hai. 
  • Ye dunya ka woh pehla mulk hai jis ne jamhoori tor par aik aurat ko mulk ki sarbarah muntakhib kiya tha. 
  • Pakistan aur India ki azadi ke aik saal baad 1948 mein Sri Lanka ne bhi bartania se mukammal azadi hasil kar li thi. 
  • Agar aap dunya ke naqshay par nazar dalain tou aap ko Sri Lanka ki shakal aik heeray ya ansu ke qatray ki tarah nazar aye gi yehi wajah hai sri lanka ko behr e hind ka heera kaha jata hai. 
  • Ye aik jazeera hai jis ke maghrib mein behr e hind aur mashriq mein khaleej bengal hai. 
  • Sri Lanka ka raqba 65610 muraba km hai is lihaz se ye mulk, America ki rayasat west virginia se bas thora sa bara hai. 
  • Yahan 2 zubanain boli jati hain jin ka naam sinhali aur tamil hai. 
  • 2012 mein yahan ki abadi taqreeban 20 million ke qareeb thi.
  • Yahan mein sirf 1 bain al aqwami hawai adda hai jo keh colombo mein hai.
  • Casinos ki baat ki jaye tou casinos sirf amreeca jese bare mulk mein hi nahin balkeh ye colombo jese shehar mein bhi paye jate hain.
  • Qudrati nazare kisi bhi mulk ki khubsurati ka aham hisa hote hain yahan beshumar khubsurat muqamat hain jahan nariyal ke darkht bari tadad mein paye jatay hain.
  • Anuradhapura yahan ke bare shehron mein se hai jahan bari tadad mein bandar paye jate hain. 
Sri Lankan Foods:
  • Khanon ki baat ki jaye tou yahan ke khanay masalay dar aur garam hote hain yahan ke log chawal bare shoq se khatay hain aksar log raat ke khanay mein chawalon ke sath karri khana bhi pasand karte hain. 
  • Sri Lankan khawateen ke bare mein kaha jata hai keh ye tab khana khati hain jub in ke mard aur bache khana kha laite hain. 
  • Yahan dar cheeni bhi bari mashoor hai is ki misal ye hai keh colombo shehar mein aik bagh hai jis ka naam Cinnamon Gardens hai.
More Information About Sri Lanka In Urdu
  1. Hambantota mein mojood bandargah china ki mali muawnat se banai gayi thi. 
  2. Jub sri lanka mein pura chand hota hai us din ko poya day ke naam se jana jatay hain is din pure sri lanka mein aam tateel hoti hai. 
  3. Yahan ki 70% abadi budh mat se taluq rakhti hai jub keh yahan Musalmanon ki tadad kul abadi ka 10% hai.
Kya Aap Sri Lank Ki Documentary Urdu Zuban Mein Dekhna Chahte Hain?
Kya aap ko maloom hai ke hamara youtube par aik channel bhi hai jis par aap ye video inhi lafzon mein dekh sakte hain jinhain ab tak lakhon log dekh chukay hain aur bohat pasand kar chukay hain. Agar aap bhi ye video dekhna chahte hain tou hamare LalGulab ke channel par jayain jis ka link ye hai.

Kya Hazrat Adam A.S Ko Sri Lanka Mein Utara Gaya Tha?
Sri lanka mein sarandeep ki pahariyan bhi mojood hain jin par aik paon ka nishan hai jis ke bare mein mukhtalif qaumon ke mukhtalif nazriyat hain. Musalmanon ke nazdeek ye paon ka nishan Hazrat Adam A.S ka hai. budh mat ke mutabiq ye nishan budha ke paon ka hai aur hinduon ke dharam ke mutabiq ye naqsh shiwaji ka hai. April ke maheenay mein zaireen ki bari tadad yahan aati hai. Muqami zuban mein is pahari ko sri pada kaha jata hai aur angrez isay Adam's peak kehte hain. Koh e Adam sir lanka ka dusra bara pahar hai is pahar ko sarandeep bhi kaha jata hai ye 7300 foot buland hai ye pahar colombo se 220 km ke faslay par hai sri lanka ke zila ratnapur mein waqe is pahar tak pohanche ke liye colombo se kandy aur phir dilhozi ana parta hai. Sarandeep mein waqe ye naqsh kis ka hai? is behs mein jaye baghair ye jagah qudrati husn aur badalte mausamon se lutf andooz hone wale afrad ke liye khasoosi kashish rakhti hai.
Kal jub main sri lanka aya tha tou dhalti hoi sham ne mera istaqbal kiya tha aur aaj jub main yahan se wapas ja raha tha tou bhi shaam ki kirnain aik baar phir laut ayi thien maine tuk tuk mein colombi shehar ke kafi muqamat ki sair kar li thi jis ke baad main wapas apne mulk jane ke liye jahaz mein safar ho chuka tha thori hi dair mein jahaz runway par dorta hua huaon mein itna buland hua ke maine jahaz ke sheshon se bahir sri lanka ki zameen ko badlon mein gum hote hue akhri baar dekha.
logoblog

Thanks for reading Sri Lanka History In Urdu Information Sri Lanka Facts In Hindi

No comments:

Post a Comment