Rang Gora Karne Ka Tarika In Urdu Face White Karne Ke Totkay Hindi Upay For Face: Khoobsurat aur dilkash chehra aur gora rang paana har larki ki khwahish hoti
hai bas thori si tavajja dainay se har koi apni shakhsiyat ko purkashish bana
sktahe jild ko bunyadi tor par saaf suthra rakhna be hadd zurori hai kyunkay apke jild apke Umar ki akkaasi karti hai
isi terhan harwakt ghusse mein rehne se nah sirf apke asaab balkay apki jild
bhi mutasir hoti hai apke ravaye ki shaistagi aur narmi apki jild par musbet
asraat muratab karti hai aur aap ki jild gori hoti jati hai zail mein rangat ko
gora karne ke totkay bayan hain jinhen aap apni jild ki mutabqat aur pabandi se
istemaal karen farq aap khud mehsoos karen gi.
- Tamatar, mooli, kheera ya kakri ka ras aur gulab ka pani, aadha aadha chamach aur chand qatray lemon ka rus mila kar us mein aik aik chai ka chamach makhan aur haldi mila kar chehray par lagayen aur jab khushk ho jaye to neem garam pani se dho len uskay baad thori si glycerine aur aur arq e gulab chehre par laga lain jild chikni, mulaem, saaf aur chamakdar ho jaye gi.
- 5 badam raat mein beeghoo kar subah chilka utaar kar bareek pees lein us mein thora sa arq e gulab aur 5 qutray chandan ka itar mila lein jahan kahin chehre par dhabbay hon rozana 3 baar lagayein aur jahan gehray dhabbay hon wahan zayada dair laga rehne dain.
- Nariyal ka pani rozana chehray par do baar laganay se chehray ke daagh dhabbay, mahasay waghera daur ho jatay hain.
- 2 chamach besan aik chamach glycerine, aadha chamach chandan pissa hua, haldi aadha chamach, arq e gulab aik chamach, doodh adha chamach, aur lemon ka rus chand qatray mila lein is ubtan ko chehray par malein is se aap ke husn mein izafah hoga.
- Rozana subah o sham chehray par kisi bhi achay tail se maalish karen raat ko aik sheeshay ke glass mein 2 chamachpissa hua anola bhigo dain aur subah chhaan kar is pani se mooo dho len is se chehray ki jhuriyan daur ho jaien gi.
- Kalay til aur haldi chothai, chamach le kar garam doodh ke sath pees len aur chehray par lagayein is se chaiyan door ho jati hain.
- Neem ke taaza pattay pees kar raat mein chehray par laga lain aur jab sookh jayen to thanday pani se dho len lagataar 50 din karne se chehray ke daagh dhabbay door ho jaien ge.
- Chaawlon ko bhigo kar is pani se muh dhonay se chehray ki chaiyan door aur rang saaf hota hai.
- Raat sonay se pehlay chehray par halkay halkay ghee se massage karen chehray ke siyah dagh daur ho jaien ge.
- Chuney ke atay mein arendi ka tail mila kar chehray par lagayein aur halkay haath se ragar lar kar dho len chaiyan waghera door aur chehra khobsorat ho jata hai.
- Jaiphal pees kar doodh mein mila kar laganay se chehra nikhar jata hai.
- Tulsi ke pattay aur lemon ka rus barabar miqdaar mein mila kar laganay se, chaiyan, mahasay aur siyah dhabbay theek ho jatay hain.
- Podina pees kar es ka ras nikaal kar subah adhay ghantay ke liye chehray par lagayen aur shaam mein tulsi ke pattay pees kar adhay ghantay taq lagayen uskay baad pani se dho len teen mahinay pabandi se karne se chehray par mojood siyan chaiyan daur ho jaien gi.
- Doodh se chehray par masaj karen aur adhay ghantay baad saaf pani se dho len is se apkee khoubsurti mein izafah hoga.
- Jild ki khoubsurti ke liye khoob pani piyeen pani andrni safai ke liye be hadd zurori hai.
- Dahi phent kar poray chehray par lgaian sookh jany ke baad halkay haath se mil kar saaf karlen aur thanday pani se dho len.
- Balai mein chand qatray lemon ka ras mila kar laganay se jild chikni aur mulaem hoti hai.
- Aadha cup jo ke aattay mein aik chamach balai aur aadha lemoo nichor kar thora sa pani mila kar paste banalen usay chehray, gardan par mil kar pandrah minute baad dho len rozana karen, chehra khobsorat lagey ga.
- Aik bara chamach besan aur aik chota chamach haldi aur thora sa tail shaamil karkay paste banalen aur jahan royain hon wahan milein daur ho jaien ge.
- Aik bara chamach multani matti, teen barray chamach dahi, aik chamach shehad mila kar chehray par lagayen yeh jild ki androoni safai karta hai band massam kholta hai aur jild ki androoni gandagi daur karkay usay saaf suthra banata hai.
No comments:
Post a Comment