Butter Benefits In Urdu Makhan Ke Faide Hindi Butter Uses: Sub se pehlay mein aap ko desi ghee
ke bare mein bata chuka hon is liye aaj mein ne aap ko butter ke fawaid se
bhi aagah karne ka iradah kiya hai aur yeh mazmoon bhi aap ki khidmat mein
haazir hai waisay to makhan ko hum aeye roz jumlon mein bhi istemaal karte
rehtay hain jaisay makhan lagana yani kisi ki khoshamad karna jo ke buri baat
hai chalein hum apne mauzo ki taraf barhatay hain makhan mein vitamin ae,
vitamin d, vitamin ke, calcium, zank, tanba, mignishim, sodium aur iodinki
miqdaar payi jati hai ab aap is se andaza laga chuke hon ge ke makhan mein
mojood yeh ajzaa hamari sahet ke liye kitney mufeed hain kaha jata hai ke teen
cheeze Umar mein izafah ka baais banti hain un mein doodh, dahi aur makhan
shaamil hain is liye hamein zaroor un ka istemaal karna chahiye taakay hum
sahet mand zindagi guzaar saken butter achay cholesterol ko berhata hai is
liye yeh hamein dil ki bimarion se bhi mehfooz rakhta hai.
Agar tareekh ke ourak ulta kar dekha jaye to pata
chalta hai ke makhan qadeem daur se hi ensaan ki pasandeeda ghiza raha hai is
ke istemaal se hum kayi bimarion se mehfooz reh satke hain gaon mein aaj bhi
log makhan ka istemaal karte hain lekin shehron mein is ka istemaal bohat kam
hai waisay bhi shehron mein khalis makhan nahi milta aur jo milta hai woh
sahet ko faida dainay ki bajaye nuqsaan detaa hai is liye log is ka istemaal nahi
karte halaank yeh aik mufeed ghiza hai makhan hamein paaltoo janwaron se
haasil hota hai isi liye gaon mein rehne walay ko khalis makhan haasil hota hai
jabkay shehron mein khalis makhan ka milna bohat mushkil hai makhan mein fate
ziyada hotay hain is liye motay aur dil mein mubtala afraad ke liye khana
munasib nahi is ke ilawa blood pressure aur aisay afraad jin ka cholesterol
level barha hwa ho woh bhi makhan ke istemaal se guraiz karen lekin is ka
istemaal apne bachon ko zaroor karwaen kyun kay yeh un ki zehni sahet aur hadion
ke liye mufeed hai.
Makhan ka istemaal aalo, maithi, palaak walay
parathon ke sath intahi zayeka daar hai is ke ilawa is ko baajra aur makayi ki
rootti ke sath bhi pasand kya jata hai is ke ilawa aaj kal daalon mein bhi is
ka istemaal barh raha hai khaas kar makhni daal jo ke chuney ki daal ke sath tayyar
ki jati hai intahi zayeka daar ho jati hai agar hum is ko apni khanon
mein istemaal karen to yaqeenan hamaray khanay bhi mazeed zayeka daar ban jayen
ge.
Makhan Ke Fawaid In Urdu
Makhan Ke Fawaid In Urdu
- Makhan hamari hadion aur danoton ke liye mufeed hai.
- Ye ankhon ki roshni ko taiz karta hai aur skin ki khubsurati barhane ke liye makhan zabardast ghareelu totka hai.
- Agar koi chahta hai ke is ke istemal se us ka face intihai roshan nazar aye tou is ka istemal zayada kare kyun ke is se jild chamakdar ban jati hai.
- Dublay patlay aur kamzor afraad ka wazan badhane mein madadgar.
- Butter cancer ke khilaaf qowat madafat rakhta hai khaas kar chatiyon aur aant ke cancer se mehfooz rakhta hai.
- Dimagh aur aasabi nizaam ke liye ye faida mand hai aur ye dil ko taqwiyat deta hai.
- Makhan hadion aur joron ke dardon se mehfooz rakhta hai.
- Ye thyroid se mutaliqa bimarion se bhi bachata hai. is ke ilawa butter maiday aur nizaam inhizam ke liye kafi faide mand hai.
- Ye achay cholesterol ko barhata hai, ye jinsi masail mein mubtala afraad ke liye nihayat mufeed ghiza hai.
- Ye sugar honay ke amal ko kam kar deta hai aur ye insulin aur blood glucose ki satah ko kam karta hai.
- Aur kya aap ko makhan ki ye khoobi pata hai keh ye galaay ki kharaash aur zakhamo ke liye bhi mufeed hai.
No comments:
Post a Comment