How To Make Watermelon Naik Art In Urdu Tarbooz Ki Shape Ke Nails Banane Ka Tarika Watermelon Nail Art Hindi
"Tarboozi Nail Art"
Har mosam mein koi khas phal maqbool hota hai. Is khas phal ko isi mosam
say nisbat bhi hasil ho jati hai, jesy garmion mein aam or tarbooz ko
sab say ziada pasand kia jata hai. Dono hi phal mosam garma k phal manay
jaty hein. Tarbooz chonkay is waqt har jaga nazar araha hai to isy
fashion mein kis tarhan istaimaal kia jaye?? Is bary mein jab socha gaya
to zahen mein ye khayaal aya kiyoun ba tarboozi nail art azmaya jaye.?
Is nail art ko banany ki tarkeeb yahan bhi batayi ja rahi hai. Jiss par
amal kar k khawateen is tarboozi nail art ko ghat par hi azma sakti
hain is kay liye mandarja zaeel cheezon ki zaroorat hai.
Cheezain: Lal rang ki nail polish, halka or gehry haray rang ki nail polish,
sufaid rang or kaalay rang ki nail polish.
Sab say pehly nakhoonon par laal rang ki nail polish lagain, ak coat
lagany kay baad chor dain, jab wo achi tarhan sookh jaye to dosara coat
lagain, is tarhan laal rang gehra or numayan ho jaye ga. Is kay baad
nakhoonon kay siray par halkay haray rang ki nail polish lagain ye nail
polish kay kinaron par lagayi jaye gi. Jab ye nail polish sookh jaye to
baad mein kisi bh brush ki madad say halkay haray rang ki nail polish
par gehray hary rang ki lakeerein lambai mein kheechein.
Takreeban 5
lakeerein har nakhoon par khainchi jain gi. Lakeerein bilkul seedhi na
hon balkay kuch lehraati hui mehsoos honi chahiyein. Jab ye lakeerein
sookh jayein to jahan halkay haray rang ki nail polish lagayi hai us kay
bilkull upar sufaid rang kay nail polish ki ak lakeer khainch lein.
Yaaf rahy ye lakeer bohat ziada moti nahi honi chahiye.
Jab sufaid lakeer sookh jaye to us k upar ki taraf kaly rang k nuktay
banain. Har nakhoon par 4 sey 5 kaaly nukaty banaye jayein gey. Nuktey
banatay waqt ye zaroor deehan mein rakhein ye ziada kareeb na hon.
Warna wo apas mein mil jayein gey or dekhany mein bohat booray lagain
gey.
Akhir mein is kay top coat lagain top coat ka koi rang nahi hota or
wo sirf nail polish ko apni jaga ziada dair tak qaaim rakhany liye
lagaya jata hai. Is ko lagany say nail polish mein chamak bh ajati hai.
Is tarhan nakhoonon par tarboozi nail art ban jaye ga. Garmiyon mein
college , university ya office jaany wali larkiyaan is anookhy magar
dilchasp nail art ko azma sakti hein jesy dekh kar inhein farhat ka
ahsas hoga..
No comments:
Post a Comment