Urdu Frankincense Benefits In Hindi Loban Ke Faide In Urdu
Loban Ke Tail Ke Fawaid Health Ke Liye
Loban Ke Tail Ke Fawaid Health Ke Liye
Quwat-e-Madafiat
Loban jaraseem kush ke taur par use hota hai, jab is ko jalaya jata hai to is ke smoke ke jaraseem kush aur infection ko khatam karne wale ajza hotay hain jub isay hawa mein jalaya jata hai to ye jaraseem ko khatam karta hai.
Isay zakhmo par istemal kiya ja sakta hai ta keh is mein jaraseem na baney aur ye tetanus
na peda kare. Ye androni zakhmo ke liye bhi bohat acha hai ta keh un mein infection na ho.
Uses Of Frankincense Loban Ka Istemal In Urdu For Mounth
Is ki jaraseem kush khasoosiat ki wajah
se isay munh ke problems jaisa ke munh ki badbo, dant ke dard, kera lagna, munh
ke ulcer aur dosri beemariyon mein istemal kiya jata hai. Agar qudarti munh ki hifazat
ke liye bani gae chezon ko dekhain to us mein frankincence oil hota hai agar aap ko
is ki khushboo achi lagti hai to aap isay bohat ache jaraseem kush ke tor par apni adat
bana saktey hain. Aap khud is se aur baking soda se toothpaste bana sakte hain
mouthwash pani aur podina mila ke.
Astringent
Is ki astringent khasoosiat ki wajah se
is ke bohat se faidy hain kyun ke ye masoro ko mazboti deta hai, hairs ki jaron, jild ki
tone, patho ka sukarna, antrion aur khoon ki naliyan isi liye jaldi hairs
aur teeth ke girney ko rokta hai. Is ki wajah se jhuria bhi kam parti hain, aur ye antrion
ki kamzoori, pait ke pathy aur tango bazwo par umar ke asrat ko kam karta hai. Ye
khoon ko jamata hai, zakhmo se khoon ko rokta ha. Iski astringent khasoosiat ki
wajah se diarrhea bhi theek hota hai.
Emmenagogue / Menses Lanay Wala
Lobaan ka tail dair se ya ruky hwy menses ko thek krta ha aur sin yas ko dair se lata ha. Ye dosri menses se mutalqa aur sin yas k bad ki ilamto me b madad krta ha. Jaisa k pait ka dard, matli, sar dard, thakawat, aur mood ki tabdelian.
Lobaan ka tail dair se ya ruky hwy menses ko thek krta ha aur sin yas ko dair se lata ha. Ye dosri menses se mutalqa aur sin yas k bad ki ilamto me b madad krta ha. Jaisa k pait ka dard, matli, sar dard, thakawat, aur mood ki tabdelian.
Gas Ka Ikhraj
Loban ka tail gas ke ikhraj mein madad deta hai aur isay pait mein jama nahin hone deta. Ye gas ka ikhraj is ki wajah se hone walay maslo jaisa k medy ka dard, pait aur chati ka dard, bht zyada pasena, besakoni, hazmy ka masla ko thek krta ha.
Nishanon Ko Khatam Karne Wala
Nishan khatam karna is ki khsoosiat hai aur aaj kal jaldi borha na hone aur jild ki hifazat ke bare mein bohat kuch mashoor hai is liye zayada faida mand hota hai jab isay jild par mala jaye ya songha jaye ye cahehre par dano, zakhmo aur chicken pox ke nishanat ko bohat jald theek karta hai. Ye khichao aur surgery ke nishano ko bhi khatam karta hai aur pregnancy ke nishano ko bhi.
Hazma
Agar aap indigestion, medey ki jalan se pareshan hain aur dawai kha ke thak chuky hain tou frankinscence tail istamal karain. Is ki hazam karne ki khoosiat hai baghair kisi nuqsan ke ye bilkul dawai ki tarah kam karta hai. Ye hazam karney wale acids ki miqdar ko barhata hai aur antri mein khoraak ki harkat ko taiz karta hai jis ka matlab hai hazmey mein behtari.
Nishanon Ko Khatam Karne Wala
Nishan khatam karna is ki khsoosiat hai aur aaj kal jaldi borha na hone aur jild ki hifazat ke bare mein bohat kuch mashoor hai is liye zayada faida mand hota hai jab isay jild par mala jaye ya songha jaye ye cahehre par dano, zakhmo aur chicken pox ke nishanat ko bohat jald theek karta hai. Ye khichao aur surgery ke nishano ko bhi khatam karta hai aur pregnancy ke nishano ko bhi.
Hazma
Agar aap indigestion, medey ki jalan se pareshan hain aur dawai kha ke thak chuky hain tou frankinscence tail istamal karain. Is ki hazam karne ki khoosiat hai baghair kisi nuqsan ke ye bilkul dawai ki tarah kam karta hai. Ye hazam karney wale acids ki miqdar ko barhata hai aur antri mein khoraak ki harkat ko taiz karta hai jis ka matlab hai hazmey mein behtari.
Jald Burha Hone Se Rokta Hai
Loban ka oil naye khuliye bananay mein madad karta hai aur purane walon ko bhi sehatmand rakhta hai jab aap is tail ko is khasoosiat aur astringent ki quality ke sath istemal kartay hain tou ye jald burha nahin honey deta, ye nishano, eyes aur face ki jhurion, jild ki tone ko khichao mein rakhta hai sath sath puraney khuliyon ko naye khuliyo se bhi badalta rehta hai.
Tonic
Kyoun keh ye sehat ko acha karta hai is liye loban ko tonic samjha jata hai. Ye jism ke saray systems ko theek karta hai jaisa ke hazma, sans, asabi nizam, nizam e ikhraj aur jism mein jazb karney wale ajza ko bhi barhata hai. Ye tail asabi nizam ko bhi mazboot karta hai aur aap ki sehat ko musatqbil ke liye behtar karta hai.
Peshab Awar
Agar aap samajhtay hain ke lasix aur is qism ki dosri medicnines hi aap ke jism se pani ko nikal sakti hain peshab ke zariye to aap ghalat hain. Ye dawaiyan bohat taiz kaam karti hain magar in ke nuqsanat (side effects) bhi hain. Loban oil bohat faide rakhta hai ye peshab ko barhata hai aur jism mein pani ke wazan ko jism mein kaam karta hai sath sath charbi, sodium, uric acid aur dosry ajza ko bhi. Is ke sath ye blood pressure ko bhi kam karta hai. Frankincense essential oil ki sab se achi baat ha ke ye safe hai yani loban side effects nahin.
Saans Ke Masail
Ye balgham ko patla karta hai aur isay saans ki naliyon aur phephron se nikalta hai. Ye bronchitis aur naak band, chati, gala aur lungs ke jamney ke masley ko theek karta hai. Is ki swelling kam karne ki khasoosiat ki wajah se ye saans mein asani paida karta hai, is se damy ko kam kiya ja sakta hai is mein antiseptic quality hai jis ki wajah se isay madafiati nizam behtar hota hai. Ye jism ki dard, dant dard, sar dard aur jism mein temperature jo ke sardi ki wajah se ho theek karta hai.
Pareshani Aur Zehni Dabao
Ye zehan ko sakoon deta hai pareshani ko kam karta hai sakoon dilata hai neend ko behtar karta hai. Ye pareshani ko khatam karta aur aap ko zayada zerak banata hai, zehni dabao kam karta hai. Agar aap pareshan hon ya zehni dabao mein hon tou thora sa loban ka tail soongh lain. Ye saans ko behtar karta hai aur relax karta hai blood pressure theek karta hai aur aap ko zehni aram puhnchata hai.
Uterus Ki Sehat
Ye uterus ki sehat ke liye acha hai ye estrogen paida karta hai is liye ye uterus ke tumor aur cyst aur uterus ke cancer ko kam karta hai. Sin yas ke arsy mein orat ko sehatmand rakhta hai aur menses theek lata hai. Ye kayi zanana aur zachgi ke masail ko bhi behtar karta hai.
Zakham Ko Bharna
Frankincense oil ke dilution ko zakhm par mal lain ya is ko kisi cream mein mila lain aap ka zakham jaldi bhar jaye ga aur infection bhi nahin ho ga, ye tail androni zakhmo ke liye bhi itna hi faida mand hai.
Loban Ke Kayi Aur Faide
Loban ka tail jhoro aur ganthia ke dard ko bhi kam karta hai ye zakhmon ko jaldi bharna, acne, neend na anay aur sozish ko kam karta hai.
Ahtiyat - Dont Use Loban In Pregnancy
Loban ko hamal mein istemal na karain kyoun ke ye menses lata hai. Isi site per pregnancy ke dinon mein kya karna chahiye ke mutaliq mukamal maloomat hain aap chahain tou unhain parh lain.
Loban Ko Kis Mein Shamil Karain
Ye tail lemo, malta, sangtaray ka tail aur benzoine, bergamout, levendor, pine, sandal ke sath mix kar saktay hain. Ye bohat mashoor cheez hai isay bohat si medicines aur perfumes mein bhi use kiya jata hai jese ke aap ne loban ke fawaid janay hain is liye aap bhi andaza laga sakte hain ke loban ka tail kyoun sehat ke liye itna qeemti hai.
No comments:
Post a Comment