Janamaz Meaning Urdu Janamaz Pictures Prayer Rug Meaning In Urdu
Janamaz Information In Urdu: Ja e Namaz ya namaz chatai kapray ki bani hoi hoti hai jisay Musalman namaz parhne ke liye istemal karte hain. Namaz parhne ke liye saaf suthri jagah ka khayal rakha jata hai janamaz ko aik makhsoos simt Khana Kaba ki taraf rukh rakh kar bichaya jata hai. Aik Musalman ka namaz parhne se pehle wazu hona zaroori hai. Naye ban'ne wale janamaz factories mein tayar hote hain. Zayada tar janamaz designs dehat se ban kar atay hain phir unhain factories mein kaam karne wale mazdoor janamaz ki shakal de dete hain. Jub namaz parhni jati hai tou janamaz ke sub se oper aik nishan bana hota hai jo keh Makkah Mukarma ki simt ki taraf ishara karta hai aur usi nishan ke oper namazi sajda bhi karte hain. Har Musalman ke liye ye jan'na zaroori hota hai keh Makkah Mukarma us ke ghar ki simt mein mojood hai aur kis taraf unhain jaye namaz bicha kar namaz parhni hai.
Janamaz Ka Istemal Aur Khasoosiat Janamaz History In Urdu
Jai Namaz bohat mazboot alamati mani rakhti hai aur rawaiti tor per janamaz ke oper ke siray per jahan sajda kiya jata hai aik gumbad ya Khana Kaba ki shakal banai jati hai aur nichlay siray par jahan paon rakhe jate hain woh jagah khali hoti hai. Designer janamaz ko is tarah design karte hain keh Musalman asani se andaza laga sakain sajda ki jagah kon si hai aur paon rakhne ki jagah kon si hai. Janamaz ki sajawat ka andaza bohat hi aham hai balkeh is design mein aik khas ehsas chupa hota hai.
Agar aap janamaz purchase karna chahte hain tou aap hum se janamaz khareed sakte hain ye service sirf lahore ke liye hai janamz price aur design contact karne per aap ko bataya jaye ga.
Janamaz mein masjid ke mehraab ki tarah ka design hota hai bohat se ja e namaz mein dunya ki mosques ke designs banaye jate hain. Zayada tar mashoor masajid ke design banaye jate hain jesa keh Mecca aur Madina ki masajid waghera. Sajawat aur designing sirf manzar kashi mein hi madad nahin karti balkeh namazi ki yadasht mein izafa bhi karti hai. Masalon mein se aik misal kanghi aur pani ke gharay ki hai jis mein namazki ko ye yaad dihani karwai jati hai namaz parhne se pehle wazu karo aur sar ka masa karo. Sajawat ki aik aur aham misal ye hai keh jo naye Musalman hote hain un ke liye janamaz par hath ke design banaye jate hain keh namaz parhte hue hath kahan rakhne hain.
No comments:
Post a Comment