Falsa Benefits In Urdu Grewia Asiatica Health Benefits In Urdu Phalsa Fruit In Hindi
Falsa Ke Faide In Urdu: Bar e Azam Asia ka maqbool phal falsa / phalsa apne zaike aur farhat bakhsh asrat ke bais bari ahmiyat ka hamil hai. Is ka scienci name Grewia Asiatica hai. Jabke is ka taluk Tilaceae khandan se hai ye piyas ki shidat mein kami aur khoon o dil ke amraz ko khatam karne ki taseer rakhta hai. False ka darakht 4 se 8 meter tak unchai wala aik chota darakht hota hai. Is ke pate dekhne mein dil ki shakal ke hote hein jin ki lambai 20 centimeter aur chorai 16.25 centimeter hoti hai. In par mausam bahar mein chote chote pele rang ke phool nikalte hein jinki patiyon ki lambai 2 milli meter hoti hai. Phal gol hota hai jis mein 5 milli meter chora bej paya jata hai.
Falsa fruit bare shoq se khaya jata hai is mein 81% pani ke ilawa protein, chiknai, reshe aur nishasta paya jata hai. Falsa aik aisa phal hai jis mein lazat ke ilawa beshumar tibi aur ghizai fawaid bhi pae jate hein. Garmiyon ke Mausam mein falsa bohat bari qudarti naimat hai. Tahkik ke mutabik false aur iska sharbat jigar ke amraz mein faida mand hai aur khas tor par yarkan ke marizon ke liye ye nehayat mufid hai jabke tandrust afrad ke liye bhi rozana false ka aik glass thanda sharbat inhein yarkan se mehfuz rakhta hai.
Falsa Juice: Falsay ka sharbat subha sham pene se na sirf blood pressure kam hota hai balke sar dard mein bhi faida mand hai shadid garmi mein false ka aik glass sharbat pi kar sun stroke se bhi mehfuz raha jasakta hai. Falsa mada, jigar aur dil ko takat deta hai ye piyas bujhata hai peshab ki soozish ko khatam karta hai. Garmi ke bukhar ko faida deta hai falsa ka sharbat bhi banaya jata hai ikhtalaj kalb aur khufkan mein behad mufid hota hai false ka rab bhi tayar kia jata hai jise mada ki taqat ke liye istamal kia jata hai. False ke pani se garare karne se khanaq ko faida hota hai ye safarawi isal hichki aur ke ko band Karta hai T.B mein false ka istamal behad mufid hai.
Meday aur sene ki garmi aur jalan ko dor karta hai dil ki dharkan aur khas tor par bechani ko dor karta hai khata aur neem pukhta falsa istamal nahin karna chahye. Aurton ki makhsus bemariyon maslan leukoria aur selan alraham mein mufid hota hai daibties keliye false ke darakht ka chilka 5 tole rat pani mein bhigo den aur subha chan kar marez ko kam az kam 5 roz tak pilaen is se daibties par control hojata hai jigar ki garmi ko dor karne ke liye false ko jala kar khar banaen aur do 250 miligram subha sham istamal karen falsa musfa khoon bhi hai.
Falsa ke darakht ki chal ke chote chote tukre karke 50gram mein 25 gram banola kot kar dono ko aik kilo pani mein bhigo dain do dafa mal chan kar pheka ya namak mila kar pilane se daibties control hojati hai. Phore phansiyon par false ke pate ragar kar lagane se faida hota hai. False ko do roz se zayada bager Fridge ke nahin rakha jasakta, kharab hojata hai. Taiz bukharon mein falsa ka juice dene se marez ki tasken hoti hai. False ke beej kabiz hote hein aur sada paida karte hein. Is ki jar ki chal ka joshanda bana kar pena joron ke dard mein behad mufid hota hai umeed hai aap ko false ke fawaid pasand aye.
No comments:
Post a Comment