Thanda Pani Peene Ke Nuksan Cold Water Side Effects In Urdu Thande Pani Ke Nuqsanat

  Lal Gulab      

Thanda Pani Aap Ki Sehat Ke Liye Khatarnak Ho Sakta Hai

Cold Water Side Effects In Hindi Thanda Pani Peene Ke Nuksan In Urdu: Sakht garmi mein thanda yakh pani mil jaye tou yaqeenan is se bari naimat aur koi nahin lagti lekin kya aap ko maloom hai keh thanda yakh pani aap ki health ke liye kitna nuqsan deh ho sakta hai? is baat se yaqeeban zayada log waqaf nahin hon gey kyoun keh thanda pani kisi ko bhi bura nahin lagta yehi wajah hai keh har koi thande pani ke nuqsanat ko balai taaq rakh kar thanda pani apne routine mein shamil kiye hue hain.

Agar aap kabhi bahir khana khane jayain tou kabhi bhi thande yakh pani ka order nahin karain is ke sath sath apne ghar mein bhi thanday pani ke bajaye normal pani peenay ko tarjih dain.

Thanda Pani Kyun Nahin Peena Chahiye?

Is se aap ke nazam hazma mein mojood khoon ki sharyan sukar sakti hain jis se nazam hazma mein mojood nami kam ho jati hai aur ye nazam hazma ke liye nuqsanat ka baes hai.

Thande pani se aap ke jism mein mojood energy banane wale enzymes bhi mutasir hote hain jub aap khana kha ke thanda peetay hain tou woh enzymes sust par jatay hain aur jism mein mojood energy kam hone lagti hai.

Khana khane ke foran baad thanda pani peene se aap ka madafati nazam kamzoor ho jata hai jis ke baes insan nazlay, zukam ka jaldi shikar ho jata hai.

cold water aur thande mashroobat khane ke foran baad peena aap ke liye motabay ka baes ban sakta hai kyoun keh insani jism ghair zaroori fat hazam karne ki salahiyat nahin rakhta lihaza khane ke baad peenay wale thanday mashroobat jin mein cock, pepsi, thande juice aur dusre thanday mashrubat shamil hain motapay ka baes bante hain.

Baaz logon ka khayal hota hai keh thanda pani wazam kam karne mein madadgar sabat hota hai aur khuch logon ka khayal hai keh is se hamari body mein izafi calories khatam ho jati hain lekin aisa darust nahin hai. Cold water insani sehat ke liye nuqsan deh hai aur is ko hamain apne routine mein shamil nahin karna chahiye is ki bajaye aap taza pani apne istemal mein shamil karain. Yahan aik baat aur yaad rakhain jahan thanda pani pine ke nuksan hain wahan khuch khasoosiyat is ke baraks bhi hain jinhain ayenda ke dinon mein isi site par aap sub ke liye shaya karon ga.
logoblog

Thanks for reading Thanda Pani Peene Ke Nuksan Cold Water Side Effects In Urdu Thande Pani Ke Nuqsanat

No comments:

Post a Comment