Malala Yousafzai Diary In Urdu Gul Makai BBC Blog Urdu Book I Am Malala Review Quotes

  Lal Gulab      
Malala Yousafzai kon hai kis wajah se usay nobel prize mila? malala ki tareek aur us ki zindagi ke bare mein tasfeel janiye is article mein Malala Yousafzai Kon Hai

Malala Yousafzai Ki Diary Gul Makai
Us ki diary khuch youn hai:
Kal raat mein ne fauji helicopters aur talban se mutaliq bhanayak khwab dekha wadi swat mein fauji operation ke aghaz se hi mujhe aise khwab arahe hain. Ami ne nashta banaya aur main kha kar school chali gayi school jate hue mujhe dar lag raha tha kyoun keh talban ne larkiyon ke school jane par pabandi lagai hoi hai.

27 mein se sirf 11 larkiyan hi school ayi thien kyoun keh unhain talban se khatra tha meri saheliyan apne khandan walon ke sath peshawar muntaqil ho gayi hain.

Malala Yousafzai, 3 January 2009 BBC Blog Entry
BBC urdu ke aik sabqa madeer ne kaha keh "hum swat mein sayasat aur dehshat gardi ke bare likh tou rahe hain lekin hamain aam afrad ki raye ka ilm nahin jo talban ke khoof mein zindagi guzaar rahe hain." chunkeh ye log Malala ki hifazat ke liye preshan thay is liye unhon ne qalmi naam par zor diya. Malala ke blog ko "Gul Makai" ka naam diya gaya aur ye naam bhi pashtu rawayat se liya gaya tha.

3 January 2009 ko Malala ne pehle entry bheji tareeqa ye tha keh Malala hath se likh kar reporter ko deti jo scan kar ke usay age email kar deta. Blog se Malala ki soch ka pata chalta hai jo swat ki pehli jang, larkiyon ka kam school ana aur phir school ke band hone ke bare likhi gayi thien.

Mingora mein talban ne ilan kar diya tha keh 15 january 2009 ke baad se koi larki school nahin jaye gi us waqt tak talban larkiyon ke 100 se zayada school tabah kar chuke thay. Is tarikh se aik raat pehle topon ki awaz se malala kayi baar jagi. Agle din Malala ne akhbar mein apne blog ki pehli tehreer ke iqtibasat parhe.

School Se Bay Dakhli
Pabandi ke baad talban ne larkiyon ke school tabah karne ka silsila jari rakha 5 rooz baad Malala ne apne blog mein likha keh main abhi bhi apne imtihanat ki tayari kar rahi hon jo chuttiyon ke baad hain agar talban ne larkiyon ko school jane ki ijazat di tou hamain imtihan ke silsile mein mutalqa abwab ka bata diya gaya hai lekin mera dil parhne ko nahin chahta. Aisa lagta hai keh darjanon schoolon kitabahi aur senkron ki bandish ki baad fauj ko karwai ka khayal aya hai agar woh karwai kar laite tou nobat yahan tak na pohanchti.

Malala Yousafzai 24 January 2009 BBC Blog Gul Makai Diary
February 2009 mein larkiyon ke school band rahe izhar e yakjehti ke liye larkon ke school bhi 9 february tak band rakhe gaye 7 february ko jub Malala aur us ke bhai wapas Mingora aye tou sarkain khali thin aur har taraf ajeeb si khamoshi chai thi jub behan bhai apni maa ke liye tohfa khareedne bazaar gaye tou bazaar band thay. Halankeh ye bazaar aam halaat mein raat gaye tak khule rehte thay un ke ghar ko bhi loot liya gaya tha.

Larkon ke school khulne ke baad talban ne larkiyon ki taleem un adaron mein jari rakhne ki ijazat di jahan makhloot taleem hoti thi taham larkiyon ke school band rahe Malala ke mutabiq 700 mein se mehz 70 school aye.

15 february ko Mingora ki sarkon se firing ki awazain ayien taham Malala ko us ke walid ne tasali di keh ye firing aman ki bahali ke liye ho rahi hai akhbar mein khabar thi keh hukumat aur dehshat gard aman muahday par dastkhat larne lage hain talban ne aman muahde ka zikar apne fm radio par kiya aur firing shiddat ikhtyar kar gayi. 18 february ko "capital talk" par Malala ne talban ke khilaf baat ki 3 din baad Molana Fazal Ullah ne apne fm radio par ilan kiya keh 17 march ko hone wale imtihanat tak talbaat school ja sakti hain lekin unhain burqay orhne hon ge.
logoblog

Thanks for reading Malala Yousafzai Diary In Urdu Gul Makai BBC Blog Urdu Book I Am Malala Review Quotes

No comments:

Post a Comment