German Shepherd History In Urdu Information German Shepherd Dog In Hindi Pehchan Maloomat

  Lal Gulab      

German Shepherd Urdu History And Hindi


What Is German Shepherd Meaning In Urdu: Ye baray size ke dogs ki aik nasal hai jo Germany se chali isay alsatian dog bhi kehte hain. Ye aik wafadar janwar hai jo bheed bakriyon ki rakhwali aur police ke kamon mein kaam ata hai. Ye apni zahanat, aur zor awari ki wajah se dunya mein pasand kiya jane wala kutta hai. Pale jane wale dogs mein ye America mein dusre aur England mein 4th number par hai.

Naam

Pehle is ka naam Deutscher Schaferhund tha par English mein isay German Shepherd kehte hain. Pehli jang e azeem mein angreezon ne Germanon se nafrat ki wajah se is ka naam badal akr alsatian dog rakh diya tha ye naam pehle Germany phir France ke subay (province) Alsace se rakha gaya isay Punjabi mein bagyari kutta kehte hain.

Tarikh German Shepherd Dog History In Urdu

Pakistan mein Murree aur dusre maqamat par dog show ka inaqaad kiya jata hai aur in ki khubsurati aur wafadari ka imtihan liya jata hai akhir kya wajah hai keh log kyoun isay paltay hain aaeye is ke bare mein chand facts , details about german shepherd dog parhain.

Max von Stephanitz aik German shehri tha jis ne is ki nasal ko banaya tha woh aik gharr sawar tha jo Berlin Veterinary College se parha tha.

Maloomat Dog German Shepherd Information In Urdu

Zahanat

Isay sayana dog hone ki wajah se pala jata hai ye kisi kaam ko 5% baar karne se hi us kaam ko seekh jata hai aur 95% baar pehle kehne par bhi baat maan jata hai. Is ki taqat aur khubiyon ki wajah se isay police, rakhwali, khooj aur kayi dusre kamon ke liye istemal kiya jata hai.

Laraka

Achi tarah train kiye gaye dogs khatra nahin hote par ye laraka dog hai jisay bina ki experence ke ghar mein paal laine se mushkilat bhi ho sakti hain. America mein aik tehqeeq ke results batate hain keh German Shepherd hamla karne mein Insanon par sub se agey hain. National Geographic Channel ki aik search mein is ke katnay ki taqat ki wajah se rottweiler dogs se zayada taqatwar aur khatarnak bataya gaya hai.

Rawaiya

German Shepherd dog tez, phurtela aur apne aap par aitmaad rakhne wala dog hai ye seekhne aur kaam karne ke liye har waqt tayar rehta hai. Is mein kisi chez ko talash karne ki hiss tez hoti hai isi liye isay rakhwali ke kamon mein acha samjha jata hai ye apni jagah ki achi rakhwali karte hain aur nayi logon se jald dost nahin bante ye bohat sayane aur tabaydar, wafadar hote hain.
logoblog

Thanks for reading German Shepherd History In Urdu Information German Shepherd Dog In Hindi Pehchan Maloomat

No comments:

Post a Comment