Funny Urdu Article Funny Jokes In Hindi Very Funny SMS Speech Shadi Mein Khana Loot Ke Khane Ka Tarika Humorous Articles For Magazines And School College Students
Is Mazahiya Mazmoon Ko Parh Kar Aap Ko Maza Aye Tou Apna Comment Zaroor Karain
Jese keh har kaam ke khuch rules hote hain aur unhi rules ki pabandi kar ke aap kamyab hote hain bilkul wese hi shadi mein khana khane ki tips bhi hain. Aaeyay aaj hum aap ko wedding dishes ko loot kar khane ka tareeqa batatay hain jinhain apnane ke baad aap hamain zaroor yaad rakhain gey chahe ache alfaz mein ya.......
Tips Shadi Mein Khana Khane Ka Tarika - VERY FUNNY Joke In Urdu
- Shadiyon mein jub bhi jayain khanay ki table ke bohat nazdeek wali kursi par baith jayain.
- Khuch logon ke sath baith kar zayada khanay se sharam mehsoos kartay hon tou aik asan mashwara ye hai keh aap un logon ke sath hi na bathain aur bas apna dihan khanay par rakhain.
- Koshish karain 1 ya 2 chotay bachon ko apne sath bitha lain takeh agar koi aap ki maiz par zayada dair khana dekhay tou aap un bachon ko us shakhs ke samne dantain keh apni umar dekho aur apni plate mein khana dekho tum kam khana laya karo.
- Aksar aap ne dekha ho ga keh jub shadi ka khana khulnay wala hota hai tab khuch waiters khanay ki tables ke paas ana jana shuru kar detay hain tab aap ready rahain balkeh phone sunnay ke bahane ya koi aur bahana bana kar khanay ki table ke paas kharay ho jayain aur kisi ka phone sunnay ki acting karain aur yaad rahay ke khana khultay hi apna phone jaib mein dalna na bhoolain warna khanay ke chakar mein aap ka mobile hi kahin khanay ki dishes mein na gir jaye.
- Agar aap larki hain tou aap ko larkiyon ki khanay ki table par nazar rakhni chahiye aaj kal selfie ka zamana hai dekha gaya hai keh larkiyan larkon se zayada selfie banati hain bas aap selfie banane ke bahanay khanay ki table par ja kar apni aik selfie shadi ke khanon ke sath banayain is ke 2 faide hain aik aap apni selfie bana lain gi woh bhi mehngey mehngey khanon ke sath aur dusra ye keh aap ko khana bhi pehle milay ga khanay ke doran apne makeup ki fikar na karain fikar karni hai tou bas khanay ki karain.
- Khanay dalnay wale baray chamchay par nazar rakhain takay khana khultay hi sub se pehle aap hi khana dalain.
- Kehte hain mil kar kaam kiya jaye tou asani rehti hai aap apne friends ko qorma aur botiyan lootnay par laga dain aur khud biryani pakarnay par sara zoor laga dain. Shadi par bache pehle botlain pakartay hain aap un se botlain cheen lain kyoun keh bachay aap ko khuch nahin kahain ge koshish karain keh kam se kam apne liye 3 cold drinks zaroor pakrain takay khanay ka maza zayada aye.
- Jitni bhi cold drinks aap ne jama ki hain sub ko thora thora pee lain is ka faida ye hai keh jhooti botlain honay ki wajah se ab woh bas aap ki hain jee hain sari botlain bas aap ki sochain is se zayada khushi ki baat aap ke liye aur kya ho sakti hai.
- Pehli baar ye soch kar plaiton mein khana dalain keh jesi zindagi mein pehli baar khana dekha hai aur jub dusri baar khana lainay jayain tab ye sochain keh aap ko abhi tak shadi mein khanay ke liye khuch nahin mila.
- Pehle mehnge khanon ko talash karain jese keh machli, mutton aur 5 - 10 naan foran pakar lain kalonji wale naan hon tou woh lazmi pakrain agar nahin hain tou jin ki shadi hai unhain ye zaroor mashwara dain keh ab agli shadi par kalonji wale naan zaroor rakhain aur jo aap ko khanay mein pasand hai un dishes ka naam bhi lay lain qismat ka kya pata ke waqai agli shadi par aap ki batai hoi dishes shadi ke khanon mein hon is ke ilawa aap dua kartay rahain keh zayada se zayada log aap ko shadi par bulayain.
- Botlain penay ke baad maiz ke nechay phenktay rahain aur 1 - 2 botlain mangwanay ki koshish karain agar khatam ho gayi hain tou waiter se kahain ke jitni jaldi ho sakta hai botlain lay kar aao aur agar wo kahay ke botlain khatam ho gayi hain tou usay jhooti moothi ka lalach dain ke botlain lay kar aao khanay ke baad tumhain tip bhi doun ga agar shadi par aap kam se kam 3 botlain penay mein nakam rahay tou aap ka shadi mein janay ka koi faida nahin ghar baithain.
- Table plaiton se bhar jaye tou jald dusri maiz par chalay jana aap ko zayada khanay mein madad de ga.
- Yaad rakhain jitnay paise aap ne shadi par dulha ya dulhan ko denay hain aap ko har surat utnay paison se zayada ka khana khana hai.
- Jis din shadi par jana ho us din nashtay ke baad bohat halki khorak lain behtar hai keh nashtay ke baad khuch na khayain.
- Khana khanay ke doran aksar dulha ya dulhan ki taraf se log aap se puch saktain hain keh sahi se khana khaya? kisi aur chez ki zaroorat hai? tab aap un se kahain bas abhi khanay laga hon aur jub pait bhar jaye tou ye sochain ye saal mein bohat kam shadiyan aati hain is liye aaj ka moqa zaya nahin karna chahiye.
- Khana kha laine ke baad green tea talash karain agar woh nahin hai tou koshish karain keh koi sweet dish pakar lain aur ho sakay tou chupkay se aik lafafay mein khana bhar ke rakh lain ye khana aap ko apne ghar lay kar jana ho ga.
Note: In khane ki tips par amal karne ke baad aap ki health, respect aur confidence ko thais pohanche tou jo bhi result ho ga us ke zumaidari aap par ho gi. Hamari site LalGulab par is ki zumaidari nahin ho gi kyoun keh hamara maqsad sirf funny urdu article aap se share karna hai takay is site ke readers tension zada mahool mein funny articles bhi parh sakain.
No comments:
Post a Comment