Home Remedies Irregular Menses Treatment In Urdu Irregular Periods Treatment In Hindi
Mahwari Ka ilaj in Urdu - Menses Mein Beqaidgi Ka Ghareelu ilaj Upay: Ye article mahwari ka time pe na hona ya late hona ke mutaliq hai: Mahwari ki bay qaidgi ka masla aurton mein aam hai isay english mein irregular periods kehtay hain. Aise mein aik mahwari se dusri mahwari tak ka waqfa 35 din se zayada ho jata hai asooli tor par 2 mahwari ka waqfa 21 se 35 din tak ka hona chahiye. Jub keh ye 2 se 7 din tak jari rehta hai aam tor par aik aurat ko saal mein 11 se 13 mahwariyan hoti hain lekin periods ka waqt par na hona yani bayqaidgi ka shikar khawateen ko saal mein 6 se 7 martaba ya us se bhi kam periods hote hain is mein ya tou aik mahwari se dusri mahwari ka waqfa taweel ho jata hai ya menses ka waqt 7 din se bhi zayada ho jata hai is ke ilawa ghair mamooli khoon ka akhraj (aam akhraj se kam ya zayada) bhi mahwari ki bay qaidgi mein shamil hai.
Causes Of Irregular Periods In Urdu
Is maslay ki kayi wajuhat hain un mein khane mein bay qaidgi, wazan ka had se zayada barhna ya ghatna, khoon ki kami, haiz ke daimi tor par band hone ka waqt qareeb ana, thyroid ki bay tarteebi aur hormones ka matwazan na hona shamil hai. Is ke ilawa jigar ki bimari, tb, anton mein sozish, sugar ya haal hi mein bache ki wiladat ya hamal gir jana aur dusrei surtein bhi ho sakti hain. Isi tarah zayada warzish, cigret noshi, safar, zehni dabao aur baaz medicines ka istemal aur mana hamal ki goliyan bhi is problem ka sabab ban sakti hain. 2005 mein aik tehqeeq ne sabat kiya hai keh tez bukhar aur asthama bhi menses ki bay qaidgi ki wajah ban sakta hai. Mahwari ka irregular hone shuru ke chand salon menia hez band hone se pehle hoti hai mazeed ye keh har aurat ki apna aik infaradi nazam hota hai lihaza mamooli bay qaidgi mein doctor se ruju karna zaroori nahin.
Yahan menses tips paish ki ja rahi hain jis se periods ko regular karne ke liye madad hasil ho sakti hai ye ghareelu ilaj aur menses totkay hain.
Yahan menses tips paish ki ja rahi hain jis se periods ko regular karne ke liye madad hasil ho sakti hai ye ghareelu ilaj aur menses totkay hain.
Fruits And Vegetables Which Are Good For Menses - Menses Diet In Urdu
Darcheeni
Darchini garam taseer rakhti hai menses mein hone wali akrahat ko door karti hai insulin ki maqdar matwazan karti hai jo periods ko regular karne ka tarika bhi hai. Mahwari ka dalchini se ilaj ye hai keh daidh chai ka chamach darchini powder 1 glass milk mein mix karain aur kayi hafton tak use karain. Dalchini ki tea bhi pee sakti hain ya darcheeni powder apne khane mein chirak kar khayain ya darcheeni ka tukra rozana chaba kar khayain.
Til Aur Gur
Til hormones ki maqdar ko munasib karte hain jis se mahwari waqt par hoti hai ye hormones zayada hone se rekte aur kami ko pura karte hain ye mahwari ko asan aur baqaida banata hai. Aik muthi til ko sukha bhoon lain 1 chai ka chamach gur aur til mila kar pees kar powder bana lain dailu aik chamach kahayin donon mahwariyon ke darmiyani hisay mein ya mahwari se 2 haftay pehle shuru karain khuch mah tak jari rakhain khali gur ka aik tukra rozana khane se bhi ye nazam theek rahe ga. Note Mahwari Ke Darmiyan Ye Medicine Istemal Na Karain.
Adrak - Ginger
Ginger ka istemal mahwari ko sahi karne ke sath menses pain se bhi nijat dilata hai aur dair se hone wale periods ko sahi waqt par lay ata hai. Daidh chai ka chamach taza pisi hoi adrak ko aik cup pani mein 5 se 7 min tak ubalain thori cheeli mila lain din mein 3 baar har khane ke baad piyain 1 month ya zayada istemal karain.
Aloe Vera
Hormones ki bay tarteebi ko darust kar ke mahwari ko regular banata hai aik patay se aloe vera gel nikaal lain aur mein shehad milayain 1 spoon aur subah nihar munh kayain isay ilaj ko 3 months jari rakhain note during menses istemal na karain.
Kacha Papita
Kacha papita aurton ke pathon ki karkardgi ko darust karta hai khas tor par un khawateen ke liye jin ka haiz band hone wala ho kachay papita ka juice khuch months use karain lekin period ke darmiyan na lain.
Haldi
Haldi ki taseer garam hai mahwari ki regularne banane ke sath periods ke dard ko bhi kam karti hai.
Sabat Dhania
Aik chamach dhania 2 cup pani mein utna boil karain ekh 1 cup reh jaye usay chan kar din mein 3 baar period se pehle istemal karain khuch maheenon tak.
Soonf
Sonf ka istemal bhi mehses ko regular karta hai is ke liye aik glass pani mein 2 spoon soonf puri raat ke liye bhigo dain aur subah chan kar piyain aik maheenay tak ya jub tak aap ke ayam baqaida na ho jayain istemal karain.
Podina
Sukha podina aur shehad bhi menses ka ilaj hai aik spoon sukha hua podina powder ki shakal mein aur itna hi shehad ke sath mila kar khuch haftay tak use karian.
Gajar Ka Juice
Gajar mein iron ki wafar maqdar hai is liye gajar ka ras menses ko regular banane ke liye behtareen hai is ke ilawa sabat gajar bhi hormones ki karkardgi ko behtar banati hai aik glass gajar ka juice 3 months tak piyain aap is ko kisi aur sabzi ke sath bhi mila kar pi sakti hain.
No comments:
Post a Comment