Forest Urdu Essay Forests In Pakistan - Janglat Ki Ahmiyat Importance Of Forests In Pakistan In Urdu Speech
Mazmoon Janglat Qudrat Ka Khazana: Janglat ko english mein forest kehte hain ye kisi bhi mulk ki muashi taraqi mein aham kardar ada kartay hain aur un ki afzaish ka inhsaar munasib aab o hawa aur satah zameen par hota hai dunya mein bohat se mumalik hain par sub mumlon ki kamyabi aur taraqi ka rasta sirf ye hai keh us mulk ke 25% hisa par janglaat hon.
Pakistan jis ki abadi ka bara paisha zarat hai is ke bawajood darakhton ki shadeed kami se do char hai. Pakistan mein janglat ki zaroorat aur ahmiyat ko hamesha se nazar andaz kiya gaya hai. Hukumat ne junglat ki taraqi ke silsile mein aik mehkama janglat bhi qaim kar rakha hai jis ki taraf se saal mein 2 baar shajar kari meham ka aghaz kiya jata hai. Is ke bawajood Pakistan mein janglat (forests of Pakistan) ka raqba sirf 0.4% hai jis se andaza hota hai keh Pakistan mein janglat ki surathal kitni hosla shikan hai.
Qudrat ki taraf se janglat bani Nuh insan ke liye aik anmool khazana hain. Janglat ke dilfaraib manazar hamesha se hi insanon ke liye baes kashish rahe hain. Mulki aur ghair mulki log in manazar ki taraf khud ba khud matwaja hote hain. Sayah (tourists) in janglat ki khubsurati ko dekhne ke liye door se atay hain jo keh mulki zar e mubadla ka zariya bhi hai. Janglat bani Nuh insan ko na sirf mutadad fawaid se mala maal karte hain balkeh ye sailaab se bachao ki dewar ka aur janwaron ke liye charagahon ka bhi kaam detay hain. Janglat insan ke liye is liye bhi zaroori hain kyoun keh ye oxygen faraham karte hain.
Sanatain mulkon ki mueshat ke liye bohat zaroori hain jabkeh mutadad sanatein jese kheelon ka saman, furniture, pensil sazi aur jahaz sazi chal hi janglat ki lakdi ki badolat rahi hain. Janglat ki wajah se paharon par baraf ka pighlao ahista ahista hota hai jis se sailaab ka khatra kam hota hai nez ye keh sailaab ke pani ke tez relon ki rah mein hail ho kar un ki raftar suftar sust kar detay hain jis se zameen ka katao aur jani o mali niqsan bohat kam hota hai. In janglat se hasil hone wali lakdi se andhan aur tameeri zarooriyat puri hoti hain. Mutadad adwiyat janglat se hasil shuda qeemti jari butiyon se tayar ki jati hain.
In sub faidon ke bawajood insan janglat ko bari bay rehmi se kaat raha hai jis se oxygen ki kami ho rahi hai aur mahool ki aloodgi mein izafa ho raha hai. Mahireen ke mutabiq aik sehat mand darakht salana 6 ton cornon dioxide jazab karne ke liye 7 ton oxygen bhi kharij karta hai jis se zahir hota hai keh darakht insan ka sub se bara dost aur madadgar hai lekin Pakistan samait bar e azam asia ke mutadad mumalik mein is haqeeqat se agahi paida nahin ki ja saki aur isi kam ilmi ka natija hai keh Pakistan mein janglat nihayat mehdood alaqay mein paye jatay hain.
Mukhtalif iqsam ke hewanat aur parinday qudrat ka haseen shahkar hain hewanat aur parindon ki nashonuma aur un ki iqsam mein izafa ke liye janglat ka hona zaroori hai. Janglat ki tadad jis qadar zayada ho gi usi qadar un se bani hoi ashya se qaumi amdani mein izafa ho ga aur mulk ki khushhali ho gi is ke ilawa phal yani fruits bhi mulki taraqi mein aham hain phalin ki bairon e mulk farokht mulk ko bohat sa zar e mubadla faraham karti hai.
Darakhton ki zayada tadad mein katai ka sub se zayada nuqsan zarat ko pohanchta hai kyoun keh darakhton ki katai ke baes un ki jarain khatam ho jati hain aur mitti par un ki garift nahin rehti jis se daryaon aur nadi nalon ke kinaron par land sliding barh jati hai aur kam az kam 50 saal mein zarat ke qabil hone wali mitti bil akhir darya aur nadi nalon ki nazar ho jati hai. Hukumat ko chahiye keh janglat ke farogh ke liye mosar iqdamat kare un ki katai ki rok tham ke liye sakht qanoon banaye. Timber mafia ko darakhton ki smuggling se rokay aur qudrati husn ko tabahi se bachaye takeh tamam Pakistani saaf aur shafaf mahool mein saans lay sakain.
No comments:
Post a Comment