Hindi Bear Information In Urdu Reech Ki Maloomat Bear Meaning In Urdu
Bear ko urdu aur hindi language mein reech kehtay hain ye aik detail article hai jo asan lafzon mein likhnay ki koshish ki gayi hai reech ki tareekh history facts aur maloomat malahiza karain.
Qutbi Reech - Barfani Reech - Polar Bear
Ye Reech hi ki aik kism hai jo ke behar munjamid shumali aur is ke aitaraf mein pai jati hai. Ye zameen par paya jane wala sab se bara shikar khoor janwar hai, aik balig nar ka wazan takriban 400-680 kilogram yani 1,500 se 800 pound tak hota hai jabke aik mada ki kamat nar ke mukable mein adhi hoti hai. Go ke ye bhure reech se bohat qarebi taluk rakhta hai, taham mausam ke tagerat ke sabab is ke nasal mein bhi bari tabdeeli ai hai, ye tabdeelian sirf khudokhal hi mein nahin balke jism mein bhi bohat se tabdeelian ai hein jinki badolat sard mausam ko bardast karne wali jism ki banawat, khule pani baraf aur manjamd samandaron par chalne ki salahiyat jo ke samandari bachre ke shikar mein mawan o madadgar hai, samandar bachra iski margoob khorak hai. Ye burf zada samandaron mein bari mustakil mizaji ke sath shikar karsakte hein, katbi reech takriban sara sal behar manjamad mein rahte hein taham zayada tar katbi reechon ki paidaish zameen par hoti hai. Isko barfani reech aur safaid reech bhi kaha jata hai.
Alaski Reech
Alaski
reech jisko kodak reech bhi kaha jata hai bhuray reech ki aik bari
zaili noh hai jo ke janoob wasti ilaska ke jazair mein pae jate hein.
Bhoora Reech
Bhoora reech, Reech ke kabel se taluk rakhne wala aik khor pastania hai jo ke zayada tar shumali Asia aur shumali America mein paya jata hai. Iska wazan takriban 100-700 kilogram tak hota hai iski zayada tar abadi khas tor par ilaski reech katbi reech se bator sab zayada paya jane wala gosht khud dastiyab janwar milti hai taham bhoore reech ki nasal batadrij kam hoti jarahi hai aur chand ilakon mein ise madom hone ke khatrat bhi lahaq hein. Go ke abi tak kam khatre wali naslon ki fahrist mein rakha gaya hai iski qul nasal is waqt takriban do lakh hai. Inki zayada tar abadi wale mumalik mein Roos, America, Canada aur Finland shamil hein jahan is ko qoumi janwar hone ka darja hasil hai.
Reech
Aik chopaya pastania janwar hai dunya bhar ki is ki takriban 8 iksam pai jati hein in ki bastiyon ki bari tadad shumali nisf kara mein jabke kuch bastiyan janobi nisf kara mein maujood hein. Is ke nar ko urdu mein reech aur mada ko reechni kaha jata hai. Reech zayada tar bar azam shumali america, janoobi America, Europe aur asia mein paye jate hein. Dor hazir ke jadid reech aam tor par bare jism choti tangon, qadre bari thothni, jhabre bal, zameen par laga kar chalne wale hath aur neche aur aik choti dam ke hamil hote hein. Katbi reech zayada gosht khorad hote hein jabke dew kamat panda ki khorak bans hoti hai jabke baki manda 6 iksam hama khor hoti hein aur inki khorak mein zayada tar chote janwar aur pode shamil hein.
Asia Ka Kala Reech
Asyai kala reech jisko tabti kala reech, hamalyai kala reech aur chand reech bhi kaha jata hai aik darmiyana qamat tez panjon aur kale rang ke hamil reech hai jiski pehchan is ke sene par safaid rang se hoti hai.
Ghaza
Asyai kala reech aik hama khor janwar jo ke takriban har kisam ki ghizai ashia khasakta hai, jinhein is ke ilawa mausmi tageer ke lehaz se ghizai zaruriyat aur is lehaz se bara moka parast wakia hua hai. Khiza ke mausam mein ye shah malbot ke phal, akhrot aur isi tarah ke lahmiyat se bharpur ghizain istamal karke khud ko farba karlete hein. In ghizaon ke hasool ke liye ye darakht par charte hein aur zameen par se bhi gire hue phal wagera chunte hein. Bahar ke mausam mein ugne wale pode aur phal wage iske liye naimat gair mutarkaba ban jate hein jin mein bans, rusberry aur gul khas tor par kabil zikar hein. Is ilawa ye gulheri ke jama karda akhrot ke posheda khair bhi dhondh dhondh kar nikalte hein aur harap karjate hein ya zameen par pare pichle mausamo ke phal bhi junte hein. Baaz aukat in koshishon ke doran ye gulheri ko bhi khajate hein. Garmiyon mein dusre phal dar aur darakhton bishmol toot, firangi, cherry aur ghas phoos. Hasrat khasusan chontiyan mausam garma ki ghizai zaruriyat puri karne mein bari madad gar sabit hoti hein. Ye murdar bhi khasakte hein aur baz aukat mawashiyon par bhi hamla kardete hein. Fikariye bishmol machli, parinde, gelhari isi tarah ke dusre chote pastaniye bhi dastiyabi ki surat mein ghizai zarurat ko bakhubi pura karsakte hein. Asyai kala reech apne americi am zad ke mukable mein zayada gosht khor hai. Iske bawajood gosht iski khorak ka bara bunyadi hisa nahin hai.
Rawaiya
Is ka rawaiya insano ke liye bohat jarkhana hai americi kale reech se bhi zayada ab tak asyai kale reech ke hathon insano par hamle aur insano ko mar dalne ke la Tadad wakiat dekhne mein ae hein. Shahyad iski waja ye bhi hai ke asyai kale reech ka samna insano se degar rechon ke mukable mein zayada hota hai isi liye aksar darjane ya chere jane ki surat mein hamla kar bethta hai. Inki kamat par hejani tabiyat ki badolat balig reech ke kai fitri dushman hote hein halanka is mein 7% fesad saiberyai chete ka shikar hone wale bhi shamil hein jo ke hum ilaka hote hein. Taham khatron ko bhanp kar darakhton par charh kar jan bachane ke sabab kale reech itna zayada cheeton ka shikar nahin hote jitne bhoore reech hote hein.
No comments:
Post a Comment