Human Respiratory System Urdu Information Respiratory System Definition Hindi Nizam Tanafus

  Lal Gulab      

Information About Human Respiratory System In Urdu Nizam e Tanafus Human Respiratory System In Hindi

Taruf Definition: Pani ke andar kashti ke chapu lagatar chalata hua shakhs kia aap ko pata hai ke is ke sath wo aur kia kam kar raha hai? G han sans bhi lagatar hi le raha hai hamara sans lene ka amal Automatically hi jari o sari rahta hai. Insani jism ko zinda rahne ke liye oxygen ki zarurat parti hai. Jandar aur gair jandar cheezon mein sab se bara farak hi sans lene ka amal hai. Hamara jism aik din mein takriban 20 hazar bar sans lene ke amal se guzarta hai. Hum sans ke zariye taza hawa apne andar dakhil karte hein jise oxygen kehte hein. Andar ki zaya shuda hawa bahir ki taraf bhej dete hein jo ke carbon dioxide ke naam se jani jati hai agar ye hamare jism mein hi rah jae to ye hamari zindagi ke liye bohat mahlak sabit hosakti hai. Sans lene ke is amal ko nizam tanafas ke naam se jana jata hai.

Nizam Tanafas Ke Bare Mein Dilchasp Facts:

  • Nizam Tanafas ke bare mein kuch dilchasp haqaiq bayan Kie jarahe hein jo ke aap ke liye yakenan hairat ka bais banege.
  • Insani naak mein maujood bal is hawa ko saf aur garam karne ka bais bante hein jo ke ham istamal karte hein.
  • Aurton aur Bachon ka sans lena ka amal mardon ki nisbatan taiz hota hai.
  • Hamari left janib dil ko jaga dene ke liye qudrat ne bain janib lungs ki jisamat dain lungs ki nisbat choti rakhi hai.
  • Aik balig mard aram se aik minute mein 12 se 15 bar sans leta hai jabke aik 6 hafta ka bacha aik minute mein 30 se 60 martaba sans lesakta hai.
  • "Jamai" ka ana aik ishara hota hai jo ke dimag ki taraf se hamein milta hai ke jis ka matlab hai ke jism mein oxygen ki kami wakia hogai hai is surat mein kisi fiza makam par jane ki zarurat hoti hai ta ke oxygen jism ko baham puhnchai jae.
  • "Lungs" europi zaban ka lafz hai jo ke 13 sadi eswi mein samne aya jis ka matlab hai "light" yani halka phulka kyoun ke yahan betahasha hawa pai jati jo ke Wazan mein bohat halki hai.
  • Aik shakhs austatees se sath second tak apna sans rok sakta hai lekin aap ke liye ye bat hairat kun hogi ke kuch log takriban 20 minute tak bhi apna sans rokne ki maharat rakhte hein.
  • Lungs hamare jism mein wo wahid gadod hein jo ke pani mein tair sakte hein.
  • Nazla zukam jo ke sardiyon mein hamare nizam tanafas ki aam bemari hai jo ke hazaron ki tadad mein mukhtalif virus ka bais banta hai.

Nizam Tanafas Ham Kaise Karta Hai? How Human Respiratory System Works

Sans lene ka amal nak aur mun se shuru hota hai. Aap naak ke zariye hawa apne andar dakhil karte hein aur ye aapke gale se hote hue hawa ki nali ke zariye se lungs mein puhnch jati hai aur phir isi hi lamha hamare jism se istamal shuda hawa jise carbon dioxide kehte hein wo bhi kharij hoti rahti hai. Nizam tanafas is andaz se kam karta hai ke ye hawa mein maujood jarasem wagera ko hamare jism mein jane nahin deta hai in jarasemo ko rokne ka kam hamare Naak mein maujood bal karte hein.

Nizam Tanafas Ki Bemariyan

Insani Nizam Tanafas Be ahtiyatiyon ki waja se kuch bemariyon mein bhi mubtala hosakta hai jo ke mandarja zail hein. Asthma Dama: Dama jise angrezi mein Asthma kahte hein bohat taklif dene wala marz hai is liye zara mushkil se jata hai. Is marz mein sans lene mein dushwari hoti hai kyun ke sans phoolta hai aur sans lete waqt dore ki kaifiyat hojati hai. Ye marz achanak hota hai aur is mein umar ki qaid nahin. Is bemari se bachne ke liye rehaish karkhano wagera se dor rakhein, dhuwan matti aur gariyon ki aludgi se bachen aur nazla zukam na hone dain.

Dama Ka Roohani Ilaj

Surat Al Hajj ki ayat number 79,88 aur 99 tak rozana aik martaba parh kar sene par dam karen jahan tak parhez ka taluk hai chiknai tali hui cheezain aur taiz masale wali ghiza se parhez karen. Tuberculosis: Is marz ki kai iksam hein lekin ye zayada lungs ke lymph nodes aur aurton ke jinsi aza wagera par hamla karta hai is ki waja se sham ke waqt halka halka bukhar rahne lagta hai aur sath hi dard bhi shuru hojati hein. Rang zard aur thook mein khoon ata hai. Is marz se chutkara hasil karne ke liye zaruri hai ke achi khorak maslan machli, ande, gosht aur phal wagera ka istamal kia jae aur marez pur sukoon mahol farahim kia jaye.

illergy

Dhuwan aur gird o gubar ki waja se illergy wagera bhi hoti hai. Jis ki waja se sans lene ke amal mein taklif hoti hai aur sans ki nali mein chubhan hoti hai.

Nizam Tanafas Ke Kaam Ki Istadad Ko Kis Tarah Behtar Kiya Ja Sakta Hai

  • Hamare tanafas ke nizam ke liye chehal qadmi sab se achi cheez hai. Jitna zayada hum paidal chalne ki adat ko apnaenge itna hi hamara nizam tanafas mustadi kam karega.
  • Subha ke waqt taro taza makam par jahan par darakhton ki kasrat ho lambe lambe sans lie jain ta ke taza hawa hamare andar jae aur hum sehat mand bhi rahen aur hamara sans ka nizam bhi durusti se kam kare.
  • Tobbacco noshi se mukamal parhez rakhen aur aise logon ke pas bhi na bethain jin ko ye mahlak adat pari hui hai kyun ke ciggratte ka dhuwan aap ke amal tanafas ke liye aik khatarnak shae hai.
  • Apne wazan ko bhi barhne mat den kyun ke had se barha hua wazan bhi sans lene ke amal mein rukawat dalne ka bais banta hai.
  • Khuch sabziyan aur phal bhi hamare amal tanafas ko behtar rakhne mein bohat hi eham kirdar ada karte hein jaise ke piyaz, adrak, gajar, saib aur khushk mewa jat chilgoze aur badam wagera ka bhi istamal karna chahiye.
logoblog

Thanks for reading Human Respiratory System Urdu Information Respiratory System Definition Hindi Nizam Tanafus

No comments:

Post a Comment