Clever Fox And Crow Story In Urdu Kauwa Aur Lomdi Kahani Khushamad Buri Bala Hai Story Hindi Lomri Aur Kawa Ki Kahani Bachon Ke Liye
Chalak Lomri Aur Bewakoof Kauwa: Kisi jungle mein aik lomri rahti thi wo bari chalak lomri thi dusron ki khushamad kar ke dusron se bohat si cheezain hathyalaiti thi. Wo dusron ko sheeshe mein aise utarti thi ke wo is chalak lomri ki baat manne par majboor hojata. Ye chalak lomri bohat se janwaron aur parindon ko dhoka de chuki thi kabhi bhi koi is ke dhoke mein ane se nahin bacha tha.
Aik din wo bohat bhooki thi subha se us ne khuch na khaya tha aur saa pehar hone ko agai thi. Wo charon taraf gai magar ise khane ko koi cheez na mili bhook ne is ka bura hal kar rakha tha. Ab us ke samne aik darakht tha. Wo is darakht ki ghani aur thandi thandi chaon mein khuch dair aram karna chahti thi lehaza wo is darakht ke neche beth gai aur aram karne lagi.
Chand hi minute guzre honge ke is ne aik kawe ko isi darakht ki shakh par bethte hue dekh lia tha. Kauwe ki chonch mein paneer ka aik bara tukra tha. Jonhi lomri ki nazrain kauwe ke paneer ke tukre par pari is ke mun mein pani bhar aya. Is ka dil paneer ke tukre ke liye bechain horaha tha. Lomri sochne lagi ke wo kis tarah kauwe se paneer ka tukra hasil karsakegi.
Akhir sochte sochte Aik khayal is ke zehan se takra hi gaya. Isne wohi khushamad ka apna purana hathiyaar istamal karne ka faisla kar lia wo foran uthi.
Wo kauwe se is andaaz mein mukhatib hui "Pyare kauwe bhaiya! mein ne aap ki jismani khoobsurti ke bare mein bohat sun rakha tha. Aj aap ko kareeb se dekhne ka ittefaq hua hai. Aap ki kali wardi, Aap ki kali ankhain aur aap ki kali tangain wakai aap ke jism par bohat khoobsurat lagti hein. Aap ki jismani khoobsurti ki jitni tareef ki jae, kam hai. Jahan tak Aap ki awaz ka taluk hai, is ke surele pan ke kia kehne. Aap ki sureli awaz bohat mashoor hai. Meherbani farma kar apni sureli awaz mein mujhe aik geet sunadain". Bewakoof kauwa apni tareef sun kar bohat khush hua. Jaise hi is ne geet gane ke liye apni chonch kholi is ka paneer ka tukra neche girgaya. Lomri ne foran ise jhapat lia aur dekhte hi dekhte ise harap kargai. Us ne dil hi dil mein laziz paneer ke tukre ki bohat Tareef ki.
Ikhlaqi Sabaq Moral "Khushamad Buri Bala Hai".
No comments:
Post a Comment