USA Visa Information Urdu Us Tourist Visa USA Student Visa From Pakistan

  Lal Gulab      

Usa Visa Information In Urdu

Usa Tourist Visa: Sahib hasiyat log sair o tafrih ke liye america jasakte hain. Is ke liye wahan mausam aur makamat siyahat se maloomat hasil karen phir mutalka ilaka ya shahar jahan kayam karna chahte hain wahan ke kesi hotel main internet fone ya wahan maujood kisi dost ke zariye booking karwain. Is ke baad kum o baish 3 months pehle visa ke liye american express ya fedex ke zariye apply karen. Kamyab hone par apko ap ke program ke mutabik zayada se zayada 6 months tak ka visa mil sakta hai. Learn pakistan ka maksad apko durust malumat ki farahemi hai.

Hasool Visa Ke Liye Ahliyat: Visa Eligibility Usa

Interview ke doran apne visa officer ko apni dastawizat aur guftugu se in baton ki yaqeen dehani karani hai.
  1. Aap ke dora ka maksad mehaz sair o tafrih hai.
  2. Aap matloob mudat khatam hone tak har surat wapis ajainge.
  3. America mein siyahat ke mazkora plan ke liye aap ke paas wafir raqam majood hai.
  4. Aap ke paas Pakistan mein mazboot samaji o muwashi rishte hain.
Zaroori Hidayat............ Important Instructions (Ye tamam malumat is waqt embasay ki website par hidayat ki bunyad par farahim ki gai hain)
  • Tourist ya visit visa ke liye ap shuru main bayan karda tarika kar ke mutabik hi apply karenge.
  • Darkhuwast form ke sath koi izafi dastawez lagane ki zarurat nahin hai. Wo aap visa officer ko interview ke doran talab kiye jane par dikhainge.
  • Ye zahir karne keliye ke ap ke america jane ka maksad sair o tafrih hai ap kisi khasi moka maslan cristmis, almi games aur degar moke par apply karen. Shadi ke bad honey moon trip keliye bhi darkhuwast di jasakti hai.
* Ye bat sabit karne ke liye ke ap mukarara mudat tak wapis ajainge pakistan main apni masroofiyat zahir karain. Dastawizat se ap ye wazia karsakte hain ke ap kisi bussiness orginaisation ke malik ya rukun hain aur ap ki adam maujoodgi main wo business mutasir hoga. Degar hakiki masroofiyat bhi bayan ki jasakti hain.
* Tour ke liye wafir rakam ki maujoodgi zahir karne ke liye apke pas thoos aur bhari bank statement aur jaidad ki milkiyati kagzat maujood hone chahye.
* Hotel booking ki rasid aur return tickets bhi zarur hamrah hone chahye.
* pakistan main mazboot samaji o muwashi rishton ko zahir karne keliye ap shadi shuda hon to behtar hai. Bache hon to mazed plus point tasawur kia jaega. Is keliye ap ko computrize marriage certificate shadi ki chand ek tasaweer aur bachon ke birth certificate interview keliye lekar jana honge. Muwashi taluk main apka karobar ghar, zameen aur jaidad wagera ajati hai. Inke milkiyati kagzat bhi zarur file main laga kar lejain.
America Mein ilaj Ke Liye Visa - Medical Visa: America main ilaj karane ke liye bhi Tourist visa B-2 hi jari hota hai jis ke liye mareez ke paas darj zail kagzat hone chahiye.
1. Makami specialist doctor ka tashkish latter jis main wazahat ki gai ho ke marez ka Pakistan mein proper ilaj nahin ho sakta aur is ke liye america le jana mufid sabit ho sakta hai.
2. Kisi American hospital ya doctor ki taraf se ane wala khat jis main ilaj ki zumedari kabool karte hue ilaj ke dorania aur mukamal ikhrajat ki tafseel di gai ho.
3. Mareez ya lawahikeen ki janib se matlooba ikhrajat bardast karne ki ehliyat sabit karne ke liye bank statement.
Note: Ye dastawizat apko interview ke doran paish karna honge. Wazia rahe ke bogas kagzat aur jal sazi par apka america main hamesha keliye dakhla band hosakta hai. Lehaza asal dastawizat banwain aur galt bayani se ahtiraz bartain.

America Ka Business Visa

Agar ap business main hain aur kisi group se karobari mohade keliye america jana chahte hain maslan apko machinery kharidni hai ya kisi nomaish convantion main shirkat ke matmana hain to is maksad keliye apko B-1 visa jari kia jaega. Tai shuda tarikhon se 3 mah kabal visa keliye apply kia jana zaruri hai. Ap non imegrant visa ke liye batae gae tarika kar ke mutabik hi darkhuwast dainge aur iske sath izafi dastawizat lagane ki zarurat nahin hai taham interview ke moke par apke pas dar zail kagzat maujood hone chahye.
* Americi karobari idare ke sath khat o kitabat ka record.
* Sponsership latter.
* Convantion ya karobari numaish karna chahte hain to iska dawat nama.
* Jitna arsa waha kayam karna hai iske liye hotel ki booking aur return tickets.
* Ap apne idare ke wahid malik hain partnar hain ya koi zimedar ahdidar, iska bhi saboot paish karna hoga.
* Apki jaidad ke kagzat aur bank statement.
* Apke pas apne shahar ya chamber of commerce ki rakniyat bhi honi chahye.

America Ka Arzi Work Aur Inter Company Visa (H and L): Wo log jo America main kisi makhsoos shoba main kam karna chahte hon aur is main gair mamuli ilam o maharat rakhte hon inko arzi work visa (H-1B) jari kia jata hai. America main parhne keliye jane wale afrad bhi apne studant visa ko work visa main tabdeel karwane keliye bhi apply karsakte hain. Inter company visa (L-1) inki awla taleem yafta mulazmin ko jari kia jata hai jinhain pakistani company apni americi branches main taniyati keliye bhaijti hain. H-28 traini visa americi companies main kalil mudati tarbiyati programs keliye dia jata hai. Arzi mulazmin mangwane ke Liye america main maujood firm home land department ke united states citizen ship and imigration ke shoba main form i-129 pitatiom dair karti hai jiske manzoor hone par firm ko form i-797 bhaija jata hai jo ke pitation ki manzoori ka notification hota hai. Wazia rahe ke ye visa ki gurantee nahin hoti. Abi visa apply karne aur interview ke marhale se guzarna baki hai.

American Visa Ke Liye Apply Kaise Kiya Jaye -How To Apply Usa Visa In Urdu

* Work visa aur inter company visa keliye non imigrant vison ke bayan ke tarika kar ke mutabik form pur karen. 131 dollar jama karwane ke bad pasport safaid back ground wali 2x2 size ki tasweer company se milne wala form i-797 asal taleemi asnad bama ek photocopy set higher education comission ke name asnad ki tasdik keliye darkhuwast aur shanakhti card ki photo copy american express ko jama karwa kar interview time lelain.
* L-1 ke darkhuwast guzaron ko interview ke waqt 500 dollar izafi fees jama karana hogi.

Hasool Visa Ke Mutalik Aham Sawalat:- Visa Questions

S: America ka non imigrant visa hasil karne ke liye mayar kya hain? Main in par kaise pura utar sakta hon?
J: americi qawanin ke mutabik business B-1 aur visit B-2 visa keliye apply karne walon ke pas america jane ki thoos waja mojood honi chahye aur wo interview ke doran visa officer ko apni dastawizat aur dalail se yakeen dilasakain ke wo apni arzi dora ki takmeel par pakistan wapis zarur jaenge. F-1 studant aur J-1 exchange visit visa ke darkhuwast guzar bhi apni taleemi mayar aur taleemi ikhrajat ba asani bardast karne ki salahiyat sabit karne ke sath sath mazkora bala yakeen daiyan karane par hi visa hasil karpate hain. Americi daftar kharja ke mutabik matlooba mayar check karne ke liye koi tai shuda formula mojood nahin hai. Amuman kamyab hone wale umeed war wo hote hain jo ye zahir karsake hon ke inka pakistan ke sath mazboot rishta hai jaisa ke khandani, karobari ya muwashirati rishte jin ke liye insan ko wapis palatna parta hai. Ye bat bhi zehen nashen karlaini chahye ke visa officer darkhuwast guzar ki ehliyat janne keliye iske jama karaegae kagzat form main darj malumat aur interview ke zariye iski surat hal ka mukamal jaiza laita hai. Is amal main koi ek waja is bat ki zamanat nahin hai ke wo visa keliye ehal karar paega.
S: kya americi visa keliye guzishta chand salon main mayar sakht kardia gaya hai?
J: americi daftar kharja ke mutabik non imigrant visa ke liye tai shuda mayar aur qawanin bohat salon se tabdeel nahin hue. Aj bhi wohi mayar hai joke 10baras kabal tha. Mutalka hakam ka kehna hai ke pakistan main bhi wohi mayar raij hai joke dusre kisi mulk main taham intizami amwar aur visa ajra ke liye ek muhtat tarika kar ikhtiyar kia gaya hai jis se ye sara amal khasa taweel hogaya hai.
S: main ne work visa H-1 ya inter company visa L-1 ke liye apply kia hai mjhe apni tamam asal taleemi asnad american express ko kyun jama karana pari hain?
J: Americi embasay ne mazkora category ke visa keliye ek policy banai hai jis ke tahat asnad ki higher education comission pakistan se tasdik karai jati hai. Ye ek lazmi amar hai jiske mukamal hone ke bad apko asal asnad wapis kardi jaingi.
S: kya electronic visa form hi jama karana zaruri hai?
J: Ji han! Non imigrant visa apply karne keliye ap sirf electronic visa application form (EVAF) hi istamal karsakte hain jaise website evisaforms.state.gov khol kar wohi par karke is ka print hasil kia jaega. Form par lage makhsoos barcode ke bais apke ko life fori tor par sifartikhane ke mutalka section aur american express/spidax tak puhnch jainge.
logoblog

Thanks for reading USA Visa Information Urdu Us Tourist Visa USA Student Visa From Pakistan

No comments:

Post a Comment