Turmeric Benefits In Urdu Haldi Ke Faide (Haldi) Ke Qeemti Fayde Upay Totke Gun Face Pack Weight Loss And Many More Advantages
Haldi Ke Fawaid In Urdu: Haldi, "khandana dark" ka ek poda hai jis ki surkhi mail zard nibatati jaren bator masala aur dawa kasrat se istamal ki jati hen. Ye janoob magrabi hind ka makami poda hai. Ye sada bahar poda in ilakon main khoob parwarish pata hai jahan salana kafi makool barish hoti hai aur darja hararat 20 ta 30centigrad ke darmiyan rahta hai. Saya dar zamino main haldi ki kashat se shandar paidawar hasil hoti hai. Kashatkar bagat wali zamino main bhi haldi kasht karke izafi amdani hasil karsakte he. Is ki fi aikar sharah baij 12 se 15 man tak hoti hai. Is ka poda ek meter tak buland aistada poda hai jis ke pate 50se 115 milimeter lambe aur 38 se 45 mili meter chore kisi had tak baidwi shakal liye hue lambutare hote hen aur inka akhri sara kadre nokila hota hai.
December ke akhir mein jub haldi leaves sookhne lagtay hain to haldi ke kheet ko halka pani laga kar 3,4 roz ke baad fasal ko Ukhar lia jata hai. Aur watar nami halat main pate kat kar alaida karke haldi ki gandiyon ko achi tarah saf karke pani main ek ghanta tak ubala jata hai is ke bad pani se nikal kar dhoop main sukhaya jata hai ye gandiyan 8 se 10din main khushk hojati hain. Abar alood mausam main haldi ki gandiyon ko saaf kar ke sarson ka tail laga kar dane bhoon'nay wali bhatiyon mein 8 se 10 minute tak bhona jata hai. Is tarah ye gandiyan 2,3 din main khushk hojati hen. Haldi ko polish karne ke liye khushk ki hui gandiyon ko aise drum main jis main choti choti churiyan lagi hui ho ghumaya jata hai jis se gandiyon ka uper wala chilka utar jata hai aur haldi chamakdar aur khubsurat dikhai deti hai. Polish ki hui haldi boriyon main band kar ke saf suthre aur hawadar kamre main store karli jati hai in ka zard s maltai rang ki khushboo dar jaren kafi shakhdar aur gol hoti hen. In ka zaika wazia tor par pheka halk talkh aur thora chatpata hota hai jis main se rai jaisi boo ati hai.in khushk jaron ka safof khano aur dawaon main istamal hota hai. Haldi janoobi asia khano ka ek eham jazu hai aur ise amuman khane ko khush rang banane main istamal kia jata hai. Waidik tib main ise bator dawa hazaron salon se istamal kia ja raha hai.
Haldi ka istamal bator dawa to bad main shuru hua, ibtada main ise rang ke tor par hi istamal kia jata tha. Karon wasti main europe main ise zafran ke mutabadil ke tor par istamal kia jata tha. Haldi ka istamal sirf dawaon aur khano main nahin balke cake, meethaiyon aur phalon ke juice aur degar kai ashia tayari main kia jata hai. Chemyai tajzia ke mutabik haldi main potassium, calcium, phosphorus, folad, sodium ke ilawa vitamin A, B aur C main maujood hote hen is main shamil potassium dil aur blood pressure control karne main madad deta hai aur is main shamil iron khoon ke surkh khaliyon ko barhata hai. Khoon ki kami dor karne ke ilawa ye khoon ko saf bhi karti hai.
Haldi Pakistan aur India mein aam kashat ki jati hai haldi ki sab se zayada paidawar bharti riyasat "andra pardaish" main hoti hai. Is riyasat ka shahar "nazim abad" haldi ki tijarat main markazi hasiyat rakhta hai. Pakistan ka zila kasur haldi ki paidawar ke hawale se kafi shohrat rakhta hai. Meethi ki tarah kasur ki haldi bhi variety aur mayar main dunya bhar main apni shanakht rakhti hai. April se may ka mahina is ki kasht ke liye mozu hai. Haldi antiseptik hai. Is main anti viral aur anti fungal khasusiyat pai jati hain. Is liye mutadi amraz main faida mand hai aur isi waja se chot, dard aur andruni infection main haldi ka beruni aur andruni istamal sadiyon se kia ja raha hai. Jale hue aur am zakhmo ke ilaj ke liye ise tail main mila kar istamal kia jata hai. Allah karem ne haldi main bohat shifa rakhi hai kesa bhi zakham ho is paste ko lagane se hafta dus din main khushk hokar bhar jata hai. Ye ashoob chasham main bhi istamal hoti hai.
Ye khoon ko patla karti hai khoon ki rawani ko behtar banati aur ragon main khoon ka anjamad rokne main mufid hain. Haldi khana hazam karne main madad deti hai. Taizabiyat ke azala ki makhsus dawa hai is liye ise mada o ama ke zakhmo, (ulcer), gale ki soozish, joron ki soozish aur dard ke liye faida mand hai. Muhafiz jigar adwia main ise mumtaz makam hasil hai. Jigar ki soozish hepatitas aur yarkan main is ka istamal bohat zayada hai. Yarkan main dahi aur lasi mufid hai lekin agar yarkan main dahi main haldi mila kar khai jae to zayada faida hota hai. Masfi khoon khasusiyat ki hamil hone ki waja se ise phore phansiyon, kharish aur degar jildi amraz main am istamal kia jata hai jild ki hifazat is ki khubsurti bharhane aur ise barkarar rakhne ke liye ubtan main iska istamal am hai. Shadi bia ke moke par Jild ki tabani mein izafa ke liye bhi ise dodh main mila kar khub istamal kia jata hai. Peshab ki jalan, soozish aur sozak ke ilaj main istamal hone wale bohat se nukson ka jazu azam hai. Nai scienci tahkik ke mutabik haldi yadasht ki kamzori ke arza alzimer aur dil ke amraz se bachao main madad deti hai ye dimag ki oxygen ke hasool ki salahiyat ko barhati hai jis ki waja se dimagi afal main behtri paida hoti hai. Haldi main qudarti tor par maujood eham jazu karko main dimagi inhatat ke bais lahak hone wale marz alzimer jo amuman mamar afrad ko lahak hota hai ke ilaj main kafi faida mand hai. Is marz ki ibtada main yadasht kamzor hoti hai phir waqt guzarne ke sath marez apne karibi azizon ki pehchan tak kho beth ta hai aur apne roz mara ke mamulat ada karne ke kabil bhi nahin rahta is bemari ki waja dimagi khaliyon main protein ka anjamad hai jis se khaliyon ke darmiyan barki rabton main tatal paida hone lagta hai jab ke kuch mahren ka kahna hai ke is marz main dimag ke mutasira khaliye apna kam chor dete hen. Science dano ka kahna hai ke haldi, dimag main nae asabi reshon ke banne ka amal taiz kardeti hai jis se dimagi inhatat ki raftar sust kardeti hai. Jis se dimagi inhatat ki raftar sust par jati hai is tarah ye dimagi kamzori dor hokar yadasht behtar hojati hai. Ek tahkik ke mutabik haldi falij ke ilaj main behad mawan hai. Falij ke bad dimag ke khaliyon ko mutaharik karne main madad deti hai aur in ki hifazat karti hai haldi se tayar ki jane wali dawa dimag ke khaliyo tak puhnch kar pathon aur dimagi masail ko hal karti hai.
Haldi na sirf alzimer aur falij main mufid hai balke ye be khuwabi ka bhi umda ilaj hai. Ye khoof aur degar kai nafsiyati bemariyon main mosar hai. Mahren nafsiyat ki ek tahkik ke mutabik haldi na sirf dimag main maujood kisi bhi kism ke nafsiyati khoof ko khatam Karne main eham kirdar ada karti hai. Balke haldi zehan main paida hone wale nae khoof ko bhi rokti hai. Jo log tramatik stress disorder aur degar nafsiyati adam tawazan ka shikar hokar khoof main mubtala hon to aise afrad ke liye haldi se tayar karda ghizain intehai mufid hain. Ilawa azen haldi main ye khasiyat maujood hai ke ye ap ke dimag se bure wakiyat ko bhulane main eham kirdar ada karti hai. City university new york mein kii gayi tehqeeq mein ye pata chala hai ke haldi (turmeric) bure wakiyat ko dimag se mita sakti hai. Ilawa azen haldi degar kai amraz main istamal hone bohat si angrezi adwiyat se behtar nataij deti hai maslan khoon pata karne wali adwiyat maslan aspirin.
Cholestrol kam karne wali adwiyat maslan lipaitar steroids. Tehqeeq se pata chala hai ke haldi mosar sehat cholestrol ki satah ko kam karti hai is main shamil potassium blood pressure ko control karne main madad deta hai. Is tarah dil ke amraz ka khatra kam hojata hai. Bypass surgery ke doran khoon ke bahao main tawel kami ki waja se dil ke pathon ko nuksan puhnch sakta hai. Jis se marez ke liye dil ke dore ka khatra barh jata hai. Surgery se kuch din pehle haldi ka istamal surgery ke doran dil ke dore ke khadshe ko 65 fesad tak kam karta hai. Turmeric cancer ke khilaf mazahmat rakhti hai ye sartani khaliyat ko khatam karne ki salahiyat rakhti hai ye bohat se cancer maslan chati, gale, lungs, prostate, jigar ke sartan ke ilawa khoon ke sartan leukemia ke ilaj aur is se bachao ke liye mufid hai. Science dano ke mutabik haldi main qudarti tor par paya janewala chemyai mada "karkiyo man" cancer zada khaliyat ki afzaish ko kam karne ki salahiyat rakhta hai.
Ye manati nizam ko mazbut karke cancer ke ilaj main mawan hota hai. Karkiyo man anti oxidant, anti miotagin aur anti carsinogen khasusiyat ka hamil hai. Miotagen wo chemical made hen jo jism ke khaliyat main bigar paida karte hen aur in abnormal khaliyat ki waja se cancer jesi bemariyan bhi paida hosakti hen. Tobbaco noshi main bhi miotagen ki mikdar barh jati hai. Science dano ka kahna hai haldi ka rozana istamal miotagen ki mikdar ko numaya tor par kam karta hai. Is tarah haldi ek aise mosar anti miotagen ke tor par samne ae hai jo cancer jigar, prostate, chati, lungs, aur gale ke cancer ke ilaj is se tahafuz aur tambaku noshi ke mozar asrat ke liye zail karne ke liye intehai mufid hai. Muhkiken ke mutabik haldi in hormones ke asrat ko masdod kardeti hai jo sartan ki galtiyan banne main madad karte hen. Chemotherapy ke doran is ke mozar asrat ka azala main is ka istamal mufid hai. Is ke istamal se cancer zada khaliyat par chemiotherapy zayada Mosar hota hai. Nuska jat

- Cancer main haldi aur dhmasa ham wazan ka safof subah duphair aur sham hamrah taza pani istamal karen. Ise capsule main dal kar bi istamal karsakte hen. Bafazal rabi intehai mufid hai. Garam mizaj sugar ke marizon ke liye bhi intehai mufid hai. Khoon main sugar ki satah ko normal rakhta hai musalsal istamal karen.
- Sartan jigar ka cancer, chati, mun aur hadiyon ke sartan main ye nuska istamal karen, haldi, samlo aur kashta sinkh 3 hum wazan, ek masha (double zero ka capsule) subha, dophair aur sham khane ke bad doodh ke sath 3 mah tak istamal karen sartan jigar ke ilawa ye chati, mun, hadiyon ke sartan ke liye bhi faida mand hai is ke ilawa ye athra, serum tri glyceride main bhi nafa bakhsh hai athra ke liye ise 6 mah tak istamal karen. Note: cancer main dono nuskhe ikhate bhi istamal kie ja sakte hain.
- Sozak main haldi aur amla ka hum wazan safof ek masha ki mikdar hen din Main 3 dafa istamal karen. Is ke ilawa 100gram haldi ko ek kilo rogan zaitoon main mila kar jala len ye tail chothai chamach (20 katre) mazkora nuska ke sath istamal karen ye tail cancer ke marizon ke liye intehai mufid hai.
- Haldi ka ek bunyadi nuska jo mazmon main bayan kie gae amraz main istamal kia jata hai, darj zail hai. Haldi, malthi aur soonf teno ham wazan, safof bana lain. Darj zail amraz main ek masha din main 3 dafa istamal hamrah taza pani istamal karen. Gurdon aur masana ki infection, peshab main khoon aur peep ati ho, dialysis, peshab main jalan ho aur sozak ka marz lahak ho to bunyadi nuska main chotha jazu bakhra shamil karke ek masha mikdar main subha, duphair aur sham hamrah taza pani istamal karen is ke istamal se dialysis ke Wakfe main kami ati hai sozak main is ke sath uper mazkora rogan haldi istamal karen. .Hepatitas main bunyadi nuskha main chotha jazu takham kansi shamil karen aur ek masha ki mikdar main din main 4 martaba ark mako ka kasni aur sharbat dinar ke hamrah istamal karen ya is kehwa ke sath istamal karen. Makwa 2 tola, kasen ke beej 1 tola, soonf 1 tola, sharbat dinar 2 chamach ek kilo pani len uper ki 3 chezain dal kar pakne ke liye rakh den jab ek cup pani rah jae to utar kar sharbat dinar mix karke neem garam pi lain.
- Turmeric Milk Haldi Wala Doodh: Haldi ka ek aur mufid nuskha haldi 50gram aur kachoor 50gram len, 2 chezain pehle se pisi hua na ho. Khud safof banalen. Ye safof adha chamach aur ek se adha chamch desi ghee, ek cup garam methe ya phike doodh main mila kar subha, dophair aur sham ya subha o sham chuski chuski piyain ya adha chamch din main 3 bar pani ya doodh ke sath waise hi istamal karen. Ye nuskha, joron, pathon aur Kamar ke dard ya aise log jo din rat apne jism ke dardon main thake aur uljhe rahte hen in ka jism har waqt jakra rahta hai, kandhe khiche hue, gardan khichi hui, asab khiche hue, tangon main dard, ji chahe mjhe koi dabae ya rat ko sote hue bar bar bistar par tangain patakhna aur hamla aurton ke liye lajawab hai. Hamla khawateen garam doodh ke sath chand hafte ya chand mahine din main 2,3 bar istamal karen, purani leukeria, kamar ke dard, aur hamal ke bad ki takalif ko dor karne ke liye behtren hai ye dil ke marizon ke liye jinka khoon garha, cholestrol, urea, uric acid barh chuka ho mada ke purane marez jin ke mada aur anton main intehai ulcer ho, bohat zayada sharab pene wale, bahar ke khane kha kar mada barbad karne wale ke liye bhi faida mand hai.
- Haldi ki khush zaika chae ya kehwa bhi darj zail tarike se banakar istamal kia jasakta hai. Aik cup coconut milk, ek cup pani, ek table spoon desi ghee aik table spoon shahad aur ek table spoon haldi ka safof. Coconut milk aur pani ko 2 minute tak ubalain phir is main shahad, desi ghee aur haldi dali kar mazid do minute aur ubalain aur chuskiyan lekar piyain. Coconut milk na mile to am doodh bhi karsakte hen. . Haldi ka doodh banane ka tarika ye bhi hai ke pehli ghee main haldi dal kar garam karen phir foran is main doodh aur shahad dal kar achi tarah ubalain is main kali mirch ke 3,4 dane bhi dale jaskte hen isi tarah shahad mayasar na ho to cheeni dal lain. Sugar ke marez cheeni ke bagair istamal karain.
- Haldi ke fawaid hasil karne ke liye ye halwa bhi istamal karsakte hen. Kachi haldi ka halwa(sugar ke marez istamal na karen) kachi haldi: adha kilo besan, adha kilo cheeni, adha kilo desi ghee, adha kilo khoya adha kilo soonf, 50gram pista, 100gram badam, 100gram gondkini, 100gram kaju, 100gram kamarkas adha chae ka chamch, dodh ek pao, tarkeeb: Kachi haldi ko chopper main pees lain. Karhai main haldi aur ghee ko achi tarah mix karke halki anch par bhoon kar nikalen. Aik alag karhai main ghee garam karen aur is main gond kani fry karke nikal len ek karhai main besan aur ghee dal kar bhonain. Phir is main kaju, pista aur badam dal kar mix karen is ke bad khoya shamil karen. Sath hi cheeni, doodh aur ilaichi dana dal kar halki anch par pakain. Ab is main ilaichi dana gond kani aur soonf dal kar achi tarah mix karlen. Serving dish main nikalain. Badam, pista se garnish kar ke serve karen.
- Sardiyon quwat madafat ki mazbuti, nazla zukam aur khansi wagera main darj zail kehwa istamal karen.
No comments:
Post a Comment