Shutar Murgh Information In Urdu Ostrich Facts In Hindi: Ostrich bird details aur maloomat ye hain ke jub woh kisi shikari ko dekhta hai tou apni gardan rait mein daba laita hai aur ye samajhta hai keh ab usay koi nahin dekh raha aisi koi baat nahin hai haqeeqat sirf itni hai keh aram karte waqt shutarmurgh apni gardan zameen par jhuka laita hai. Ye dekhne mein bara masoom maloom hota hai is ki ankhain tamam janwaron se bari hoti hain is ka sar chota gardan lambi aur patli, tangain gardan ki tarah lambi aur mazboot hoti hain paon khar nama hote hain. Shitar murgh ki 4 ungliyon mein se 2 khatam ho chuki hain aur 2 baqi hain magar un khatam hone wali ungliyon ke asar baqi hain un 2 ungliyon mein lambe aur tez nakhun hote hain apne tez nakhunon se woh dushman ka muqabla karta hai.
Ostrich Essay In Hindi/Urdu
Is bird ko shutar murgh is liye kehte hain keh qad o qamat aur chal dhal mein oont jesa hota hai magar is ke bawajod ye pardar janwar hai. Persian language mein Shutar ke meaning camel aur murgh ka matlab parinda ke hain is liye is parinde ko Ostrick kehte hain. Ye dunya ka sub se bara parinda hai magar har waqt chokna rehta hai is ki lambi gardan radar ka kaam karti hai apni lambi neck se ye dushman ko door hi se dekh laita hai. Mahir hewanat ka kehna hai keh shutar murgh zamana qadeem ke un parindon mein se aik hai jinhon ne apni nasal ko ab tak mehfooz rakha hai. Is ka asal watan tou africa aur Arab ke registan hain magar ab ye Australia, New Zealand, America aur Asia ke baaz hison mein paya jata hai. In tamam mumalik ke shitar murgh mein qad o qamat aur huliye ke aitbar se thora sa farq hota hai. Duniya mein mojood parindon mein shutarmurgh sab se qad awar parinda hai aam tor par ostrich ki height 6 se 8 foot hota hai. Is ki lambai mein numayan hisa is ki gardan aur tangon ka hota hai is ka wazan 200 se 300 pound ya 100 se 50 kg hota hai is ke bazu jinhain pankh bhi keh saktay hain kamzoor hote hain. Wazni jism hone ki wajah se ye ostrich bird par hone ke bawajod ur nahin sakta. Qudrat ne is kamzoori ke badlay mein is ko bohat mazboot tangain ata ki hain jin se ye bay had tez dor sakta hai aam tor par is ki raftar 30 se 45 meel fee ghanta hoti hai.
Ostrich Babies Facts In Urdu
Ostrich Chicks |
Ostrich ki mada aik waqt mein 10 se 12 eggs deti hai 1 anda wazan mein taqreeban 3 pound hota hai duniya mein mojood tamam parindon mein shutar murgh ka anda sub se bara aur wazni hota hai magar mazay ki baat ye hai keh is ke apne wazan ki munasbat se ye taqreeban sowan (100th) hisa hota hai jo is lihaz se tamam parindon mein sub se chota hota hai. Female ostrich eggs deti hai aur un ko seenay ka kaam male ostrich karta hai anday denay ke baad mada shutar murgh un andon ke 3 hisay karti hai aik hisa zameen mein dusra dhoop mein rakhti hai aur teesra nar shutar murgh ke seenay ke liye chhor deto hai. Jub bachay nikal atay hain tou nar shutar murgh dhoop wale andon ko tor kar bachon ko pilata hai. Jub woh khatam ho jate hain tou rait mein dafan kiye hue andon ko nikal kar un mein sorakh kar deta hai is mein se nikalne wale mawad ko khane ke liye chontiyan aur dusre keeray makoore jama ho jate hain shutar murgh unhain pakar pakar kar apne bachon ke agey dalta hai jise woh shoq se kha jate hain.
Shutar murgh insan ko apni pusht par bitha kar bari teezi se dor sakta hai lekin aisi surat mein woh adhay ghantay baad thak jata hai aur usay aram ki zaroorat hoti hai. Ostrich seedha bhagne ke bajaye lehra kar dorta hai har lamha dain bayain murta hai lihaza us par sawa ko bohat chokas aur hoshyar ho kar baithna parta hai warna kisi bhi lamhe girne ka khatra rehta hai. Mhutar murgh ka gosht (ostrich meat) behad mazay dar aur taqatwar hota ye world's biggest bird aur anookha parinda hai.
No comments:
Post a Comment