Chand Ki Malomat Moon Information Urdu Chand
Moon History In Urdu Chand hamari zameen ka aik sayarchah hai zameen se koi 2 lack 40000 meel door hai. Is ka qatar 2163 meel hai chaand ke mutaliq ibtidai tehqeeqat Galileo ne 1609 mein kien. Us ne bataya keh chand (moon) hamari zameen ki tarah aik kurah hai us ne is khayal ka bhi izhar kiya keh chand par pahar aur atish fishan paharon ke dahanay mojood hain. Us mein na hawa hai na pani aur in ke na hone ke baes chand par zindagi ke koi asaar nahin paye jatay. Ye baat insan bardar jahazon ke zariye sabit ho chuki hai. Din ke waqt chand par sakht garmi hoti hai aur raat thandi hoti hai aur aisa 1 hour ke andar hota hai.
Chand ka din hamare 15 dinon ke barabar hota hai ye zameen ke gird 29 ya 30 din mein apna aik chakar pura karta hai. Chand ka madar zameen ke gird barh raha hai yani ausat fasla zameen se barh raha hai. Qamri aur Islami maheene isi ke talu aur gharoob se muratab hote hain. Chand hamain raat ko sirf thori roshni hi nahin deta balkeh is ki kashish se samandar mein mad-o-jazar bhi paida hota hai. Science daan wahan se layi gayi mitti se is natijay par pohanche hain keh chaand ki arziyat zameen ki arziyat ke muqable mein zayada sada hai.
Ibtida
Chand ki hiyat ke mutaliq mukhtalif nazriyat hain aik khayal ye hai keh ye aik sayarah tha jo chalte chalte zameen ke qareeb bhatak aya aur zameen ki kashish saqal ne usay apne madar mein daal liya ye nazriyakhasa maqbool raha hai magar scientists ne aitraf kiya hai keh aisa mumkin hone ke liye chand ko aik khaas simtaar se zameen ke qareeb aik khas rastay (trajectory) par ana zaroori ho ga jis ka imkan bohat hi kam hai.Mojoda door mein science danon ka khayal hai keh 4.6 billion saal pehle aik dumdar sitara zor dar dhamakay se zameen se takraya jis se dumdaar sitara aur zameen ka bohat sa mada tabkheer ho kar zameen se nikal gaya. Ahista ahista ye mada zameen ke madar mein gardish karte hue ikatha ho kar chand ban gaya. Pani aur aise anasar jo asani se ur saktay thay nikal gaye aur baqi ansar chand ka hisa banay is nazriya ki tasdeeq is baat se bhi hoti hai keh chand ki kasafat zameen ki oper wali mitti ki pattiyon ki kasafat ke taqreeban barabar hai, aur us mein loha ki maqdar bohat kam hai kyoun keh dumdar sitare ka ahani hisa zameen mein dhans gaya tha jo zameen ka ahani goda bana.
No comments:
Post a Comment