How To Save Time Urdu Time Management Tips Waqt Bachane Ka Tarika Hindi Daily Yearly Life

  Lal Gulab      

How To Save Time In Urdu Manage Time In Hindi Time Saving Tips in Urdu

Waqt Bachane Ka Tarika: Din Ko 25 Ghante Ka Bana Lijiye: Mere ek mohale dar makami company main kam karte hain inhain aksar shikayat rahti hai ke bohat se kamon ke liye waqt hi nahin mil pata. Jab bhi in se mulakat ho to wo waqt ki kami ka rona zarur rote hain. Taham mere ek aur dost ka khayal hai ke yu wo apni khamia waqt ki kami ke parde ke peche chupa lete hen. Kai log to ye dawa karte jate hen ke waqt zayada hota to wo na jane kitne karname injam daite.

Ek sayane ka kol hai" buri khabar ye ke waqt urta chala jata hai aur achi khabar ye ke yailt ab hain" maina ye ke ab chahain to waqt ke jinko kabu karsakte hain. Ye ek aisa art hai jise har insan sekh sakta hai. Istalah main ye "time mangement" ya waqt ka intezam kahlata hai. Ab kamyab logon ki zindagiyon ka mutala kijiye malum hoga ke wo time management ke fan main tak the.

Mashoor bartanwi leader Winston Jarjal ko li jiye wo intehai masroof insan magar rozana khane ke baad 15 minute sastane ko zarur nikal keta. Isi tarah americi shahar shikago ke mayer ram aimanowel ko lijiye wo hafte main 7 din kam karta hai facebook ki CAO rozana thek sadhe 5 baje daftar chor deti hai wo ghar puhnch kar bachon ko waqt deti aur in ke sath khana khati hai. Haqiqat ye hai ke jo insan time management ke gur jan le wo apna din 25 ghante wala banasakta hai. Is art main tak log kam ke doran har kism ki pareshaniyon se bakhobi ahad bara hote. Ghar walon ki waqt dete aur tafrih ke liye bhi qeemti lamhat nikal lete. Ehal watan ke faide ki khatir time management sikhane wale nukat paish khidmat hain.

Ek Waqt Main Ek Kam - Notes Time Management Tips In Urdu For Students

Kai log ek waqt mukhtalif kam karte hain ta ke inhain barwaqt ya ye takmel tak phnchasaken. Magar jadid tahkik se sabit hochuka ke "multi tasking" ka ye amal khasosan dimag ko nuksan puhchata hai. Hata ke insan ki jan bhi khatre main par jati hai ek waqt Kai kam karne ke bais insan ki yadasht kamzor hojati hai. Naiz wo apni quwat artakaz kho bethta hai. Mahren ka kahna hai ke agar insan kamo par tawaja na de pae to wo koi kam thek tarah anjam nahin de pata. Lehaza ek waqt main ek kam par tawaja dijiye ta ke wo khair o khubi se ho sake.

Youn insan ki sari tawanai isi par markooz hoti hain aur wo umda tarike se anjam pata hai ek danish war ke bakol mukhtalif kam ek waqt karna aise hi hai ke ap kai kere ek sath sane lagen. Multitasking darasal ek sarab ya dhoka hai. Insan bazahir ye dekh kar khush hota hai ke wo ek waqt kai kam kar raha hai. Hakikatan wo ek se dusre kam main ulajh kar apna waqt hi barbad karta hai. Ek aur bat yad rakhiye, kam ke doran aram karna bohat zaruri hai jo nojawan ya talib ilam musalsal parhte rahe wo apni sehat kharab karlete hain. Ye kulia sab par sadik ata hai lehaza parhai ho ya koi bhi kam, ise anjam dete hue wakfa zarur kijiye Wakfe se khoi hui tawanaiyan bahal hojati hain. Youn insan taza dam hokar behtar andaz main kam karta hai. Aram ka ye wakfa insan ko zehni o jismani dono aitbar se faida puhnchata hai. Ek thaka hua zehan aur jism kharab nataij hi deta hai. Lehaza apne dimag badan aur rooh ko aram dena zaruri hai take umda nataij desaken. Kam ke doran wakfa lijiye sukoon se apne asab ko aram dijiye aur taleem ya karobar main kamyabi palen. Kam karna kamyabi ki kunji hai. Magar iske ye maina nahin ke insan 24 ghante main tafrih hi na kare. Tafrihi sargarmiyan ek tarah se insan ko charge kardeti hain. Nend bhi ek zehni fariza anjam deti hai is liye din bhar kam karne ke bad kam az kam 7 ghante ki bharpur nend lijiye. Dalai lama ka kahna hai ke nend behtren dawa hai bharpur nend na lene se insan ko zehni o jismani tawanaiyan zawal pazer hojati hain aur wo apne kam thek tarah se nahin karpata lehaza nend se nata rakhye aur apni zindagi ko mutmain banalijiye.

Discipline Paida Kijiye

Jab insan ki zindagi main nazam o zabt aur tanzem hai wo har kam karne ke liye waqt paleta hai. Time management ke mashoor mahir,staphin ka kahna hai. " aksar log apne waqt ki tanzem nahin karpate. Am tor ye wo "fori" kam anjam dene main masroof rahte hain. Yu "zaruri" kam karne ke liye inhain waqt nahin mil pata. Ek kahawat hai. Diciplane ki taklif bardast karna is pachtawe se behtar hai jo nakami o na muradi par milta hai. Qudrat Se Dosti Rakhiye: Jadid tahkik se afka hochuka ke jo insan qudrat se dosti rakhe, wo jismani o dimagi tor par sehat mand rahta hai. Is main dabao stress paida karne wale harmones, cholestrol ki satah kam rahti hai. Naiz wo behtar andaz main mushkilat zindagi ka mukabla karta hai is liye ehal watan ko chahye ke wo subha ya sham bag main jehal kanhi zarur karen. Hata ke agar ap apni amaiz ke samne kisi hasen fitri Manzar ki tasweer lagain, to wo bhi musbat asar paida karegi. Kamliyat Pasandi se Bach kar rahen: Kai talib ilam aur nojawan apne kam ko kamliyat pasandi (Perfectionism) se anjam dena chahte hain durust ke har kam kamil andaz main ya ye takmel tak puhnchna chahye lekin is amal main shidat pasandi apna lena mosar hai kamliyat pasandi phir istadad kar aur insani sehat, dono ko nuksan puhnchati hai. Darasal kamliyat pasandi ke purastar log amuman is khof main mubtala hojate hain ke nakam hone par wo kahen ke nahin rahenge. Ye khof phir insan ki zehni o jismani salahiyaton par munfi asrat martab karta hai. Mahren nafsiyat mashwara dete hen ke apna kam ahgi se anjam dene ki koshish kijiye magar kamliyat pasand na baniye yane apne andar ye soch paida na kijiye ke kam ko har hal main kamliyat ki inteha tak puhnchana hai.

Time Management Quote - Aik Qol Hai

Insan jab kam ko ahdagi se karne ki sai kare to wo itminan o sukoon ki dolat Pata hai. Magar kamliyat pasand ban jae to Bechaini aur waqt ki barbadi hi naseeb hoti hai.
logoblog

Thanks for reading How To Save Time Urdu Time Management Tips Waqt Bachane Ka Tarika Hindi Daily Yearly Life

No comments:

Post a Comment