Grapes Information In Urdu Angoor Urdu Essay Grapes Fruit Ki Maloomat Hindi Mein

  Lal Gulab      

Grapes Information In Urdu Angoor Ki Maloomat - Grapes Urdu Essay Angoor In Hindi

Angoor aik poday aur uske phal ka naam hai ye poda bail ki surat mein ugta hai aur iska fruit guchon mein ugta hai aik guchay mein 6 se lay kar 300 angoor ke danay ug sakte hain unhain is halat mein bhi khaya ja sakta hai ya phir is se jam, juice, jelly, sharab aur angoor ke beej ka tail (grapes seeds oil) bhi banaya ja sakta hai. Angoor jub sookh jate hain tou un se kishmish bhi banai jati hai Pakistan ke subah kpk ke zila chitral ki wadi kalash mein angoor se desi sharab bhi banai jati hai.

Tareekh Angoor  - Grapes History In Urdu

Angoor ki kasht taqreeban 6000 - 8000 saal pehle qarb mashriqi alaqa mein ki gayi thi. Asar-e-qadima ke mutalia ke mutabiq angoor se sharab banane ki insani tarkeeb 8000 saal pehle mulk Georgia mein payi gayi.

Sakht - Shape of Grapes

Mashoor o maroof mewa hai is ki bohat si qismain hoti hain jangli, pahari, bastani aur gol lamba aur chota bara aur safaid surkh sayah aur garmi o sardi ka surkh qisam ko Baghdad mein Jabli kehte hain. Is mein sheereeni kam hoti hai chilka mota hota hai dair hazam hai magar stomach ko behtar rakhta hai. Lekin asal mein 2 qisam aur 2 rang ke zayada hote hain aik safaid aur dusra black aik gol aur dusra lamba behtar woh hai jo garmi ke mausam ka ho aur shadab ho dana bara ho. White grapes black grapes se behtar hote hain re grapes se bhi safaid behtar hota hai. Jub darakht par pura pak jaye aur pak kar darakht par kayi din tak latka rahe tab isay utar kar khayain.

Angoor Ki Taseer Mizaj

Jese ke ye phal taqreeban subhi ka pasandida hai lazeez hai fawaid beshumar rakhta hai aur agar grapes ki taseer ki baat ki jaye tou pehle darja mein garam o tar hai.

Mazeed Knowledge And Facts About Grapes

Paka hua angoor jald hazam ho jata hai angoor salam se ba nisbat is ke nichoray hue pani se zayada khoon banta hai jis angoor mein khata mitha pan hota hai woh garmi nahin karta aisa angoor stomach ke liye acha hai.
logoblog

Thanks for reading Grapes Information In Urdu Angoor Urdu Essay Grapes Fruit Ki Maloomat Hindi Mein

No comments:

Post a Comment