Apple Vinegar Benefits Urdu Saib Ka Sirka For Weight Loss Apple Cider Vinegar In Pregnancy

  Lal Gulab      

Apple Cider Vinegar Benefits In Urdu Saib Ka Sirka

Apple ka sirka dunya ke degar muashron ki tarah mashraqi aur arab gharano mein bhi sirke ka istemal ek qadeem riwayat hai jo mukhtalif iksam ke khano ki tayari ke ilawa salad main bhi istamal hota hai. Phalon se tayar kiye jane wale sirkon main saib ka sirka Apple Vinegar cider is lehaz se khasosi ahmiyat ka hamil hai ke is main insani jism ke liye bohat zaruri ajza maslan Potassium aur vitamin D aur c maujood hote hain. Alawa azen ye sirka anti dolat hai. Sabz paton wali sabziyan, pode aur darakhton ki niplain, darkhton ki chal, is ki jarain, angoor, corn bears aur saib ye tamam ashia potassium ke mawakhiz hain. Taham sirf potassium se tibi fawaid hasil nahin kiye ja sakte. Potassium ko kargar banane ke liye degar madniyat ki bhi zarurt hoti Hai. Saib ke sirke main maujood potassium nak, halak, lungs main maujood izafi balgam kharij karne main bhi madadgar hota hai.

Ye kahawat to bohat purani hai ke rozana ek saib khane wala doctor se dor rahta hai. Lekin hakikat ye hai ke saib se tayar shuda sirke main bhi wo tamam eham madniyat aur vitamins maujood hote hain jo asal saib ka khasa hain. Saib ko ap khuwa taza phal ki surat main istamal karen juice ke tor par piyain ya is s tayar shuda sirka salad par chirak kar ya khano main instamal karen. Saib main insani jism ke liye eham madniyat maujood hoti hain. Jari botiyon ke mahren ke mutabik saib ka sirka chilka samait pure saib ko kuchal kar tayar kia jana chahye is tarah jo sirka tayar hota hai is main saib ki tamam khasosiyat muntakil hojati hain. Siwae shakar ke, jo tezabi made main tabdeel hojati hai aur yahi sirke ki khasosiyat hai. Har khane ke waqt agar pani ke ek glass main do bare chamche ki mikdar saib ka sirka mila kar pi lia jae to is se ghiza hazam karne wali naliyan sehat mand rahti hain aur in main maujood sehat ko nuksan puhnchane wale jarasemo ka khatma hojata hai.

Ek harbal practishner ke mutabik saib ke sirke ko motapa halak ki kharash, balgami khansi, nazle ki waja se nak band hone, dama, narkhare ki soozish, burhape main zehan ko mustaid rakhne yahan tak ke zehar khorani ke ilaj main bhi istamal kia jasakta hai. Harbal mahren ke mutabik halak ki kharash ki surat main am tor par pani main saib ke sirke ko mila kar is se garara karne ka mashwara dia jata hai. Pani se bhare ek glass main saib ke sirke ki chae ke ek chamch ki mikdar ki amaizish kafi hoti hai is amaize ko mun main bhar kar garara karne ke bad halak se neche utar lena chahye ek ghante ke bad dusri bar bhi isi tarah garara kia jae. Jab halak ki kharash kuch kam mehsus ho to wakfa do ghante tak barha daina Chahye.

Saib ka sirka khano main to istamal hota hi hai, iske ilawa jism par laip ke tor par bhi mukhtalif amraz main istamal kia jasakta hai. Bohat se aise pode hote hain jinko chone se kharish ki shikayat hoti hai. In main se ek makhsus kism ki ashq paicha ki bail ivypoison hoti hai agar is ki ragar se kharish ki shikayat paida hojae to saib ka sirka aur pani masawi mikdar main mila kar mutasira hisa par lagain phir ise khushk hojane dain. Bar bar is amaiz ko lagane se kharish ki shikayat khatam hojati hai. Virus se paida hone wali ek bemari shingles main markazi asabi nizam mutasir hota hai aur asab ke sath jild par chale bhi hojate hain is taklif main saib ka sirka bagair kuch mix kiye mutasira jild par din main 4 martaba lagain aur agar mumkin hoto rat ke waqt bhi 3,4 martaba istamal karen. Is se chand minute ke andar kharish aur jalan ki shikayat khatam hojaegi aur ye arza bhi bohat tezi se khatam Hosakta hai. Baz logon ko raat ke waqt thande pasine ane ki shikayat hoti hai. Ye afrad agar sone se pehle apne jism ko sirka mile pani se saf karlain to rat ke waqt pasine ki taklif se bachao mumkin hota hai. Jal jane ki surat main bhi mutasira hise par saib ka sirka lagaya jasakta hai jis se dard ki shidat kam hojati hai. Tangon ki rag phoolne ki bemari Veinvaricose main intehai shadid dard mehsus hota hai. Is taklif main saib ka sirka din aur rat ke aukat main mutasira hise par malish karne se dard main kafi kami hojati hai.

Alawa azen is taklif main din main do mart2 pani se bhare glass main do bare chamche ki mikdar sirka milakar pena mufid hota hai. Is se ek mah ke andar farak mehsus hone lagega. Dad ek kism ki jildi bemari hai jo ek makhsus kism ke phaphond se paida hoti hai aur ye ek se dusre ko muntakil hoti hai. Dad se mutasira jild par ungliyon ki madad se saib ka sirka din main 6 martaba lagane Se bohat zayada afaka hota hai. Saib ke sirke ke aur bhi beshumar fawaid hain. Sar main khushki, ganj pan, sar main dard, zahrile hashrat ke katne ya dank marne, pathon, joron ke dard, airiyon ke fatne main bhi iska bairuni istamal mufid hota hai.
logoblog

Thanks for reading Apple Vinegar Benefits Urdu Saib Ka Sirka For Weight Loss Apple Cider Vinegar In Pregnancy

No comments:

Post a Comment