Anar Ke Faide In Urdu Pomegranate Benefits In Hindi
Anar Benefits In Urdu: Khate ya meethe dono kism ke anar ke dane pathriyon ke ilaj ke liye mufid hain. Din main 3 bar dane achi tarah pees kar chane ke shore ke sath khalane se gurde aur masane ki pathriyan tahlil hojati hain. Anar ke bare main bachpan se sunte ae hain ke ye janati phal hai aur is ke heron jaise dano main ek dana janat ka hota hai lehaza ise kat te, chelte aur khate waqt bohat ehtiyat se kam lena chahye ta ke hum is mukadas dane ke hasool main bamurad hon. Lehaz anar ko hamesha khas ehtiyat se katna aur khana chahye. Zahiri khubsurti ke sath sath lazat se bharpur anar mujism shifa bhi hai. Allah Talah ne ise mausam barsat ke bad khas tohfe ki hasiyat se paida farmaya hai. Yani ye is mausam ke tamam amraz ka ilaj hai.
Ishal
Anar ishal ka khas ilaj hai is ke marez ko wakfe wakfe se takriban 50 mililitre anar ka ras pilaya jae to afaka hoga. Ishal main anar ka "milk shake" bhi mufid hai. Agar milk shake na banana chahen to anar ka ras dahi main mila kar dain aur cheeni ke bajae namak aur kali mirch shamil karen ye mahaz dawa hi nahin mukamal ghiza bhi hai. Chote bachon ko ishal main anar ki konpalon ki chatni bana kar bhi din main 3,4 bar di jati hai is se fori afaka hota hai. Pait Dard: Anar tarsh ya sheren ke dane nakaliye phir in par namak aur kali mirch chirak kar takriban so gram khaiye Insha Allah har kism ka pait dard thek hojaega is zaman main kisi bhi mustanid matab ki dawa anarain bhi akseer hai. Paichish: Paichish ke marez ko din main 2,3 martaba thora thora anar ka ras pilain ya anar dane khilain insha Allah afaka hoga.
Jamalghote ka Taryak
Anar jamal ghote ka taryak hai agar tabiyat daston se nidhal ho aur dast kisi tarah rukne main na ain to marez ko dus dus minute bad ek ek muthi anar dane khilaen ya ek ek ghont anar ka ras pilaen afaka hoga. Agar daston ke sath khoon ata ho tou woh bhi thek hojaega.
Yarkan
Anar ke 5 tola ras main rat ko lohe ka ek bilkul saf tukra dal kar rakh dain aur subha nikal kar ras main misri aur pani mila kar pene se chand roz main yarkan dor hokar jigar main khoon saliah paida hone lagega. Chehre ki rangat surkh aur khushnuma hojaegi. Sangarhani: Anar ka ras is marz main bhi bohat mufid hai. Bukhar: Anar ka ras dafah bukhar hai yani agar asan lafzon mein baat ki jaye tou anar jisay pomegranate kehte hain bukhar ke mareezon ke liye acha hai is ke liye anar ka juice istemal kiya jaye.
Pait Ke Kiray
Is marz main anar ki chal ka kehwa nihayat mufid hai. Tarika ye hai ke do tola anar ki chal kot kar ise sola guna zayada pani main dal kar ubalain aur ahista ahista halki anch par pakne den. Jab chothai hisa pani rah jae to utar kar thanda karke chan lain aur is main 6 mashe kala namak dal kar marez ko pilain. Insha Allah ek hafta main shifa naseeb hogi.
Bhook Barhane Ke Liye
Hazme ki sehat aur bhook barhane main anar ka koi jawab nahin. Is phal ko apni roz mara ghiza main shamil rakhiye is se mada sehat mand aur fal rahega. Jab mada thek hoga to jism bhi tandrust rahega. Mausam garma main anar ka ras lekar is main char guna pani aur cheeni mila kar pene se jism ki garmi dor hoti hai.
Gurde Aur Masane Ki Pathri
Kathe ya methe dono kism ke anar ke dane pathriyon ke ilaj ke liye mufid hain din main 3 bar dane achi tarah pees kar chane ke shore ke sath khalane se gurde aur masane ki pathriyan tahlil hojati hain.
Danton Aur Masoorhon Ki Takalif
Anar ke khushk chilke ka safof kali mirch aur namak ke sath bator manjan istamal kia jae to danton aur mashooron ki kai takalif se nijat mil jati hai. Is ke bakaida istamal se mashoore mazboot hojate hain. Khoon rasna band hojata hai. Piyoria ka khatra lahak nahin hota aur dant mooti ki tarah chamakte hain.
No comments:
Post a Comment