All Totkay In Urdu Ghareelu Desi Totkay For Kitchen Hindi Totkay For Everything

  Lal Gulab      

Ghareelu Totkay In Urdu Desi Gharelo Totkay In Hindi

  1. Kacha kaila katne ke baad agar khuch bach jaye to usay kala hone se bachane ke liye dahi ka pani us par chirak dain siyahi mail nahin ho paye ga.
  2. Cake ko baking tray mein dalne se pehle us par chiknai laga daite hein agar chiknai lagane se pehle tray mein khushk ate ko chirak dain to baad mein cake asani se toote bagair tray se bahar ajaye ga.
  3. Makhan mein thanday aur nami ke dino mein aik khas kism ki nagawar boo ajati hai is se bachne ke liye us mein dhaniye ke khuch pate daal dain makhan ko jab ubalain ya pighlain to baad mein usay chan lain. 
  4. Sheeshe ke bartan mein garam ashia dalne se pehle us mein paper napkin lagain is tarah garmi se sheeshe ke bartan crake hone se mehfooz rahain ge.
  5. Achar ko dair tak mehfooz rakhne ke liye aik choti si plastic ki theeli mein thori si hing achi tarah band kar ke jar ke andar daal den is tarah achar kharab hone se mehfooz rahe ga.
  6. Ghar par reshmi sarhi dhona ho to pani mein washing powder ke sath thora sa lemon ka rus bhi dal dain ye rus sarhi ko bad rang hone se bachaye ga aur silk ko naram rakhe ga.
  7. Ladu ya barfi banane ke liye atay ko pehle se garam oven mein bhoon lain is se maza mein izafa ho jaye ga aur ghee ka kharch bhi kam ho jaye ga.
  8. Apni jewelry ko chamakdar aur roshan banane ke liye unhain uble hue amla aur reetha ke powder mein aik ghante ke liye chordain. Is ke baad kisi purane tooth brush se inhain rawa pani se dholain.
  9. Gandi aur thaki hui ankhon ko saf karne ke liye neem garam pani mein adha tea spoon boric powder milain. Cotton ki gaind si banain ise pani mein bhigoain aur ankhain saf karain.
  10. Purane dupaton ko phainkne ki zarurat nahin 3 purane dupaton ko is tarah ghoondh lain jaise balon mein choti ghondhte hein is tarah ke 3 set bana kar inhain jor lain. Khubsurat aur rang posh ke tor par kam dainge.
  11. Paneer se bani hui ashia mein agar thora Sarson shamil karlia jae to khane ki khushboo mein izafa hojata hai.
  12. Roti bailte waqt 4 taraf yaksan dabao dalen warna pakate waqt roti is jaga se kachi rah jaegi jahan dabao kam parega.
  13. Sar dart aur khichao ki taklif se nijat ke liye aap zayada se zayada machli khain kyun ke machli ke tail mein dard se nijat daine ki salahiyat hoti hai is ke ilawa adrak ka istamal bhi faida mand rahta hai.
  14. Agar aap ko nend na ane ki shikayat ho to shahad ko bator trinko lizer istamal karen shahad ke istamal ki badolat aap ko nend jaldi ahjaigi.
  15. Tomato khane se kabz ki shikayat dor hoti hai aur anton ko faida hota hai jism mein marz ka mukabla karne ki quwat barhti hai danton ki hifazat karta hai. Khansi nazla zukam mein is se parhaiz karna chahye.
logoblog

Thanks for reading All Totkay In Urdu Ghareelu Desi Totkay For Kitchen Hindi Totkay For Everything

No comments:

Post a Comment