Ajwain Ke Faide In Urdu - Ajwain ko english mein kya kehte hain? Isay Carom kaha jata hai. Ajwain ka poda sedha khurdara aur roin dar hota hai iski shakhain sedhe tane se phooti hain. In par baizwi shakal ke paron jaise 5,5 lambe pate hote hain. Shakhon pe 4 se 12 tak phoolon ki gundhiyan hoti hain jin main 6 se 16 phool khilte hain phal bohat chota baizwi shakal aur bhura rang rang rakhta hai.
Ajwaid Fawaid And History
Barsager main ajwain ko hazma ki dawa ke tor par zamana qadeem se istamal main laya jaraha hai. Qadeem yunani tabib bhi iske isi istamal se agha the. Kai qeemti yunani adwiyat ajwain ke bejon se tayar ki jati hain. Ajwain ka poda iran, misar, afghanistan aur barsager kasht kia jata hai. Bejon main rogan ya tail paya jata hai jo zabardast kism ki tibi afadiyat rakhta hai. Ye tibi afadiyat thai mol ki mojodgi muhia karti hai. Shafa bakhsh salahiyat: ajwain ke beej mehrak aur tashnaj aur ainthan ke arze ka tadrak karne main mufid hain. Ajwain ka tail berang bhi hota hai aur bhura bhi.Ajwain Information In Hindi
Ajwain ki bu makhsos kism ki aur zaika taiz hota hai agar is tail ko para rahne dia jae to ye kuch arsa bad alag hojata hai aur kalmain baki rahjati hain. Ye bazar main ajwain ke phool aur sat ajwain ke name se firokht hota hai. Tib ki dunya main iski bohat ehmiyat hai. Is main ajwain ke bejon ke tamam khawas mojod hote hain. Made aur antiriyon ki takalif: Ajwain ka istamal ishal ke marz main ek zamane main desi ilaj ke tor par raij hai. Paipesh, badhazmi, haiza, konj aur tashnikh ke auraz main iska kamyab istamal wasi tor par paya jata hai, riyah, badhazmi aur tashnaj ki surat main ajwain ke bejon ko pan ke pate ke sath khaya jata hai. Iske bejon ko chae ke ek chamcha mikdar main namak ke sath badhazmi dor karne keliye khaya jata hai. Bejon se kashid kia jane wala tail jo jildar jata hai, haiza, riyah, riyahi kolanj, ishal, zahaf mada aur bad hazmi main akser hai. Ye am tor par ek se 3 katre tak pilaya jata Hai. Bejon se kashid kia hua pani hazme keliye bohat umda hai aur kolanj aur riyah main fori aram daita hai, ise haiza ki ibtadai marhala main rokne keliye 30se 60gram mikdar ki khorak main dia jata hai.Ajwain For Weight Loss
Kaha jata hai ke is mein woh khubiyan hain jo wazan mein numaya kami karne ka baes banta hai.Ajwain Se ilaj
Kolanj ki surat main ajwain, khushk adrak aur kala namak biltartib ek hisa adha hisa aur chothai hisa mila kar kot pees kar garm pani kesath 3 gram mikdar main phanka jata hai. Gas aur riyah ki surat main ajwain adrak ham wazan lekar adhai guna mikdar ke lemu ke pani main bhigo kar khushk hone par kale namak ke sath safof banalia jata hai. Is safof ki takriban do gram mikdar garm pani ke sath li jati hai. Sans ki bemariyan: khushk balgam ke ikhraj keliye ajwain ke bejon aur lasi ka malgoba bohat mosar hai. Bironkites main bhi ajwain ke beej majrib hain. Dama main ajwain ke bejon ko garm karke inka sank karna bohat pura gharelu ilaj hai. Chutki bhara ajwain ke beej khurdani namak aur ek long ko chabana nfluenza main paida hone wali khansi main nafah hai. Zukam: Nazla zukam keliye mosar aur aam ilaj hai. Is main band nak kholne ki zabardast salahiyat hai khane ka ek chamcha kote hue ajwain ke beej kisi kapre main bhand kar songhne se band nak khul jati hai. Isi tarh ek potli rat ko sote waqt takiya ke pas rakh di jani chahye. Is se bhi nak ki rukawat khatam hojati hai. Chote aur shair khuwar bachon ke gale main iski potli is tarah bandhi jati hai ke thori ke neche rahe. Balig afrad keliye ek chae ka chamach beej ubalte hue pani main dal kar bhap main sans laina mosar rahta hai. Dard shakika: adhe sar ka dard jis ke sath amuman dard shakam bhi hota hai iske ilaj keliye ajwain ke beej ka dhowan lena ya songna mufid rahta hai. Hadiyan aur dimagi garbar main bhi ye ilaj kamyab hai. Joron ka dard, soojan ya gathia ka marz: bejon se kashid kia gaya tail joron ke dard aur soozish main malna mufid rahta hai.More Ajwain Benefits In Urdu Carom asabi dardon main bhi ise kamyabi se istamal kia jata hai. Mun aur halkoom ki soozish: ajwain ke bejon ke bane joshande main aam namak mila kar garare karne se halkoom ki soozish zakham aur ki kharash dor hojati hai. Sardi zukam ya zor se chilane se agar awaz baith jae to garare faida daite hain.
No comments:
Post a Comment