Teeth Diseases In Urdu Teeth Problems Dant Ki Bemari Aur Takleef Danton Ki Hifazat Hindi

  Lal Gulab      

Teeth Problems And Solutions In Urdu Danton Ki Hifazat In Hindi

Danton Ke Masail In Urdu: Har baligh fard ke mun main 32 dant hote hain lekin in 32 danton main se kuch ko dusre danton ke mukable main galne sarne ya nuksan puhnchne ka ziyada andhaisha hota hai. Aiye dekhain ke amraz dandan ke mahairen hamein in khatrat ke bare main kya btate hain.

Samne Ke Dant:
Hamare mun ke samne ke hise main jo ath dant hote hain inhain incisors kaha jata hai. Khane ki chezon ko katne keliye ham in hi danton ko istamal karte hain. In main se chaar dant upper aur chaar neche hote hain. In danton ke darmiyan main jo dant hote hain inhain nuksan puhnchne ka ehtamal zayada hota hai taham nichle jabre ke in danton ko khas tor par is waqt nuksan puhnchta hai jab ham dant  peeste hain aur aap ko ye jan kar hairat hogi ke ham main se 8 fesad afrad be khayali main ye kaam karte rahte hain. Nichle hise ke incisor dant zayada pehle hote hain aur iski waja ye hoti hai ke iske upper ki hifazati taih (Enamel) zayada halki hoti hai jis se is taih ke neche ka zardi mail tissue (Dentine) jhalakne lagta hai. Yahi zardi mail tissue danton ko mazbooti ki bunyad hota hai. In danton ke irdgird mail (Tartar) ki shakal ikhtiyar karlaite hain. Dant ke nichle kinaron ke sath jama hone wala sakht mail jab bharne lagta hai to iske neche main mashoore aur mashoore ki hadi ki jaga sukar jati hai.

Nokilay Dant: Age ke danton aur darhon ke darmiyan ke nokile dant ko canines kahte hain. Ye tamam danton main sab se mazboot hote hain aur in ke nokdar kinare ghizaon ko katarne, katne aur tukre karne main madadgar hote hain. Ye kul chaar dant hote hain, do upper aur do neche aur samne ke chaar danton main se akhiri ke bad inki jaga hoti hai. In danton main dentine ki mikdar ziyada hoti hai kyun ke inko dusre danton se mazboot tar banaya gaya hai. Isi bina par soojan paida hoti hai aur phir waqt guzarne ke sath mashoron ki aisi bemari lahak hojati hai jis se dant hilna shuru hote hain aur phir nikal jate hain. Ye dant chonke apni sakht main patle hote hain is liye agar kabhi in main bharai ki zarurat paish ati hai to ye toot bhi sakte hain.

Bare Dant: Upper aur neche ke dono akhiri sire ke mashoore par do, do ki tadad main wo sab se bare aur sab se ziyada yahi dant galte sarte hain aur iski waja ye hoti hai ke danton ki safai ke doran brush ko wahan tak puhchana asan kam nahin hota. Isi bina par in danton ki sab se ziyada filling karwai jati hai. Upper ke Molar danton ke sath hi thook kharij karne wali androni naliyan gaal ke andar hoti hain jahan se thook ka ikhraj hota raihta hai jis se in danton ke gird mail (plake) jam kar sakht hojata hai.

Aqal Darh: Wisdom Teeth bhi Molar danton ke sath hi akhiri sira par hote hain. Taham baaz nojawano main akal daarh paato sira se phooti hain to inhain iska ehsas bhi nahin.
logoblog

Thanks for reading Teeth Diseases In Urdu Teeth Problems Dant Ki Bemari Aur Takleef Danton Ki Hifazat Hindi

No comments:

Post a Comment