Shah Abdul Latif Bhitai Essay In Urdu Speech Shah Abdul Latif Bhitai Short Note Sindhi Mazmoon

  Lal Gulab      

Shah Abdul Latif Bhitai Essay In Urdu Short Note

Mazmoon: Shah Abdul Latif Bhitai (sindhi zaban, shah abdul latif bhitai) barsager ke azem sufi shair the. Apne apni shairi ke zariye Allah aur us ke Rasool salallahu wasalam ke paigam ko aam logo tak puhnchaya.
Shah abdul latif bhitai ki wiladat 1689 eswi 1101 hijri mein mojoda zila matyari ke talka hala mein hui. Ap ke walid syed habib shah hala haweli mein rahte the. Aur mosoof ka shumar is ilaqe ki bar gazeda hastiyon mein tha.

Shah sahab ki paidaish ke mutaliq mashoor hai ke syed habib shah ne yake bad degar teen shadiyan ki lekin aulad se mehrom rahe. Apne apni is mehromi ka zikar ek darwaish kamil se kiya, jin ka isam girami abdul latif bataya jata hai. Mosof ne dua karte hue kaha ke insha Allah ap ki murad bar aegi. Meri khuwaish hai ke ap apne bete ka name mere name par abdul latif rakhen. Khuda ne chaha to wo apni khusosiyat ke lehaz se yaktae rozgar hoga.

Syed habib shah ki pehli biwi se ek bacha paida hua. Darwaish ki khuwaish ke mutabiq is ka name abdul latif rakha gaya. Lekin wo bachpan mein hi fot hogaya. Phir isi biwi se jab dusra larka paida hua to is ka name phir abdul latif rakha gaya. Yahi larka age chal kar darwaish ki paish goi ke mutabiq waqai yagana rozgar hua.

Abao Ajdad

Shah abdul latif bhittai ke abao ajdad sadat ke ek eham khandan se taluq rakhte hein. Ap ka silsila nisb Hazrat Ali as aur Rasool Khuda Hazrat Muhammad Mustufa salallah alhae walai wasalam tak puhnchta hai. Amer taimor ke zamane mein har aat ke ek buzurg syed mir Ali buhat si khubiyon ke malik the. Aur apka shumar is ilaqe ke moziz taren afrad mein hota tha. 1398, 801-2 mein jab Amer taimor har at aya, to syed sahab ne iski is ke sathiyon ki bari khatir o tawazah ki, sath hi bari raqam bator nazrana paish ki. Taimoor is husun salook se mutasir hua. Syed sahab aur in ke do beton Mir Abu bakar aur Hyder shah ko musahiben khas mein shamil karke hindustan le aya. Yahan ane ke bad mir Abu bakar ko sindh ke ilaqe sewan ka haqim mukarar kiya. Aur syed mir Ali aur hyder shah ko apne sath rakha. Bad ko syed hyder shah bhi apne walid bazir gawar aur taimor ki ijazat se ghoomte phirte mustakil tor par sindh mein ah gae. Aur Hala ke ilaqe mein shah Muhammad zamedar ke mehman hue. Shah Muhammad ne ap ki kuch is tarha khidmat ki ke waqti rah warsam par khalos muhbat mein badal gai. Kuch dino bad isne apni larki fatima ki shadi ap se kardi. Chonke ap ki maa ka name bhi Fatima tha, is liye shadi ke bad is name ko sultana se badal dia gaya. Syed hyder shah qareb qareb teen sal tak hala mein rahe phir apne walid ki wafat ki khabar sun kar harat hue jahan teen char sal tak rehne ke bad wohen wafat pagae. Kehte hein jab syed sahab  harat rawana hue to apki ehliya hamla then inhon ne chalte waqt ye wasiyat ki thi ke agar meri adam mojodgi mein bacha paida hua to larka hone ki surat mein iska name Mir Ali aur Larki hoi to Fatima rakha jae. Chunacha larka paida hua. Aur wasiyat ke mutabiq iska name mir Ali rakha gaya. Mir Ali ke khandan mein bare bare sahab kamal buzurg paida hue, in buzurgo mein shah abdul latif bhittai ke ilawa, shah abdul karem balri waro, syed Hashim aur syed jalal khas tor par kabil zikar hein.

Halat e Zindagi

Shah Abdul Latif Bhittai ki wiladat ke kuch dino bad in ke walid apne abai gaon chor kar kotri mein akar rehne lage. Panch cha saal ki umar mein akhond Noor muhammad ki mashoor darsiga mein tehsel ilam ke liye bheje gae. Aam riwayat hai ke shah sahab ne Alif ki siwa kuch aur parhne se saf inkar kardiya.
Jin dino shah habib kotri mein akar abad hue in dino kotri mein mirza mughal baig argon ka ek moziz khandan sakont pazeer tha. Shah Habib ki pakbazi aur buzurgi ne mugal baig ko buhat mutasir kiya. Kuch dino bad wo apne pure khandan ke sath muredon mein shamil hogae. Jab kabhi mirza ke ghar mein kisi ko koi bemari hoti shah habib ko duae sehat ke liye bulaya jata. Go ke mirza ke ghar mein sakhat kisam ka parda ka rawaj tha lekin shah habib ke liye is rasam ko bilkul khatam kardiya gaya. Ghar ki mastorat bila takaluf in ke samne ajaten aur hasb zarurat dua tawez lekar ane wali balaon ko talten.

Ek martaba mirza Mughal baig ki nojawan beti bemar hogai. Hasb mamol Shah Habib ke pas mulazim bheja gaya, itafaq se shah Habib ki tabiyat bhi kuch nasaz thi. Is liye inhon ne apne no umar bete Shah Abdul latif bhittai ko mulazim ke sath rawana kardia. Aap ne sindhi shairi se logo ki islah ki. Shah jo Risalo ap hi ki ek azeem koshish hai.

Wafat - Death: Ap 1752 mein 63 sal ki umar mein bhitt shah mein is jahan fani se koch kargae.
logoblog

Thanks for reading Shah Abdul Latif Bhitai Essay In Urdu Speech Shah Abdul Latif Bhitai Short Note Sindhi Mazmoon

No comments:

Post a Comment