Mushroom Benefits In Urdu Mushroom Ke Faide In Hindi Khumbi Ke Fawaid

  Lal Gulab      

Mushroom Benefits In Urdu Mushroom Ke Faide In Hindi

Khumbiyan Mukhtalif Bimariyon Ke ilaj Mein Mufeed: Khombiyan fungas, kai ya phaphondi ke nabatati girho se taluk rakhti hain. Is girho ke baaz arkan itne chote hote hain ke inhain microscope ke bagair daikhna mumkin nahin. Kuch nazar ah jate hain aur inhi main khombiyaan bhi shamil hain. In ki jisamat chand centi meter se lekar kai meter tak ho sakti hain. Riwayat ke mutabik ye daryaft itafakia hoi ke khombiyaan khai ja sakti hain. Qadeem insan bhook se baitab hokar har phal phool chak raha tha to khombiyaan is ke hath lagin. Is ne inhain laziz paya aur apni ghiza main shamil karlia. Youn khombiyon ke khawas se la ilmi ke bawajood insan is se mutafeed hota raha. Is ke ghizai istamal ka pehla hawala ek hazar sal qabal maseeh main milta hai naiz mukhtalif adwar ki taihreron main bhi iska zikar mojood hai.

Munfarid zaiqe aur khushboo ki bina par mazi main khombiyaan younani, romi, misri aur cheeni shahenshahon ke dastarkhuwan ki zeenat rahin. Younani na sirf ise khate balke iski tijarat bhi karte the. Ehal e rome ne ise daiwtaon ki khorak karar dia. Romi shahenshah khombiyon ko behad mutbark samjhte the. Isi liye kisi ko khombiyaan bator tohfa bhijwate to inhain gulamon ke bajae koi moziz shakhs laikar jata tha. In ke nazdeek ye jismani takat ka sar chasma thin. Is liye iska istamal shahenshahon aur gernelon tak mehdod tha. Hata ke koi aam admi is se istafada karta to ise mot ke ghat main utar dia jata. Jadid scienci taihkek ke mutabik khombiyaan lahmiyat ka umda zariya hain. In main vitamin B ke tamam iksam ke ilawa madniyat bhi milti hain. Isi liye inhain motwazan ghiza kaha jata hai. Ye europ, america, mashraki baid, japan, china aur roos ke bhashindon ki margob ghiza hai.

Khombiyon mein milne wali hayatain ki ye khobi hai ke taiz anch par pakane, dabon main band karne se ye zaya nahin hoti balke apne khawas barkarar rakhti hain. Khombiyon main vitamin B sab se zayada hota hai, folad bhi eham juzu hai. Is main calcium, phosphorus, gandhak, maganess aur tanba wagera pai jate hain jo jism ki zaruriyat bakhobi puri karte hain. In main nashasta aur rogniyat ki tadad zayada nahin hoti, is liye motape , amraz kalb aur sugar main inka istamal mufeed hai, naiz wazan kam karne ke liye bhi khombiyon par inhasar kia jasakta hai. Inhain khane se jism ko matloba vitamin aur madniyat mil jati hain jabke wazan nahin barhta. Khombiyaan aam podon se yaksar mukhtalif hain. Is main jar, shakhain, pate ya beej nahin balke sirf do hise hote hain yani tana aur chatri. Chatri gol, gaind, thal ya saib numa hoti hai.

Nozaida chatri ki nichli satah safaid hoti hai lekin nasho numa mukamal ho jane par ye siyah, surkh, bhure zard ya gulabi rangat main tabdeel hojati hain. Baaz khombiyaan balig hone par bhi safaid rahti hain. Tana aam podon se mushaba lekin naram hota hai. Chonke fungas khandan ke tamam rukan chlorophyll se mehrom hain, lehaza wo dhoop ke bajai na miyati madon se khorak hasil karte hain. Panchwin sadi qabal masih ka younani hakeem bakrat tib ka bap mana jata hai. Wo khombi ko hadiyon aur pathon ka dard rafah karne ke liye istamal karwata tha. Iski taseer garam hoti hai isi bina par ye dar kolanj aur soje hoe aur zakhmi asab ke ilaj ke liye mufeed hai. Bukhar ki halat main shehid main mila kar istamal karne se bukhar utar jata hai. Isi tarah ye jigar, dama, yarkan, ishal, gurde ki taklif ke liye mufeed hai. Histria aur mirgi main isko shehaid aur adrak ke sath ham wazan mila kar istamal karne se bhi afaka hota hai. Agar bemari ke hamle se paishtar hi iska istamal kia jai to ye insani jism ko bemariyon se mehfoz rakhti hai. Shehid ke sath iska istamal kabz kusha hai. Sanp ke katne aur zakhm par lagane se taryak ka kam daiti hai. Aj bhi narwe, swedin aur funland ke bashinde khombi ko dard darfah karne ke liye istamal karte hain. Cheeni aur japani tarika ilaj jise "moksabi" kahte hain isi asool ke paish nazar kia gaya hai.
logoblog

Thanks for reading Mushroom Benefits In Urdu Mushroom Ke Faide In Hindi Khumbi Ke Fawaid

No comments:

Post a Comment