Khwab Mein Pani Dekhna Ki Tabeer Water
Pani Tamam cheezon ki zindagi pani se hai agar khwab main dekhne ke satah aab par pani ki tarah chalta hai jese darya aur behar ka pani ye us ke pak aitqad aur quwat-e-imani hai aur saaf khushgawar bohat pani piya hai tou zayada umar aur khush aish ho ga par bay maza ya shor pani hai tou tabeer is ki pehle ke khilaf hai. Jo darya se saaf acha pani peeta hai tou tamam jahan ka badshah banay ga khuch ka kehna hai ke us aab-e-darya ke peenay ke qadar bazurgi aur maal o naimat hasil kar paye ga par gadla pani kabhi bhi behtar nahin ye ranj aur khauf hi samjha jata hai.Garam pani peena bemari hai agar aisa pani (water) giraya gaya hai aur us ko khabar nahin tou sakht ghum par farifta ho ga. Kanch ke payalay mein water sahib khwab ko farzand ke sath nisbat dete hain jo maa ke pait mein hai. Jo aab yani pani ko baghair qeemat ke logon ko deta hai aur akhirat mein logon ko us se faida pohanche ga aur weran jagah ko abad kare ga. Pani mein nahana ka matlab ye hai ke saray gunahon se pak hoga aur ache kamon ki taraf safar kare ga. Pani mein girna bura hota hai koi musibat par sakti hai is liye ahtyat lazmi hisa hai aur sadqa bhi zaroor dain.
Agar dekhe keh jis ghar mein pani giraya hua tha us ke andar dakhil hua hai tou ghamgheeni ki surat hai aur payalay mein paray hue saaf pani ko kuttay ki tarah pi liya tou aish se zindagi jiye ga lekin aisa kaam kare ga keh bala aur fitna mein pare ga aur maal thora thora kar ke logon ko bakhshe ga aur khairat mein kharch kare ga.
Ye haqeeqat dream main dekha jane wala saaf pani (clean water) insanon ke liye naimat ki khabar hai jis se insan ki zindagi mein jald khushiyan aati hain par ganda pani kisi bhi tarah musbat ishara nahin.
Bagh aur zarat ke daryaon aur nehron se pani dena gham se chutkaray aur daulat ki daleel hai aur isay logon ko dena deen aur dayanat ke kamon mein jana hai.
No comments:
Post a Comment