Kadi Patta Benefits In Urdu Curry Patta Ke Faide Karri
Khane ko khushbu dar aur khush ziaqa banane ke liye hamare kitchens mein mukhtalif types ke jo patte aur pattiyan istemal ki jati hain un mein curry patta bhi shamil hota hai. Kadi patte ka english meaning Curry leaves hai aur ye sirf Kadi yani khanay ko khushbudar nahin banate balkeh khas tor par karri mein aur degar khanon mein bhi dale jate hain. Currry patte apne andar bohat sare health benefits bhi rakhte hain. Kari patte mein carbohydrates, fiber aur V,B,C aur E vitamin bhi hote hain jo dil ki karkardgi ko behtar banate hain, infection ka muqabla karte hain, baal aur khaal ko tawanai bakhsh kar unhain zayada attractive banate hain. Curry patte ke fayde hasb zail hain:
Kari Patta Ke Faide In Urdu
Khoon Ki Kami Se Bachata Hai
Karri pate mein iron aur folic acid ki bohtat hoti hai folic acid ki aham tareen zumaidari jism mein folaad ko tamam khulyat tak pohanchana aur isay jism mein jazb karwana hoti hai aur ye donon markabat in patton mein mojood hote hain, is liye khoon ki kami ya deegar alfaz mein khawateen mein hemoglobin level kam ho jane ki surat mein woh rozana nihar munh aik khajoor ke sath 2 kadi patte kha lain tou unhan bohat fawaid hasil ho sakte hain.
Diabetes Mein Mufeed
Curry leaf na sirf khoon mein shakar ki satah kam karta hai balkeh kayi roz tak isay munasib had tak rakhne mein bhi madad deta hai. Ye patte jism mein insulin ki sargarmi par asar andaz hote hain. Ilawa azeen is mein reshay ki qisam aur maqdar bhi blood suger level ko kam karne mein kardar ada karti hai. Diabetes ke mareez khoon mein shakar ki maqdar ko qabu mein rakhne ke liye is qudrai zariya se bharpur istefada kar sakte hain.
Wazan Ghatata Hai - Curry Patta For Weaith Loss
Kadi patta se hazma behtar hota hai aur jism mein charbi ke anjzaab ka tareeqa kar tabdeel ho jata hai jis se jism ka wazan kam karne mein madad milti hai. Kyoun keh weight ka barhna diabetes ka aham sabab hota hai is liye karri patte is marz ki bunyad ko theek karne mein kardar ada karta hai.
Cholesterol Ko Kam Karta Hai
Mutadad research se maloom hua hai keh kari patte mein khoon mein shamil cholesterol ke maqdar ghatane ki khoobi bhi payi jati hai. In patton mein antioxidents bharay hue hote hain is liye ye cholesterol ki oxidation ko rokte hain. Is tarah kharab LDL cholesterol nahin ban pata aur ache cholesterol HDL ki maqdar barh jati hai. Aisi surat mein jism amraz qalb aur sharyanon ki sakhti Atheroscelerosis jesi bimariyon se mehfooz rehta hai.
Kari Patta Beauty Tips - Balon Ki Safeedi Ko Rokta Hai
Karri patay ki ye khoobi taweel arsay se logon ko maloom hai keh is ke istemal se baal old age mein bhi ghanay aur kale rehte hain. Ye balon ko safed hone se bachane ke ilawa chamakdar rakhta hai. Baal jharne aur bareek hone wali khushki bhi khatam karta hai. In maqasad ke husool ke liye karri patay khaye bhi ja sakte hain aur pees kar paste ki surat mein balon par lagaye bhi ja sakte hain.
No comments:
Post a Comment