Blush On Tips In Urdu Blush On Lagane Ka Tarika
Blush on ka shumar makeup ke bunyadi lawazimat main hota hai. Yahi waja hai ke ise har aurat ke senghar ka eham juz mana jata hai. Is main koi shuba nahin ke rukhsaron se jhalakti blush on ki lali, aap ki khubsurti main kai guna izafa kardeti hai aur ise lagate hi aap ke banao senghar main goya zindagi ki lehar si dor jati hai. Taham aap ke liye acha blush on wohi hai jis ka shade aap ke rukhsaron ki rangat se kareb tar ho. Beauty experts ki rae ke mutabiq blush, aap ke makeup box main shamil wo wahid product hai jise kabhi tabdel nahin karna chahye. Hamesha wohi blush istamal karain ke jo aap ke chehre par sehat ki qudarti chamak ban kar jhalakta nazar ae. Albata apni look main tabdeeli lane keliye eye shade aur lip stick ka colour zarur badlain. Go ke aye roz jahan makeup ke style badalte hain, wohen blush lagane ke bhi andaz ae aur gae, lekin aap wohi technique istamal karain jo ke aap par sajti hai. Ise lagane ke liye ehtiyat se kaam laine ki zarurat paish ati hai kyun ke blush agar zayada lag jae, iska shade galat hojae ya ise galat zawe se lagalia jae to aap khubsurat dikhai dene ke bajae mazhaka khaiz nazar ahsakti hain aur dusron ke mazak ka nishana ban sakti hain.
Beparwahi se lagaya gaya blush on aap ki khubsurti main izafa nahin karsakta. Lehaza ise mukamal tawaja aur ehtiyat ke sath lagain. Zard rukhsaron par white high liter lagane ke bad glossy blush on, zindagi ki chamak lasakta hai lekin ise lagane ke liye zaruri hai ke aap apne chehre ki sakht ke lehaz se durust technique istamal karain. Bohat si khawaten apne chehre ki banawat ko mad nazar rakhe bagair gol dairon ki surat main blush laga leti hain. Lekin salha sal purana ye andaz har chehre par suit nahin karta, khas tor se is surat main ke jab ise nafasat se na lagaya jae. Sahi blush lagane main acha brush bhi bohat eham kirdar ada karta hai. Aap ka blusher brush acha hoga to na sirf ye ke zayada arsa chalega balke is ke zariye aap zayada behtar tareke se blush laga paingi. Lehaza achi quality ka brush kharedain, iski life barhane ke liye, istamal karne ke bad hamesha dhoen aur tolia ya kisi jazib kapre ke uper sedha rakh kar khushk karain.
Aj kal blush on ke beshumar shade dastiyab hain lehaza durust intekhab bhi khasan dushwar hogaya hai. Lekin aap pink ya peach shades main se hi koi shade muntakhib karain to behtar hoga kyunke ye shade ziyada tar khawaten par suit karte hain. Ye aapki qudarti rangat main nikhar paida karte hain aur inhain lagane main mamoli si galti hojae to wo numaya nahin dikhai deti. Jab bhi aapne liye blush on muntakhib karain. Mehaz container main iska shade dekh kar na kharedain balke apne rukhsar ke ubhar par laga kar check karain. Nit nae brands laine ke bajae purane aur mashoor brands main se aapna blusher muntakhib karain. Kyun ke inki silky taser ka aj bhi koi badal nahin.
Blush On Kaise Lagana Chahiye: Makeup ke mukhtalif maherain, blush lagane ke liye qadre mukhtalif andaz apnate hain lekin inke lagae hue strokes main jo maharat posheda hoti hai wohi inka khasa ban jati hain, in main koi ek style yakenan aap ke liye bhi hai.
Khuch mashoor makup artist blush on ki do tehain apply karte hain. Ek teh lagane ke bad darmiyan main shafaf powder ki teh lagai jati hai aur phir is ke uper blush ki ek aur teh lagadi jati hai. Is tarah blush ka color zayada dair tak aap ke rukhsaron par qaim rehta hai. Ye tareka khas tor se in khawateen ke liye zayada kargar sabit hota hai jin ki jild chikni hoti hai. Agar aap ke rukhsar phule hue se dikhai dete hon to inhain kum numayan karne ke liye mait brown shade main face shar par lagain. Akhir main powder ka aisa shade muntakhib karain jo apki rangat se ek ya do tone gehra ho, ise chehre ke bhari hison par ehtiyat ke sath thapthapa kar lagain.
Makeup ke baaz mahairen ka khayal hai ke blush ko mehaz rukhsaron par hi nahin balke peshani, thori aur kanpatiyon par bhi lagaya jae to makup ka tasur zayada dilkash mehsus hota hai. Lehaza agar powder blush lagana maqsood hoto isi tareke se chehre ke mukhtalif hiso par apply karain lekain lagane se pehle brush ko halka sa jhatak dain ta ke izafi powder jhar jae. Is se blush on ka tasur acha aiga.
Beshtar makeup artists ki rae ke mutabik dusrust blush on lagane se na sirf aap kum umar dikhai deti hain, balke mazeed dilkash aur taza dam bhi nazar ati hain. Zayada umar ki khawateen taiz rangon ke bajai halke aur natural shade istamal karain to koi waja nahin ke wo matluba tasur hasil na kar sakain. Kuch beauticians blush ke do colour apply karte hain, pehle neutral shade lagaya jata hai, is ke bad qadre gehra shade laga kar blend kardia jata hai. Agar aap ka colour combination durust hoga to is taraike se lagaya gaya blush yakenan aap ke chehre ko fresh look daiga.
Powder aur gel blush on oily jild ke liye mozoon hota hai jab ke creamy blush normal se khushk jild ke liye behtar sabita hota hai. Blush on ka behtren tasur hasil karne ke liye kisi bare se aine ke samne baith kar ise lagain jahan Roshini ka munasib intezam ho pehle apna makeup mukamal karain aur akhir main blush on apply karain
No comments:
Post a Comment