Babri Masjid History In Urdu Babri Masjid Information In Hindi Babri Mosque Kahani Tareekh

  Lal Gulab      

Babri Masjid History In Urdu

Babri Mosque Maloomat: 6 december 1992 ko uttar pradesh (bharat) ke shehar ayodhya mein lakhon intiha pasand hinduon ne mughal dor ki yadgar babri masjid par yalghar kar di. Chand ghanton ke andar unhon ne masjid ko malbay ka dheer bana diya aur us malbe par raton raat aik mandir tameer kar liya.
Babri masjid 1527 mein pehle mughal badshah Zaheeruddin Babar ne tameer karwai thi. Kayi sadiyon tak ye masjid Muslamanon ki ibadat gah ke tor par sitemal hoti rahi aur is masjid ke bare mein koi ikhtilaf paida nahin hua. Mughliya saltanat ke khatmay ke baad 1885 mein hindu intiha pasandon ne dawa kiya keh ye masjid jis muqam par tameer ki gayi hai wahan ram chandar ne janam liya tha lihaza is masjid ko shaheed kar ke yahan mandir tameer karne ki ijazat di jaye. Ye dawa itna bay bunyad tha keh judge ne jo khud bhi Hindu tha mehz 5 din ki samat ke baad is muqadmay ko kharij kar diya.

hindustan ki azadi ke baad ye masla aik martaba phir jar pakar gaya aur hinduaon ne is masjid ke muqam par aik martaba phir mutnaza banane ki koshish ki. 22 december 1949 ko kisi ne is masjid mein ram aur seeta ke mujasmay rakh diye is moqay ke baad hinduaon aur Musalmanon mein kasheedgi paida hua aur hukumat ne is masjid ko maqfil kar diya. Is ke baad ye mamla kayi salon tak aisay hi raha taham jub 1990 mein bharat mein bhartia janta parti ki hukumat qaim hoi tou 6 december 1992 ko UP ke wazir-e-ala kalyan singh ki aima par hindu intiha pasandon ne is masjid par hamla kar ke isay shaheed kar diya. Babri masjid ki shahadat ke baad hindustan mein hindu Muslim fasadat phoot pare jin mein andazan 2000 Musalmanon ne jaam shahadat nosh kiya.

Babri Masjid Demolition Reaction In Pakistan

Is sanihay par puri Pakistani qaum bhi sarapa ahtijaj ban gayi hukumat Pakistan ne 8 december 1992 ko mulk bhar mein aam tateel ka ilan kar diya tamam difatar aur karobari marakaz band rahe aur mulk bhar mein ahtjati jaloos nikalay gaye. 19 december ko wazir-e-azam Nawaz Sharif ne is maslay par mushtarka hikmat amli tay karne ke liye parliament ke andar aur bahir ki tamam siasi jamaton ka aik ijlas talab kar liya. Us ijlas mein opposition ki numainda siasi jamaton ne tou shirkat nahin ki taham khuch choti siasi jamaton ke rehnumaon ne shirkat ki. Ijlas ke ikhtitam par ilan Islamabad jari kiya gaya jis mein bharti hukumat se mutalba kiya gaya keh babri masjid ko fauri tor par az sar nau tameer kiya jaye bharat mein tamam masajid ko tahafuz faraham kiya jaye aur Musalmanon ke jaan o maal aur amlak ko jo nuqsan pohancha hai bharti hukumat us ka muawza ada kare. Udhar hindustan mein ye mamla aik martaba phir adalat tak gaya 30 september 2010 ko high court ne faisla diya keh is masjid ke 3 hisay kar ke isay Musalmanon aur hinduon mein taqseem kar diya jaye taham Musalmanon ne ye faisla qabool karne se inkar kar diya aur ab isay supreme court mein challenge karne ka faisla kiya hai.
logoblog

Thanks for reading Babri Masjid History In Urdu Babri Masjid Information In Hindi Babri Mosque Kahani Tareekh

No comments:

Post a Comment