Baal Girne Ka ilaj In Urdu - Hair Fall Solution
Hair Treatment In Urdu Ghanay aur lambay baal khubsoorti ki alamaat samjay jatay hain baal
lambay houn ya chootay un ki hifazaat bohat zaroori hai utartay baal
shaksiyaat ko mutasir kar detay hain baal agar umar ki waja se gir
rahay hon to la elaaaj tasawar kiye jatay hain lakin agar behmari ki
waja se ghir rahay hon to iska ilaj mumkin hai kyun ke marz aur
kamzoori door honay par baal doobara nikal saktay hain balon ka
ghirna logon ka aik aam masla hai aj ke door main balon ke ghirnay ki
wajah kafi hain jaisay ke hamari masroof zindagi hamain baloon ki
sehat ko acha rakhnay k liye madad nahi deti is tarah hamari kharab
diet bhi is maslay ko barhati hai lekin fikar mand mat hon aisi ketni jari
botiyon ke tail majood hain jin ke rozana ya haftay ka istemal baloon ke
ghirnay ki raftar ko sust ya kaam kar deti hain.
Girte Balon Ka ilaj
- Zaiton ke garam tail hasil karain aur is ki malish
apnay saar par kam se kam ek ya 2 ghantay tak honay se apki zulfoon
main nami rehti hai kyun k yeh tail baloon ki jaroon ko bhar deta hai
aur inhay achi diet milti hai.
- Badam
ka tail vitamin d aur A ke liyaw zaroori hai jo ke hamaray baloom ko
kudhrati nami dehtay hain inhay khushk rokhay honay se bachatay hain
raat ko saar dhonay se pehlay baloon paar is tail ki malish apko sehat
mand aur masboot baloon ka malik banati hai.
- Nariyaal
ke tail ko apnay baloon ki jaroon main apni unghliyaanon ki madaad se
laga saktay hain is se baloon ko honay wahlay nukhsan aur baloon ke
sarsoon ke do hisay hojayen wagara nariyaal k tail ko gharam kar ke saar
par istemal karain is se khoon ki rawani main behtari k sath baloon ko
zaroori oxygen milti hai.
- Amla
baloon ki hifazaat k liyaw bohat zaroori jari booti hotey hai amla
powder k paste ko nariyal ke tail main mila kar istemal karnay se na
sirf baloon ki jarain maZboot hoti hain balkay yeh baloon ki nashonama
ko b barhata hai yeh khushki ko rok kaar baloon ko safaid honay se
bachata hai.
- Aloe vera main aisi khubiyaan hotey hain jo khushki ko control main rakhti
hain is ko nariyaal ke tail main mila kaar saar paar 3 min taak malish
ki jaye aur phir dholiya jaye to is se saar main khoon ki rawani behtaar
hotey hai aur yeh baal ghirnay ke khalaaf tahafaz deta hai.
- Rose
marry baloon ki nashonuma barha dehti hai is ke harbal arq jaab
nariyaal ke tail main mila kaar sar paar lagaya jata hai to yeh baloon
ki chamaak barha dehta hai aur is wakat ganja paan se tahafaaz milta hai.
- Castor
oil: Aap ke baloon ke tamam maslay ka behtareen haal sabit hota hai is
tail ka apnay sar par istemal bana lain khoon ki rawani barti hai aur
zaroori oxygen milti hai jaab ke is se baloon ki nasho nama main b
behtari ati hai is ke elawa is main vitamin A b hota hai jo baloon ko
khubsourat banata hai aur inko tootnay se bachata hai
No comments:
Post a Comment